Friday, October 27, 2006

Waitress Mom

Friends wonder about my heavy tip to that waitress in a Thai restaurant.

She came from Thailand to the USA five years ago. Both husband and wife work hard to ensure their kids get the best of America's education. They are sending their four kids (read again, 4) to the city's prime suburb private school, where each child costs at least a thousand dollars a month. They drive old cars and live in tiny rented houses to ensure their kids get the best education.

*

Thursday, October 26, 2006

sonya ki kahani


Koi saari zindagi girta parta hai magar iman aur sirate mustaqeem ki daulat nahi milti. Aur kuch khushnaseeb sonya jese hote hain ke 21 baras ki jawani main hi, dayare gair main rehte, angrezi bolte, jeans pehnte, dukhon ke pahar jelte - us allah ke ho jaate hain. Sonya aur rabia basri main koi ziyada faraq thori hoga !

Wednesday, October 25, 2006

Thursday, October 19, 2006

Fragile life


We all live in an ocean of unforeseen fragilities!

Le saans bhi aahista ke naazuk hai bahut kaam

Will you please count and respect your blessings?

Wednesday, October 18, 2006

Shabe Qadar

I don't think shabe qadar is limited to one night of Ramadhan (That one night is just a ritual and sign of more deeper meaning). I believe it's a 'given moment' which could happen in anyone's life - obviously a few pious and chosen - not limited to any religion. It's a 'given moment' in which man gets bestowed with the spark which connects him with the eternal, with oneness as described by Sufis as - 'manorialism.' It is a moment beyond time and space, which is eternal and like a big infinite circle full of peace, knowledge, and harmony.

*

Monday, October 16, 2006

kamzor lamha

Hur kisi ki zindagi main kamzor lamhe aate hain jub jazbaat ke bahao main zabt ke sare band toot jaate hain. Mujh pe bhi aese lamhat aaye hain aur tum pe bhi aaye honge.

Baqol Ghalib: Dil hi to hai, dard se bhar na aaye kiyun

Is se ziyada achhi baat koi aur nahi ke kisi ke kamzor lamhe ko bhool jana aur kubhi kisi ke aage us ka zikar na kerna. Aur is se ziyada kaminapun koi aur nahi ke, kisi ke us lamhe ko us ko bar bar yaad dilana ya kisi aur ke saamne us ka zikar kerna.

Baqol Ashfaq Ahmad: (aib chupa ke agla) Banda Bacha lo!!!

Sunday, October 15, 2006

Mubeen

Us shaks per be-qasoor naghaani aafat ka baar par gaya. Jab woh mujh se milne aaya to chaal main wahi waqar aur chehre pe wahi muskurahat thi magar ander chupi pareshani ka parto bhi tha. Usi pyar se gale bhi mila. Main ne kaha: "yaar fazool main tere saath galat ho gaya". To kisi ko ilzaam dene ki bajaye, us ne jawab diya: "Bus yaar ! mere apne gunhaon ki saza thi".

Duniya main ye bhi aik ajeeb log hote hain. Larai, jhagre ya ilzaamon ki maar dhaR kiye bagair aik sidhi si baat soch ker aur sara dukh apne ander simat ker, mushkilon se chup chap guzar jaate hain.

Friday, October 13, 2006

aana jaana

Kiya ye sach hoga ke is duniya main aane or jaane ka waqt hum khud mutaiyyan kerte hain aur ooper wala sirf muskura ke us pe mohar laga deta hai ?

Friday, October 06, 2006

Dant

Aur jab us ne gurrate huwe mera naam le ker mujhe danta to na to mujhe gusse aaya aur na hi dar laga bulke achha laga - ke koi to hai mujhe meri bewaqoofion se rokne wala!

Thursday, October 05, 2006

Wednesday, October 04, 2006

All hats off to Amish people

I have always been fascinated with the Amish community, and now I have so much respect for them. After going through such a horrendous tragedy when their children were shot dead without any reason (unbelievable crime ! How someone can even think of doing that) - how they reacted so gracefully is impressive. You may disagree with their beliefs, but I see their character as a 'role model' for other communities and religions. They are at least honest and sincere in their teachings of forgiveness.

'Life has to go on for Amish community Spirit of forgiveness rules the day in the face of school shooting tragedy - http://www.msnbc.msn.com/id/15120230/

*

Tuesday, October 03, 2006

Godfather

Listen, son!

If I am not there to help you to climb the difficult stairs of life, another Godfather- a lookalike of Jesus - fair, tall, and with long hair - would be there to hold your hand !!

*

Monday, October 02, 2006

maafi

Dekho bhaiyya !

Mujhe maaf kerne ki koi bimari nahi hai. Agar tum ne mujhe nuqsan paunchaya hai, ya mere 'trust' ko 'break' kiya hai to - yes! you owe me. 

Agar main tumhe kuch nahi keh saka to ye meri kamzori hai --- magar --- nahi nahi nahi ---main ne tumhe maaf nahi kiya ! Meri bad-duaain tumhara peecha kerti rahain gi !

Sunday, October 01, 2006