Wednesday, July 25, 2007

Hi-Tech aur hum

Allah Ahsan Ali ko jannat naseeb kare. Meri umer ka hi hoga magar ooper se bari jaldi bulawa aa gaya. Ahsan Ali aur main saath school aur college main parhe phir woh engineering ki taraf nikal gaya aur main qismat ka mara medical school main daakhil ho gaya!

Ahsan Ali mujh se pehle america aaya huwa tha. Dosti aur barh gai. Ittafaq se hum aik hi shaher main the. Har weekend pe Chicago ki lakeshore drive aur downtown ko nikal jana. Michigan lake pe 'Bikini clad' haseenaon ka nazarana kerna, desi restaurants main raat gaye tuk mehfilain jamana. ye sub khub 3/4 baras chalta raha. Phir main ne Chicago chor diya. Peeche se Ahsan Ali ki Shadi aik pakistani larki se hi ho gai. Love marriage thi. Love at first sight. Aahista aahista Ahsan Ali ke phones aur email kum hote chale gaye. Main apni zindagi main magan raha. Mujhe kiya maalum tha ke Ahsan Ali ki khamoshi ki wajah 'unhappy married life' hai. Ye sab to uski maut ke baad ilm huwa. Shadi thi to love marriage magar pehle din se jhagron ka shikar ho gai. Choti choti laraiyon ne mian biwi ke darmiyan bari khaleej paida ker di.

Aik roz main subha sawere tayyar hoke kaam pe ja raha tha ke mujhe cell phone pe ittlah mili ke Ahsan Ali ka seattle main car accident ho gaya hai aur ICU main maut aur zindagi ke bich para hai. Main ne flight pakri, seattle pauncha. Main khud doctor tha aur sub doctoron se mila. He was basically brain dead in Trauma ICU. Ahsan Ali ki biwi ke ilawa uski amma, bahen, bhai, bhanje, bhatijon aur dusre doston ka aik jame gafir tha. Dusri raat koi 12 baje jub waiting room main koi nahi tha, Ahsan Ali ki biwi ne mera haat thama aur bilak bilak ke rone lagi. Usne mujh se kaha: "Dua kerna Ahsan mujhe maaf ker de..Jub woh seattle ke liye ghar se nikla to hamari larai hui thi. Us ne kaha tha, tum kaho to main wapas na aaun aur main ne gusse main jawab diya, tumhare aane jaane se mujhe koi faraq nahi parta. Ab ki baar woh sach much nahi aaya. Mujhe maalum hai woh hassas aadmi tha. Driving kerte huwe dimag isi baat main hoga. Ab saari zindagi is guilt ko le ke kese jiun gi"

Ahsan Ali bohut yaad aata hai. Main ne apne address book se us ka email delete nahi kiya. Jub kubhi koi cheez doston ko fwd kerta hun to aik lamhe ke liye ruk jaata hun. Kaash main ne aik baar usse uski khamoshi ki wajah poochi hoti. Hamari is hi-tech duniya main internet, cell phone aur blackberry ke bawajud hum sab kitne dur, khudgarz aur akele hain. Ahsan Ali ki biwi ko to sirf aik jumle ka guilt hai, magar mere andar un 4 barson ka gulit khol raha hai jis main mujhe aik lamhe bhi ye khayal nahi aaya ke, aik hasta bolta dost khamosh kiun hai. Baqol Munir Niyazi

madad kerni ho us ki, yaar ki dharas bandhana ho
bahut derena raston pe kisi se milne jaana ho


kisi ko maut se pehle, kisi gum se bachana ho
Hamesah der ker deta hun main , hur kaam kerne main


2 comments:

Anonymous said...

Your post reminds me of something I had read once, and its true for most of us. Its our own fault..

Around the corner I have a friend,
in this great city that has no end,
yet the days go by and weeks rush on,
and before I know it, a year is gone.
I never see my old friend's face,
for life is a swift and terrible race,
he knows I like him just as well,
as in the days when I rang his bell,
and he rang mine, for we were young then,
and now we are busy, tired men.
Tired of playing a foolish game,
tired of trying to make a name.
"Tomorrow" I say, "I will call on Jim,
just to show that I'm thinking of him."
But tomorrow comes and tomorrow goes,
and the distance between us grows and grows,
around the corner!
"Here's a telegram Sir, Jim died today."
And thats what we get and deserve in the end,
around the corner, a vanished friend.

We should really make an effort to keep in touch with our old friends.

mystic-soul said...

In little words.."time flies" and suddenly. we realize we are gone too far too alone !