Monday, August 29, 2016

On "Getting Tired"

Unse meri bohat dinoN baad mulaqat hui. Bulke yun kahiye kai mahinoN baad. 

Main ne poocha: "Sir! kahan rehte hain! aap ne to logon main uthna bethna hi choR diya hai. Kiya adam-bezaar ho gaye hain?"

"Nahi, aesa to nahi bus ab khud apne saath ziyada waqt guzaarta hun".

"Aesa kiun? Aap se baRi ronaq rehti thi mehfiloN main"

"Bus bhai! Insaani rishtoN ki halawat main jahan bohat se saroor hain, wahan zimedarian aur dukh ki kaRi deewarain bhi hain. Ab un dukhoN ki uljhanoN se uljhane ki na to himmat hai aur naa hi unko suljhaane ka jigaR. Bus dostiaN , rishte nibhate nibahte thak sa gaya hun."

2 comments:

Shaan said...

really a true fact....life mei ek phase yeh bhi atta hai

Books and Stilettos said...

Mein Humaisha say adaam beyzar type hon . I prefer to stay alone for some reason.
Tanhai ki bolti khamoshiyon say batain karna mera favorite mashghala hai...

Logon k hujoom mein tanha baithna buhat mushkil kam lagta hai ..ajib schizophrenic tabiyat paii hai 😊