Wednesday, October 31, 2012

A quote

Great German philosopher Nietzsche says: 

“It is not a lack of love, but a lack of friendship that makes unhappy marriages.”

Tuesday, October 30, 2012

Understanding deeper meaning of 'Kal'

English language has different words for past, present and future days like yesterday, today and tomorrow. But Urdu or Hindi actually has same word for previous and next days called "Kal"........and there is a reason for it.

"Kal" has originated from a Sanskrit word "Kaal" which means nothing or non-existence.  jese kehte hain - kaal par gaya.  Another similar originated word from  kaal is Kaala which means black. Sanskrit is (?was) a very rich language but same terminology is used for both previous and next day. What it signifies that for a human, past and present both are just non existent. Human life only exists in present (aaj).

In short, wahi kuch hai jo haal hai - baaqi sab maya aur kaal hai

Sunday, October 28, 2012

Qabooliat ki Ghari - 2

I blogged once about the old saying of Qabooliat ki ghari (here)... you decide!

This is a recent true event from one of my co-worker life

"On my 50th birthday, I decided to take long 3 weeks cruise all by myself. I locked my house. When I went to drop my keys to friend so he can keep eye on my house and check my mails. I just jokingly said to call me 'only' if my parents die! And guess what? As I found wi-fi connection at one port in remote eastern Europe  I check my  messages - and sure indeed! my father passed away in my native town of Montana 4 days after I left. I packed everything and went to his funeral after connecting 8 flights and 40 hours.  I feel God answered my joke"

Tuesday, October 23, 2012

From "Yaadon ki Baarat" - 2

I got couple of emails where people asked to post Josh saheb's claim that he was visited by Prophet Mohammad. Josh continue to believe that it was non-spiritual though unexplained meta-physical event. He described 2 dreams

1. In childhood dream, he encountered Hazrat Abu-zar gaffari, Hazrat Ali and Prophet Mohammad - and he was given 'basharat' that he will be a very famous person. Click and read Page 147 - 149

http://www.iqbalcyberlibrary.net//pdf/969-416-228-019.pdf

2. Second in which he was instructed by Prophet Mohammad to travel to Hyderabad Deccan and stay under Nizam for 10 years. Click and Read page 203 to page 208

http://www.iqbalcyberlibrary.net//pdf/969-416-228-019.pdf


Personally, I have no doubts on above dreams. Similar encounters have been described by others like Qudaratullah shahab - I  believe "Buzurg hastiaN" appears in dreams more frequently than we imagine particularly in trying times....( In fact, I can attest to them but I guess every thing can't be written on blog!) and as like Josh I believe these as normal encounters!! - there is nothing special about it. We all live in one huge fireball of infinite time. And past, present and future are just illusions of time...

(Don't miss Tom Hank's new flick Cloud Atlas in this regard. It explains this better.)

Sunday, October 21, 2012

From "Yaadon ki Baraat"

It is said that Urdu Poetry has produced 5 big poets....Mir, Ghalib, Iqbal, Josh and Faiz. Unfortunately Josh Malih-abadi was never given his due place in Sub-continental history. His poetry is like uninterrupted flow of words ...jese koi ilhami kalam ho...Keeping his poetry aside,  if you ever get chance - I highly recommend to read his auto-biography "Yaadon ki Baarat".

Josh himself was an atheist or at least non conformist  - but - spiritual experiences he described in that book are mind boggling, It is beyond  scope of this post to discuss his experience of Prophet visiting him but I will just mention his chapter on "Maulvi Ahmad Hussain".

Maulvi Ahmad Hussain tried to teach 'asrar-o-ramooz-e-marfat'  to Josh but Josh's approach was very logical in this matter. Despite his unaccepted view to 'maarfa', Josh was unable to explain the phenomenon that when last time Maulvi sahab met Josh, he informed that he will continue to visit Josh for 30 days in dreams - which he did - and he will meet him physically once 6 months before his death - which he did.

Read pages 574-601 from link below

http://www.iqbalcyberlibrary.net/Urdu-Books/969-416-228-019/index.php

Friday, October 19, 2012

Furqan

Ye 1992 ki baat hai....Main 'PMDC' se apni degree ki tajdeed kerwane Islamabad gaya huwa tha. ..Taxi nahi mili to wagon hi pakar li...Wagon main sawar hone laga to saath saath aik Babaji ki bhi wagon main charhne main madad kerdi..

Babaji bole: "Beta! Allah Hazrat Musa ki tarah tumhe bhi kitab aur Furqan ki nemat de".....

Main ne Poocha: "Babaji! Ye Kitab aur Furqan ki nemat kiya hoti hai"

Babaji bole: "Beta! kitab to sab parh lete hain magar kitab ke sath Furqan ki nemat har kisi ko nahi milti. Furqan faraq se nikla hai. Matlab ye ke Allah tumhe na sirf kitab parhne ki nemat de bulke saath saath zindagi main achhe bure ki tameez kerne ki nemat se bhi nawaze.."

20 baras main bare bare tafseerdaanoN ki furqan ki taaweelaiN parh li...magar aik line main Furqan ki jo 'defination' babaji de gaye woh kahin na mili....


(As per Arabic roots - its true that Furqan originated from word faraq)

Tuesday, October 16, 2012

Ali Karim, Drugs, Sex aur Namaz!

Ali Karim se meri pehli mulaqat uski khatna pe hui!  - Ye baat sach bhi thi aur hum dono ka mazaq bhi.

Meri umar 7 baras ki thi jab Amma mujhe Ali Karim ki khatna pe le ker gain! Ali Karim ki Amma meri walida ki bachpan ki saheli thi. Magar unke aur hamare gharelu halat main zameen aasman ka faraq tha!

Ali Karim ke walid aik mazdoor insaan the jo gadha gaari pe dukanoN se khali borion ki len den ka kaam kerte the. Ghar main gurbat ka raaj the. Ali Karim aathween (8th class) tak ba-mushkil school gaya aur phir baap ke saath kaam main juth gaya. 

Saath saath awaragardi, sharab aur charas ki aadat bhi par gai. 

Ajeeb dosti thi hamari! Alag alag duniya thi hamari - magar jab milte to yun gap lagti jese sab se ghera yaarana ho!

Main medical school main tha ke khabar mili Ali Karim Turkey chala gaya hai. Wahan se Germany pauncha aur ghumte ghumate America paunch gaya. YahaN aa ker bhi odd jobs kerta raha. Kuch paise ghar bhej deta, baqi juwe, sharab aur 'weed' main ura deta!  

2 saal pehle woh achhi job ke chakkar main mere shahr aa gaya to uski aik nai sifat mujh pe aashkara hui.....Uske paas aik se aik khubsurat larkioN ki line lagi rehti...gori, kaali, spanish, desi....you name it!

Aik din main ne us se poocha: "How many women you have slept so far?"
Usne jawab diya: "pata nahi, Shayed 300!"

Main us se aksar kehte: "Saale! na to teri shakal-o-surat hai, na to tujhe angrezi dhang se bolna aati hai, na tu shave kerta hai, na kapre dhang ke pehnta hai  - sharab tu peeta hai, 'weed' tu peeta hai - paise to tu saare juwe main ura deta hai ---- phir itni larkian kese?" 

Aur ye sach tha - main ne larkioN ko Ali Karim ki minnat kerte dekha hai  - to sleep with him!!

Woh  mujhe batata; "Bhai! aap bhi 'weed' aur 'ecstasy' pi pila ke sex karo phir jadoo dekho". Uske baad woh zor se hasta aur mujeh sher sunata

Aurat maange na taj-o-takht
Aurat maange L**a^ sakht

Aik din mujeh Ali Karim ka phone aaya ke "Bhai! I need your help". Ali Karim ko police ne traffic violation pe roka to gaari se 'drugs' baramad hui. ...He was in jail....I went to bond him and get him out...

Jab jail se wapas aaya to zindagi main pehli baar main ne use samjhane ki koshish ki. Ab woh addict ho chuka tha! ab us ka larki ke bagair to kaam chal jata tha magar drugs ke bagair uski halat  gair ho jaati thi!

I pushed him to get Rehab! I get him admitted to a good rehab......... Wahan us ki Allah jaane kiya kaya palti ke aik din mujh se kehne laga: "Bhai! namaz ki kitab la do"!..Main to namazi aadmi tha nahi, na mujhe namaz aati hai ,,magar aik desi store se namaz ki kitab khreed ke use de di.....

2 din pehle main uske paas gaya to usne mera haat pakar ke kaha: "Bhai! mera aik kaam ker do"

Main ne poocha: "Kiya?"

Kehne laga: "Kisi aesi larki se shadi kara do jo mere andar ke janwar se ziyada mere andar ke insaan ko apna le. ......Bhai! ab aik Allah aur Aik aurat ka hone ko ji chahta hai"


^ Urdu slang for mens' genital

Monday, October 15, 2012

Mushtaq Ahmad Yousufi

Mushtaq Ahmad Yousufi was a banker by profession. People with background in 'money related profession' usually lacks such sense of humor and satire but Urdu literature has very few names who come close to caliber of Oscar Wilde or Mark Twain! - No one beats Mushtaq Ahmad yousufi when it comes to real 'lateef mizah'. - In immortal voice of Zia Mohiuddin


Saturday, October 13, 2012

Aik sher Malala ke Naam!


14 year old kid shot by Talibans (Manimals)

Qatale-tiflaN ki munadi ho rahi hai shaher main
Ma mujhe bhi misle-musa tu baha de naher main

Thursday, October 11, 2012

On Makafate-Amal

(Father of my one friend said a beautiful thing)

"Dekho Beta! Mujeh ye to nahi malum ke agar aap kisi ko takleef dete hain to makafate-amal hota hai......kiunke main ne kai kamine saari zindagi bohat khush dekhe hain! Magar itna zaroor jaanta hun ke jis takleef se main guzarta hun, main nahi chahta koi aur insaan bhi us takleef se guzre. Beta! is tarah ka hisab kitab to chote logon ka kaam hai!!"


Wednesday, October 10, 2012

Nikah - 2

(Received this email on my one previous post 2-Bol)

Sir!

I read your post on Nikah (here). My wife divorced me as I cheated on her. Fair enough!! But she re-marry a person who already had 2 wives from before. I still can't comprehend that a woman who threw fit all over for her husband to sleep with another woman,  accepted to live with a man who simultaneously sleeps with 3 women, just because some religious figure attested it.

xyz

Monday, October 08, 2012

Zoo!

I can go to Zoo with you. But I don't enjoy Zoo! I can't just make sense out of it that you put wild animals in cage and enjoy their captivation. And don't give me that crap about learning wild life! 

Somehow it reminds me of Planet of the apes!..."Men has no understanding. It could be taught of few simple tricks, nothing more"!   http://www.youtube.com/watch?v=iVo7O349BFk

Saturday, October 06, 2012

On Minto

Log mujeh sayah Qalam khate hain - lakeen Mai tkhte sayah par Kali caak (chalk) se nahi likhta,.. safaid caak istemal karta hoon - takeh tkhte ki siyahi aur bhi numayan ho jae. (Minto)


(People says: I am a black writer - but I don't use black chalk on black board, I use white chalk - so blackness of board becomes more visible - Minto)

Wednesday, October 03, 2012

Woman's Yes and No

(Read on internet)

"Aurat ki 'Haan' aur 'Na' main itna fa'sla hota hai ke sui bhi ba-mushkil guzar sake"

(Distance between woman's yes and no is so narrow that needle may barely pass)


Tuesday, October 02, 2012

Sure-Asar!

Jab hum school main the to hamare islamiat ke teacher the Sir Aleem (RIP). (I blogged about him in past).

Woh kehte the: "Tumhe sure-asar ki taqat ka andaza aaj nahi hoga bulke tub hoga jub burhape ke qareeb paunho ge"

kitna sach kehte the Sir Aleem! Dekho to Sure-Asar ki in 2 linoN ke siwa zindagi hai hi kiya..
 

Monday, October 01, 2012

DuaoN ka safar!

Ghayas Bhai na to doctor the aur na hi hamare koi rishtedar. Ab to theek tarah yaad bhi nahi aata ke - kab kahan kese - unse mulaqat hui. Unki sadar ke ilaqe main bikul 'bus stop' ke sath ghari ki dukan thi aur shayed yunhi kisi bahane baat cheet ka silsila chal nikla hoga.

Jab kabhi unke paas do minute ke liye rukta - woh har baar chalte huwe mera haat tham ke kehte: "Dekho pareshan na hona, apna khayal rakhna, achha! - Allah tumhara nigheban hoga"....Aur mujhe yun lagta jese badloN ka aik saya mere sir se guzar gaya....Phir to yun huwa ke sirf unki dua simatne main unki dukan pe rasta badal ke ther jata.

Zindagi main kai azab aaye magar jab kabhi akela hua ya himmat tuti to ghayas bhai yaad aa gaye.

...Yun lagta jese  mere 'cerebral cortex' main ghayas bhai ki duaoN ka Imam zamin bandha ho!

Kuch dinoN pehle khawab main kiya dekhta hun ke, mera aik bhateejah bohat beemar hai. Main ne use phone kiya - sab khariyat hi thi magar ghayas bhai ki di hui dua ko main ne phone rakhte huwe aage barha diya - "Dekho pareshan na hona, apna khayal rakhna, achha! - Allah tumhara nigheban hoga"...

Aadmi to main kafir hun! ye to nahi malum ke duaoN ka kitna asar hota hai - magar ghayas bhai jese khubsurat logon ki khubsarat duaon ka safar chalta rahe to achha hai....