Friday, September 30, 2005

Bare Leader

Shayed ye 1948 ka, pakistan banne ke baad ka zamana tha aur eid ka din raha hoga. Karachi ke governor house ke bahir aik lambe tarange patle duble maheen shakhs se milne ke liye logon ki lambi qatar lagi thi. Maze ki baat hai, us shaks ke gird koi security nahi thi aur yun mehsoos hota tha jese us shaks ko is baat ki parwah bhi nahi. 

Sarak ke dusri taraf main aik dusre adeeb ke saath baag ke ik bench pe betha ye nazara dekh raha tha. Mera bhi dil kerta tha ke ja ke us shaks se haat milaun ke shayed ye shaks bohut arse zinda na rahe magar logon ki lambi qataar jo subh se ab dopher aane pe bhi khatam na hui thi, dekh ker ruk jata. Ab bhi koi 250 log rahe honge jo najaane kab se intizaar kiye honge. Achanak us shaks ne ander jaane ka faisla kiya aur khare logoN ki qataar ko chor ke apni lambi lambi taangoN se lambe lambe dig bharta ander chala gaya. Us chaal main koi jhijhak na thi, sirf bharpur aitamad, itminan aur waqar tha. 

Kuch ne kaha - Sahab ne zara khayal na kiya in logon ka magar main sochta raha shayed bare leader wahi bante hain jo faisla kerte hain aur kur guzarte hain. Faisle main lohe ka irada rakhte hain. Waqti tor pe kuch logon ke dil dukh jaane ki parwah kub kerte hain. 

Woh shaks Mohammad Ali Jinnah tha jise us ke log QuaideAzam bulate the.

(A tell from a person who witnessed creation of Pakistan)

Thursday, September 29, 2005

Mom ki guryain

Hamare mulk ke har mohalle main kam-az-kam Jilani Banu ki aik 'Mom ki Guriya' zaroor rehti hai.


Wednesday, September 28, 2005

Teacher-Parent contact

I don't think it's a good idea if both parents go to teacher-parent conferences. Let either mom or dad be a contact thread to avoid multiple theories regarding kids' behavior at school.

(I know many parents will disagree)

*

Tuesday, September 27, 2005

Krishan Chandar on French women

Krishan Chandar describes the French woman in the following way: "French woman is the best lover, but if she wishes to be a mother, then you will not find a better mother than she. French woman carries all confidence in her voice. For some reason,  perfume has a lot deeper impact on the psychology of a French woman..." 

(from..ik khusbu uri uri si).


Monday, September 26, 2005

Human is one

Jub Quratulain Haider apne afsane 'carman' main Guam ki lurki ko dekh ker kehti hai..."Duniya main kitni jaghaiN hain aur in main bilkul hamare jese log baste hain" - to "HUMAN IS ONE" ki kitni a'san tashreeh ho jaati hai.


Sunday, September 25, 2005

Actual Poverty

Asal gurbat to gurbat ka rona hai!

Media circus!

Media transformed this world into a giant circus since they deviated from their objective of delivering news to spreading sensations.

*

Saturday, September 24, 2005

Friday, September 23, 2005

Guide

Aur use logoN ne "peer" tub kehna shuru kiya jab us ne sanglakh paharoN main 'rooh' dekhi !! 

Wednesday, September 21, 2005

Khali

Jub us darya kinare bethe 'baba' ne kaha ke: "Chala ja baba lokaN" to us ne ye baat bare dil se kahi kiun ke itne baras khuda ki talash main sargardaN rehne ke baad bhi baba khali tha.


Tuesday, September 20, 2005

RITA

Kiya isme-bamusamma RITA wahi tofan hai jo hamari zindagion main aane wala hai.


Saturday, September 17, 2005

Mother Nature

We call her "Mother Nature" as sometimes she takes her brutal way to keep us on the right path 
- Oh, Mother!

Behind every failed Man

If there is a woman behind every successful man, believe me, there is also a woman behind every failed man!!!

Tuesday, September 13, 2005

Monday, September 12, 2005

Amal

Hamare amal hi hamari duaaiN haiN.


Forever war of good and evil

Kiya ye sach hai ke jab 'burai' apnoN ka roop dhar ke insaan ko behkaane aati hai to saath hi 'neki' bhi insaan ko khwabe khargosh se jagane koi roop dhaar ker aa jaat hai. 

Wednesday, September 07, 2005

Character

The real test of your character is "not to lie" in moment of crisis.

Saturday, September 03, 2005

On "40th Birthday"

Age 40 is a milestone in anyone's life. Five questions are very important at that milestone:

1. Are you earning livelihood of your choice (Your career).
2. Are you married to a person you like.
3. Is your lifestyle in synchrony with your beliefs/values.
4. Are you living in a city of your choice.
5. Beside your daily job, do you have at least one hobby which makes you happy.