Tuesday, November 28, 2023

Maut - aur us ke baad 2 cheezain

 Jab jawani main insaan ka koi dost mar jaaye to insaan hil jaata hai

Aik din aik dost aik dam se accident main mer gaya - Chicago se Karachi main apne khandan ki umeedoN ka wahid chirag tha.

is baat ko 25 baras ho gaye.....

Aur phir hum sab use bhool gaye 

Jab peechle saal Pakistan gaya to pata laga us ke walid bistere marg pe hain. Main Moosa colony main, machli market ke saath - dhundhte dhundhte unke makan main pauncha to aik naheef kamzoor insaani dhancha bister pe para tha...

ajeeb yaad-dasht thi - ya shayed aulad se juRi har cheez - insaan ke dimag se chipak jaati hai - foran pehchan gaye

Mujhe dekh ke un  ki aankhon se 2 aansoo dhalak gaye. Main kuch der unka haat tham ke wapas nikal aaya

Jab main - sochon main gum - baRi saRak pe pauncha to mujhe aehsaas huwa

Agar Insaan mar jaaye - to peeche sirf do cheezain reh jaati hain

Aik qabar pe agar-batti ka dhuwaN (jo ab bhi meri nazron se nahi hatta)

aur dusre

ma baap ki ankhon main chupe aansoo

- aur phir aik din sab kuch hawa'on main tehleel ho jaata hai - jese kabhi koi kahani thi hi nahi


Monday, November 27, 2023

On Remembering Birthdays

 Agar birthdays ko iPhone ke calendar main save ker ke yaad rakhna paRe - to behtar hai 

       - aese birthdays yaad hi na rakkhe jaayain

Thursday, November 23, 2023

The most profound quote

 Over the years, all the quotes I have heard, I have never found more profound than this

“Death is the great equalizer of human beings.” ― Kilroy J. Oldster, Dead Toad Scrolls

Tuesday, November 21, 2023

Van Gogh’s “Potato Eaters”

 From Van Gogh’s realist work, I love this “Potato Eaters”. One could spend an hour finding the details and reality that they evoke.




Sunday, November 19, 2023

Kuch khubsurat cheezain (aur dehshat)

 Kehte hain: "Russian literature brings nothing but the understanding of deep sorrows." In comparison to other world literature, I found Russian literature way more vibrating at deep human consciousness boundaries.

Aik Russian kahani parhi thi, us ka agaz kuch yun hota hai: (Ab to writer bhi yaad nahi.)

Duniya main kuch cheezain bohat khubsurat hoti hain

Chandni raat

Sufed kapron main malboos aurat

jheel ka kinara

aik udas gamgeen ma

ma ke piyar ki aarzoo kerta bachha

Aur - agar ye sab aik saath hon to is se ziyada khatarnaak koi cheez nahi, aur maut ke saaye kahin aas paas mandla rahe hain


*The story deals with the life of a man who was born to a woman who lives a constant melancholic life due to the loss of her love. The boy is growing up without much attention from his mother. The mother eventually commits suicide one night by drowning in the lake and he carries that trauma all his life. This brings complications to his relationship with the women he encounters in his life. The end was left open with the man standing at the side of a lake at night for readers to guess, whether he committed suicide or not?

Friday, November 17, 2023

Burhape ki do cheezain

 I was in my early twenties, and like any normal young man used to hang out a lot in the evening at the neighborhood corner with other boys.

Ye woh umar hoti hai jab insaan ko apne mustaqbil ki aur naujawani ke 'crush' ki fikar saath saath rehti hai

One thing I still recall (and a lot frequently as I progress towards old age), is an elderly chacha in his late 60s used to tell us

Mere bachhoN, burhape pe insaan ko do hi cheezon ki aarzoo reh jaati hai

Aik purani naukri chahey kitni hi buri kiun na ho

aur

Aik purani biwi, jis ki adat par gai ho aur chahey kitni hi bad-zuban kiun na ho

Wednesday, November 15, 2023

Spoonless Party

 It was an interesting and unique party.

Last week, I was invited by some Mexican/Spanish friends to their place for a "Spoonless Party", where utensils were not allowed. You have to eat everything from your hand.

The theme of this party was that: The food is more pleasurable if eaten with bare hands. Even if you have to eat steak, eat with bare hand."

I found it very conceptual and truly enjoyed every bite more than if I had used a fork/spoon/knife/straw.

Monday, November 13, 2023

A sane advice

اگر کسی شخص سے تعلق کاٹ چُکے ہو ، تو اُس کے متعلق اپنی زبان بھی کاٹ دو

Saturday, November 11, 2023

265 years old letters

 Pakistan TV pe aik drama aaya kerta the: "Raat, Rail or Khat" - jis main aik train ka aik raat accident ho jaata hai - aur post-office ki khaton se bhari aik bori gum ho jaati hai

Aur phir har ghumshuda aik khat ke peeche ki kahani dikhai jaati hai

Aesa hi kuch peechele dinoN huwa.

Khaton ka 'treasure box'  -265 years - baad daryaft huwa.


“I could spend the night writing to you … I am your forever faithful wife,” Marie Dubosc wrote. “Good night, my dear friend. It is midnight. I think it is time for me to rest.”


Read this interesting story:

https://www.cnn.com/2023/11/06/world/french-letters-national-archives-scn/index.html

Thursday, November 09, 2023

Dostoevsky says


~دوستوئفسکی

 عورتیں آتی جاتی ہیں لیکن زندگی کبھی بھی آپ کو ایک اچھی عورت سے دو بار نہیں نوازتی.

Monday, November 06, 2023

Gaza ke naam - Sahir Ludhyanvi ki nazam

I am still trying to absorb the shock and horror of everyday images of dying children, women, and old people in Gaza.

 We all have blood on our hand

So-called, "The Great Game."

USA, Ukraine, Russia, Iran, Hamas, Israel...blah blah blah

In the end, no one cares about dying children, women, and common men on any side of the border, in any corner of the world.