Sunday, December 31, 2006

Gardening

"Mali baba ! aap ne saari umer bagbaani kerte guzaar di. Bus phoolon se pyar kiya, pode lagaye, darkhat ugaye, phal sajaaye, kiyarian banai. Kesa lagta hai aap ko"

"Dekho baba! Hur insaan ke ander aik rab rehta hai. Us ke ander bhi cheezain thakleeq kerne ki -  zindagi dene ki - us ki parvareesh kerne ki - saaya dene ki - aik rag pharkti rehti hai. In saans lete podon ki bagbaani ker ke kuch der ke liye apne rab jesa banne ki koshish kerta hun...Tum ne shayed hi kisi bure shaks ko bagbaani kerte dekha hoga"


Saturday, December 30, 2006

Art of slavery

Tu ke na-wa'qife aadabe ghulami hai abhi
Raqs zanjeer pahen ker bhi kiya jaata hai

You are not gifted with the art of slavery yet
Dance can still be performed wearing shackles

- as written by Habib Jalib for Pakistani movie "Zarqa" 37 years ago

Friday, December 29, 2006

On "Apple's Bite"

(a friend described his episode of cheating and succumbing to seduction)

"Fruit of apple" eaten by Adam and Eve from forbidden tree was nothing but the fruit of "lust".

Woh aik khubusurat aurat thi. Dil-aawez kupre pehnti aur har waqt honton pe lali sajaaye rakhti. Woh jaanti thi ke main shadi shuda hun magar woh mere qareeb aane lagi. Hum 'stores' main saath saath phirne lage. Woh is qadar meri zindagi main daakhil ho gai ke mere bacche ke school aa ker un ki ustaanion tak se milne lagi. Phir aik dopher woh mujhe aik aese gaaon le gai jahan sirf shewat ki hukumraani thi (Call it lustland). Jahan sub burhana the. Shuru main, main thora jhijka magar phir gurmiye-shewani ke aage dum tor gaya.- 

Chori ka wahi phal - jis ka asal maza allah jaane phal main hai ya uski chori main!

Thursday, December 28, 2006

Nana

Rasheed Mamu ne cigarette ka aik lamba kush liya, mun chat ki taraf kar ke naak se dhunwan nikala, kuch der khamosh rahe aur bole: "tum aaye nahi ! Marne se pehle tumhare nana tumhara bohat intizar kerte rahe".

Main jawab diye bagair saamne sofe pe betha raha. Mamu ne tafseel se nana ke aakhri dinon ke qisse, maut ke lamhat aur janaze ki rasoomat bayan ki. Main chup chap betha sunta raha aur saari kahanion ke khake apne zahen main banata raha. Mamu ne phir wahi baat ki aur chup hoke ke cigarette pine lage ke: "Tumhare nana ko tum se bohat mohabbat thi. Unhon ne tumhe paigam bhi bhijwaya tha ke - us se kaho ke aa sakta hai to aa jaaye. Magar tumhari ammi ko tumhare la-ubalipun ka ilm tha is liye baat chupa gain".

Main phir chup raha. Woh saare lamhe jo nana ki qurbat main guzare yaad aate rahe. Ye woh log hote hain jin ki aankhon main noor hota hai aur jin ki sohbat main sirf pyar aur sukoon ka aehsaas rehta hai.

Kafi der main aur mamu chup chap bethe rahe. Main uth ke chalne laga to mamu ne kaha: "Barson main aate ho. Nana the to phir bhi kabhi kabhi aate the. Ab aaoge ya nahi?"

Main ne kaha: "Nana jese log ajeeb hote hain mamu. Mar ke bhi unki khushbu nahi marti. Aaj bhi unki khushbu is makan main hur su pehli hai. Jub bhi duniya ki us haramzadi 'job' se, jis ne mujhe nana ki mayyat main aane se roke, se dil bhar aaya to is khushbu ki thandak simatne zaroor aaun ga"

Tuesday, December 26, 2006

achhe log

"Achhe log jaldi kiun mur jaate hain"

"Is duniya ki halate-zaar dekh ker shayed unka kaleja phat jata hai"

Sunday, December 24, 2006

Backbiting's force

There is a line in old granths and ginans (granths and ginans are medieval hindu, sikh and muslim religious poetry): "neenda thaye tian thi uthi ne jaeyen". Means - to get away from the place where you hear back-biting.

Few days ago, koonj did an excellent post on back-biting. What I also learned: Its not only important to avoid backbiting but to keep yourself away from such people and places. Backbiters and backbiting conversation is like a big centripetal force which tends to suck everyone around.

Wednesday, December 20, 2006

Zimbabwe

Woh baRa udas sir jhukaye, sir haaton main liye betha tha.

Main ne poocha: "kiya huwa". Us ne sir uthaya to aankhain num thin. Main ne kaha, "Khairiat?".

Us ne saamne computer pe ishara kiya Jahan CNN ki web site pe ye Khabar lagi thi:

Living off rats to survive in Zimbabwe

Main ne khamoshi se poori khabar parhi aur chup raha. Kuch der baad us ne kaha: "Yaar tum bare maulvi bante ho. Agar khuda ke darbar main sawal kerne ki , gila kerne ki aur ilzam dene ki ijazat nahi hai to ye te batate jao kiya hume rone ki bhi ijazat nahi hai"

Main kiya jawab deta. Faiz bohat yaad aaye

zehmate girya-o-buka be-sood
shikwae bakhte na-rasaa be-sood
ho chuka khatam rehmaton ka nazool
band hai muddaton se babe qabool

be-niyaze dua hai rabbe-kareem


(Useless endeavors of cries and tears
bemoaning unfufilled fortune for
Fall of (divine) blessing is over
For long closed is assent's door

God is not in need of prayer any more)



Tuesday, December 19, 2006

Baap

Kamine bete ke liye
aik 75 baras ki umar ke baap ko 
uth ker muaafi maangi pari

Sunday, December 17, 2006

Perdes

"Kitne baras se hain aap yahan US main"

"Koi Chalees (40) baras ho gaye beta"

"Lagta hai aap ko america khub raas aaya hai. Aalishan ghar, lexus gari, adab kerne wali samjhdar aulad - yahan ki behtreen universities main -, din dugni raat chugni taraqqi kerta karobar, achhi sehat.. aakhir koi dukh bhi hai aap ko?"

"Beta pardes se bhi baRh ker koi dukh hota hai kiya! Ye sub kuch to aese hota hai jese baanjh zameen pe matti ka ranga rang gharonda".

Thursday, December 14, 2006

Amir Khusraw

(Beautiful sufi song written by Amir khusraw for his guide Nizamuddin Aulia - nijam as in last line - source: http://www.alif-india.com/lyrics.html)




You've taken away my looks, my identity, by just a glance.
By making me drink the wine of love-potion, You've intoxicated me by just a glance;
My fair, delicate wrists with green bangles in them, Have been held tightly by you with just a glance.
I give my life to you, Oh my cloth-dyer, You've dyed me in yourself, by just a glance.
I give my whole life to you Oh, Nijam, You've made me your bride, by just a glance.

Beautifully sung by various artists but here is Naheed Akhtar version


Wednesday, December 13, 2006

Responsibilities


A disciple approached his master: "For years I have been seeking illumination," he said. "I feel that I am close to achieving it. I need to know what the next step is."

"How do you support yourself?" the master asked.

"I haven't yet learned how to support myself; my parents help me out. But that is only a (minor) detail."

"Your next step is to look directly at the sun for half a minute," said the master.

And the disciple obeyed. When the half-minute was over, the master asked him to describe the field that surrounded them.

"I can't see it. The sun has affected my vision," the disciple said.

"A man who seeks only the light, while shirking his responsibilities, will never find illumination. And one who keep his eyes fixed upon the sun ends up blind," was the master's comment.

From Maktub - Paulo Coelho

Monday, December 11, 2006

universal web

Agar koi cheez is 'universal web' main tumhare liye likh di gai hai to woh tum tak ghum phir ker kisi tarah bhi zaroor paunch gi, chahe tum us ki tamanna karo ya na karo, ya chahe tum use yaad rakkho ya bhool jao.

Sunday, December 10, 2006

House of 1000 Mirrors


Long ago in a small, far away village, there was place known as the House of 1000 Mirrors. A small, happy little dog learned of this place and decided to visit. When he arrived, he bounced happily up the stairs to the doorway of the house. He looked through the doorway with his ears lifted high and his tail wagging as fast as it could. To his great surprise, he found himself staring at 1000 other happy little dogs with their tails wagging just as fast as his. He smiled a great smile, and was answered with 1000 great smiles just as warm and friendly. As he left the House, he thought to himself, "This is a wonderful place. I will come back and visit it often."


In this same village, another little dog, who was not quite as happy as the first one, decided to visit the house. He slowly climbed the stairs and hung his head low as he looked into the door. When he saw the 1000 unfriendly looking dogs staring back at him, he growled at them and was horrified to see 1000 little dogs growling back at him. As he left, he thought to himself, "That is a horrible place, and I will never go back there again."

Its your attitude which reflects.

Friday, December 08, 2006

Laila Baji

Laila Baji!!  Woh saare mohalle ki laila baji thi. 

Bachon ko tuition aur quran parhati thin. Umer ab to koi pentalees (45) ke aas paas ho gai hogi magar aaj se 15 - 20 baras pehle laila baji bohat khubsurat huwa kartin thin. Mohalle ke larke un pe khub mara kerte the. Laila baji ka aik nikhattu sa bhai tha, bara kaamchor. Bohat arsa huwa ghar se bhag gaya. Walid kamzor se aadmi the aur un ki aik choti si lagi bandhi naukri thi magar ghar ka guzara mushkil hota tha. Aadha kharch laila baji mohalle ke bachhon ko tution aur quran parha ker poora kertiN. Laila baji ke aik se barh ker aik rishte aate magar unki amma har rishte se inkaar ker detin. Log kehte hain amma ko aesa rishta chahiye tha jahan biah' ker bhi laila baji ghar ke karch main madad de sakain aur isi intizar main laila baji ki umer nikal gai. Laila Baji ke saath ki saari sahelian aik se barh ker aik jagah biah' di gain.

Ab ki baar jab main Pakistan gaya to mohalle main bohat kuch badal gaya tha. Mohalle ke pehle makan ke aangan main bethne wali 'khush khuda begum' bhi faut ho gain thi jo har kisi ke aane jaane ke auqat ka hisab rakhti thin. Magar laila baji wahi thin bus ab umer dhalne ke aasar the. Ab bhi bachhon ko tuition aur quran parhatin thin. Un ke walid ab faut ho chuke the, ab amma reh gain thin. Usi muskurahat aur pyar se milin. Har kisi ka fardan fardan haal poochti rahin magar aankhon ke peeche chupe aanson mujh se na chup sake.

Sochta hun laila baji ke dil ki kahani kaun likhe ga. Jub wapas aate PIA ke jahaz main betha to khirki pe baarish ke hulke hulke qatre chamak rahe the. Aesa laga Laila baji ke aansu hain jo tohfatan unhon ne apni sahelion ke liye mere saath bhijwa diye hain!

Wednesday, December 06, 2006

rishte

Us aurat ne zindagi main siwaye apni pehloti ki beti ke shayed hi kisi se mohabbat ki ho. Ma baap us ke bachpun hi main faut ho gaye the. Zamane ki sitam zarifion ne us ke ander aik ajeeb karwahat bhar di thi. Mekaa to koi tha nahi albatta shadi ke baad woh saare susral aur mohalle main apni karwi kasili zaban ki wajah se mashoor rahi. Jab woh khud faut hui to jahan us ke mian ne sukun ka saans liya wahan main ne bhi kaha: 'khas kum jahan pak'. Us ke peeche agar koi roya to bus usi ki woh aik beti.

Magar aik baat sab kehte hain ke jab bhi koi us ki beti ke khilaf kahin koi baat kerta hai to woh us raat us shaks ke khawab main aake apna chehra zaroor karati hai. 

Ye kese rishte hain jo mar ke bhi nahi marte.

Tuesday, December 05, 2006

3 stars

"Dekho bhaiyya ! Tumhari ye ikhlaqiat ki jhak jhak buk buk to main roz hi sunta hun magar is mulk main, main ne aik baat note ki hai, ke white collar job ke liye:

Kamyabi ke teen nishan
Lamba, gora aur jawan"

Saturday, December 02, 2006

12 kids

12 kids participated in the quiz. 
All did well so prize was given by lottery to one kid. 
11 kids lost faith to their hard work!

Friday, December 01, 2006

Puntuality

One of the most important lessons of life you need to teach your kids is to be puntual at work. 7 AM means 7 AM not 7.01 AM. Better be 5 minutes early. Nobody respects the habitual late comer.

"what if I get late due to unavoidable reason like ..ummm.... say accident?"

"Call them and let them know you are running late (and pay back that time later)"

"What if I can't contact them"

"Apologize when you see them"

Tuesday, November 28, 2006

Honesty is the best policy

When we were kids, they taught us "Honesty is the best policy". 
After decades I believe true saying should be: "Honesty is the best politics".

Monday, November 27, 2006

Needles

If you have read Shakespeare's Othello, you would know how gossip, jealousy, misunderstandings, and emotional factors can blind the human mind to something so obvious.


She was in love with him. They planned to get married every summer. But, every time, he chicken out of commitment. She knew there was something he wanted to say but had difficulty communicating due to an unknown fear factor. And one day, she discovered what it was when she found needles and syringes in the glove compartment of his car. She accepted that he is addicted to drugs, as suggested by her friends and circumstances. Now she was able to connect a lot of dots from his behavior. Naturally, she broke up with him and walked away without saying a word. She refused to answer his calls, deleted emails without reading them, and so forth. The trust was broken. Years later, she came to know that she was dead wrong. He was an insulin-dependent diabetic.


*

Sunday, November 26, 2006

der ker deta hun

(posted as told)

Zindagi main kabhi kabhi aik dum se aese waaqiat ho jaate hain ke saari zindagi ke liye aik aehsaase jurm, bulke sahi lafz angrezi ka hai - guilt - chor jaate hain. Munir Niazi ki aik khubsurat nazam hai:

Hamesah der ker deta hun main

Ye un dinon ki baat hai jub hum karachi main raha kerte the. Haamre saale sahab naseerabad ke ilaqe main 'flaton' main rehte the. Aik din main un ke haaN giya to ghar ke bahir dekha ke aik khubsurat kurail jawan, sufed qameez main malboos, behosh para hai. Jub poora nazara saamne aaya to mere bhi hosh ur gaye. Us ki aik taang kati dur pari thi. Shayed us ka accident ho gaya tha. Dusre logon ki tarah main bhi use chor ker apne raaste chal diya. Ali (mera saala) to ghar per nahi tha magar baqi ghar walon se batain hone lagi. Khuch der baad khayal aaya ke jaake dekhun aakihr huwa kiya. Bahir ja ker dekha to meri hairat ki intiha na rahi ke ab tuk woh jawan or uski kati taang yunhi pari thi. Us ka rang safed ho raha tha. Main us ki taang chor pehle use zabardasti ghaeestta darwaaze tuk laya. Itne main Ali bhi aa chuka tha. Main ne kaha: 'ise bister pe daalo, main taang le ker aata hun'. Main kaali parti taang le ker wapas aaya to ali ne kaha: 'khun bohut beh gaya hai, ise to murda khane paunchana pare ga'.

Police ka dur ho ya kuch bhi magar ye kesi behisi thi ke koi bhi us ki madad ko na gaya. Us shaks ne marne se pehe agar aik baar bhi ye socha hoga ke kiya koi bhi nahi aaye ga madad kerne - to us aehase-jurm se saari zindagi hum kese bhag sakte hain !!

madad kerni ho us ki,
yaar ki dharas bandhana ho
.........................
kisi ko maut se pehle
kisi gum se bachana ho
Hamesah der ker deta hun main
hur kaam kerne main

Friday, November 24, 2006

Triangle of human relationship

"Teen tigara - kaam bigara" 

Found it so true, whether love, work, home, or friends.

Thursday, November 23, 2006

election

I cannot stop laughing reading this quote from Stalin: 

“The people who cast the votes do not decide an election, the people who count the votes do.”

Wednesday, November 22, 2006

Human touch

It is very important to choose a profession in which you deal with live humans everyday. Yes! it makes a difference.


Tuesday, November 21, 2006

She

He was a mean guy, not to mention his arrogance. Hated by all around and all relatives. He never worked. He was an alcohol and tobacco addict. She stayed with him for the sake of 2 kids. 20 years of marriage. She worked hard to make sure that kids get an education. She thought of divorce but decided against it as she didn't want her kids to grow up without a sense of father and a broken family. 


(yes, we all think it was wrong, but not for many Indian women). 


She put up with everything from him. He was diagnosed with Lou Gehrig's disease three years ago and progressively became bedbound. Now she takes care of him, from feeding to cleaning his butt and often putting him in a chair to avoid bedsores.


Eventually, he will die one day with all his nuisance, but what about her sufferings?


*

Saturday, November 18, 2006

2 posts

Lately while browsing blogs following 2 posts left deep marks on my thoughts...I am just putting little abstracts here, click if you desire to read the whole post:

1. Backbiting from Koonj
"..........It’s a tough one, backbiting. It’s a major sin. It consumes the virtue of a person faster than fire eats dry wood. And it’s a sin greater than fornication. How often we’d think before committing the latter, and how little we think before backbiting. The Quran equates backbiting with the eating of your brother’s flesh. Here’s a helpful creepy anecdote to help us (me especially) with the tough one.
My sister and her ex-husband used to backbite about this certain woman “P” quite frequently. One night, she dreamed that they were eating "P", really just gorging on her flesh. “here, here’s a tender piece, try this one!”
................................"


2. Beyond Parental Sin from Truth and; Beauty
"I read about an experiment done to gauge infant chimps’ needs for maternal care and bonding in a college psychology class . The babies were exposed to “mothers” made of wires, spikes and the occasional electric shock. Traumatized though they were by a mother-figure who hurt them, was unresponsive, and cold to the touch, the infants continued to cling needily, unable to thrive physically and emotionally but unable to let go either. That experiment, in all its cruelty and horror, has stuck in my mind for years. I’m not a parent, but, rather, a mostly absent and preoccupied aunt. I don’t really understand the profound love, imposition of adult will, frustration, or patience of parenting. But by looking at my parents and at my sisters, who are both now mothers, I see a little more clearly how awesome a responsibility having a child is, how it is a nurturing that never ends, even when children grow into adulthood and move away.............................."

Thursday, November 16, 2006

Gravity

I think the whole fight of humanity is against the core force of gravity!

Wednesday, November 15, 2006

Woh sham

Woh hamare ghar ke kisi kone main chup chap rehti thi. Mujhe iska ilm tha. Kisi bahut hi dukhi aurat ki ruh thi ya pata nahi shayed churail hi thi. Magar aaj tuk usne tang nahi kiya tha.

Us sham, meri biwi aur bachhe kahin chale gaye the. Main bhi ghar ki bijli gul ker ke bahir ja hi raha tha ke apne bete ke kumre ki kursi pe main ne use bethe dekha. Zero bulb ke lamp ki roshni main, Kale baal main rota chehra tha aur aansun ki lakir main aankhon ka kajal beh raha tha. Ghar ke kumron main us ka aana aik nai baat thi. Main us se kehna chahta tha ke ghar ke kumron main na aaye magar dar ke maare kuch kehne ki himmat na hui. Main ghar se jald as jald nikal jaana chahta tha. Magar junhi main bahir niklne laga aik aur moti kaali badsurat aurat ka parto nazar aaya jis ke chehre pe sirf shehtani muskurahat thi. Main aur dar gaya aur unko wahan chor ke ghar se neeche utar aaya.

Sham dhal rahi thi magar ab tak sarkari qumqume roshan nahi huwe the. Sarak pe andhera sa tha. Main ne mehsoos kiya ke mere chehre aur aankhon per kafi sujan ho gayi hai. Is qadar sujan ke nazar bhi dhundla gai hai. Pehle khayal aaya ke kisi PCO se police ko phone karun magar phir socha police meri baat nahi samjhe gi. Main aik qareebi dawaii ki dukan aur super store main ghus gaya. Wahan kuch auratain dukan waale se jhagra kerne main masroof thin. Insaano ki bhir dekh ker aur dukan ke ander roshni dekh ker mujhe kuch sahara huwa. Nazar bhi ab kuch behtar thi. Main cheez khareedne ke bahane store ke aur ander chala gaya. Magar ghar ki woh dukhiari ruh aur us ke kaandhe pe sawar woh nai moti churail peche se meri taraf dorti hui aain. Us ki muskurahat ab shehtani hasi main badal chuki thi. Main store ke aur ander bhaga magar dono ne mujhe daboch liya aur apne daant meri garden main gaar diye. Phir mujhe hosh nahi raha ke kiya huwa !!

Jub aankh khuli to garden pe ab tak daanton ka ehsaas qaaim tha!

Tuesday, November 14, 2006

Monday, November 13, 2006

An old Cherokee story

One evening an old Cherokee told his grandson about a battle that goes on inside people.

He said, "My son, the battle is between two wolves inside us all."

One is Evil. It is anger, envy, jealousy, sorrow, regret, greed, arrogance, self-pity, guilt, resentment, inferiority, lies, false pride, superiority, and ego.

The other is Good. It is joy, peace, love, hope, serenity, humility, kindness, benevolence, empathy, generosity, truth, compassion and faith".

The grandson thought about it for a minute and then asked his grandfather: "Which wolf wins?"

The old Cherokee simply replied, "The one you feed."


Thursday, November 09, 2006

lust and Jealousy

 An old saying from hindi bhajan always takes away my breath

'Kaam krodh'
 jena ghat mahain 
zahir jaagiya
Tene jitiya jitiya 
dau serve hariya

(In whom manifest 'lust and jealousy',  has lost all the bets)


Tuesday, November 07, 2006

khidmat

"Doctoron ne jawab de diya tha magar ammaa ki saans ab tuk chal rahi thi. Log keh rahe the ke meri ma ki jaan kisi cheez main atki hui hai, is liye maut nahi aati. Sare shaher main dengue virus pehla huwa tha - bachhon ko hospital ke ander jaane ki ijazat nahi thi. Main ne security guard ki bari minnatain ki ke aik dafa meri ma apne pote ko dekh le to ise sukoon aa jaye aur us ki roh nikal jaaye. Security guard meri baat to na mana magar nursing supervisor ko mujh ko yun girgirate dekh ker taras aa gaya aur mere bete ko ander jane ki ijazat mil gai. ICU main ammaa leti thin. Merne se pehle kisi cheez ka intizar ker rahi thin. Main ne kaha: "Dekh ma! kaun aaya hai". Us ne mere bete, apne pote ko dekha - aik muskurahat un ke chehre per aai aur unhon ne mere bete ka naam le ker aankhe band ker lin. Shaam ko magreeb ki azan hui aur amma is jahane-faani se kuch ker gain.

Meri Ma ki maut ke baad mere bete ko shadeed bukhar ho gaya - 105 degree. Pehle to main dur gai ke kahin hospital se Dengue virus hi na lug aya ho magar allah ka shukar hai aesi koi baat nahi thi. Ab woh apni nani ke kamre se bahir hi nahi niklta bulke nani ke khali bister se hi nahi utarta. Uthte bethte hur cheez main bus nani nani !!"


Us ne rote huwe mujhe apni ye kahani sunaii aur poochne lagi ab kiya karun?

Main ne Kaha: "Bachhe ko to allah sabar de hi dega magar tumhari apni ma ki ab behtreen khidmat yahi hogi ke is bachhe ki jitni achhi parvarish ker sakti ho us ki koshish karo. Ma baap ki khidmat unki maut ke baad hamare apne bachhon ki khidmat se hoti hai"

Monday, November 06, 2006

My Man

He was dying from terminal cancer. His wife was on his deathbed. She had tears in her eyes. She looked with sympathy at her husband, and he said sternly, "Don't you give that look to me."


She put her head on my shoulder when he died and said: "My man died"!!


*

Sunday, November 05, 2006

Neki aur Badi

Ye bhi aik ajeeb cheez hai. Aadmi jis qadar achhaii ki taraf maail hota hai buraii usi qadar barh ke waar kerti hai. Azal ki aik jang jis ki aag pe ruhoN ki perverish hoti hai. 

Barson pehle ki baat yaad aa gai: 

"Neki aur badi dono khuda ki do piyari betiaN haiN, jin se woh barabar pyar kerta hai!!"

Friday, November 03, 2006

Sabar

Agar koi mujh se pooche ke duniya main sab se bari daulat kaunsi hai? 
 - to main kahun ga - "Sabar". Jise sabar mil gaya use sab kuch mil gaya!

Friday, October 27, 2006

Waitress Mom

Friends wonder about my heavy tip to that waitress in a Thai restaurant.

She came from Thailand to the USA five years ago. Both husband and wife work hard to ensure their kids get the best of America's education. They are sending their four kids (read again, 4) to the city's prime suburb private school, where each child costs at least a thousand dollars a month. They drive old cars and live in tiny rented houses to ensure their kids get the best education.

*

Thursday, October 26, 2006

sonya ki kahani


Koi saari zindagi girta parta hai magar iman aur sirate mustaqeem ki daulat nahi milti. Aur kuch khushnaseeb sonya jese hote hain ke 21 baras ki jawani main hi, dayare gair main rehte, angrezi bolte, jeans pehnte, dukhon ke pahar jelte - us allah ke ho jaate hain. Sonya aur rabia basri main koi ziyada faraq thori hoga !

Wednesday, October 25, 2006

Thursday, October 19, 2006

Fragile life


We all live in an ocean of unforeseen fragilities!

Le saans bhi aahista ke naazuk hai bahut kaam

Will you please count and respect your blessings?

Wednesday, October 18, 2006

Shabe Qadar

I don't think shabe qadar is limited to one night of Ramadhan (That one night is just a ritual and sign of more deeper meaning). I believe it's a 'given moment' which could happen in anyone's life - obviously a few pious and chosen - not limited to any religion. It's a 'given moment' in which man gets bestowed with the spark which connects him with the eternal, with oneness as described by Sufis as - 'manorialism.' It is a moment beyond time and space, which is eternal and like a big infinite circle full of peace, knowledge, and harmony.

*

Monday, October 16, 2006

kamzor lamha

Hur kisi ki zindagi main kamzor lamhe aate hain jub jazbaat ke bahao main zabt ke sare band toot jaate hain. Mujh pe bhi aese lamhat aaye hain aur tum pe bhi aaye honge.

Baqol Ghalib: Dil hi to hai, dard se bhar na aaye kiyun

Is se ziyada achhi baat koi aur nahi ke kisi ke kamzor lamhe ko bhool jana aur kubhi kisi ke aage us ka zikar na kerna. Aur is se ziyada kaminapun koi aur nahi ke, kisi ke us lamhe ko us ko bar bar yaad dilana ya kisi aur ke saamne us ka zikar kerna.

Baqol Ashfaq Ahmad: (aib chupa ke agla) Banda Bacha lo!!!

Sunday, October 15, 2006

Mubeen

Us shaks per be-qasoor naghaani aafat ka baar par gaya. Jab woh mujh se milne aaya to chaal main wahi waqar aur chehre pe wahi muskurahat thi magar ander chupi pareshani ka parto bhi tha. Usi pyar se gale bhi mila. Main ne kaha: "yaar fazool main tere saath galat ho gaya". To kisi ko ilzaam dene ki bajaye, us ne jawab diya: "Bus yaar ! mere apne gunhaon ki saza thi".

Duniya main ye bhi aik ajeeb log hote hain. Larai, jhagre ya ilzaamon ki maar dhaR kiye bagair aik sidhi si baat soch ker aur sara dukh apne ander simat ker, mushkilon se chup chap guzar jaate hain.

Friday, October 13, 2006

aana jaana

Kiya ye sach hoga ke is duniya main aane or jaane ka waqt hum khud mutaiyyan kerte hain aur ooper wala sirf muskura ke us pe mohar laga deta hai ?

Friday, October 06, 2006

Dant

Aur jab us ne gurrate huwe mera naam le ker mujhe danta to na to mujhe gusse aaya aur na hi dar laga bulke achha laga - ke koi to hai mujhe meri bewaqoofion se rokne wala!

Thursday, October 05, 2006

Wednesday, October 04, 2006

All hats off to Amish people

I have always been fascinated with the Amish community, and now I have so much respect for them. After going through such a horrendous tragedy when their children were shot dead without any reason (unbelievable crime ! How someone can even think of doing that) - how they reacted so gracefully is impressive. You may disagree with their beliefs, but I see their character as a 'role model' for other communities and religions. They are at least honest and sincere in their teachings of forgiveness.

'Life has to go on for Amish community Spirit of forgiveness rules the day in the face of school shooting tragedy - http://www.msnbc.msn.com/id/15120230/

*

Tuesday, October 03, 2006

Godfather

Listen, son!

If I am not there to help you to climb the difficult stairs of life, another Godfather- a lookalike of Jesus - fair, tall, and with long hair - would be there to hold your hand !!

*

Monday, October 02, 2006

maafi

Dekho bhaiyya !

Mujhe maaf kerne ki koi bimari nahi hai. Agar tum ne mujhe nuqsan paunchaya hai, ya mere 'trust' ko 'break' kiya hai to - yes! you owe me. 

Agar main tumhe kuch nahi keh saka to ye meri kamzori hai --- magar --- nahi nahi nahi ---main ne tumhe maaf nahi kiya ! Meri bad-duaain tumhara peecha kerti rahain gi !

Sunday, October 01, 2006

Saturday, September 30, 2006

On 'one unique friendship'

After a long time, I made a special trip to see a childhood friend. Even after a gap and silence of 25 years, there was no need to connect. Miles apart, we grew on the same frequency. Time was unable to make a single dent. Eating quail meat at 'kababish,' sitting near the lake at Fairmount Park, and roaming on streets of Philadelphia, we talked about everything. We ate the best cheese steak in the USA together.


Now looking back....25 years ago, I remember when I first saw him- I said to myself: "How come I know this guy?'


Did we know each other even before we met? How come all our friends, when falling apart, grew on different axes except us?


*

Thursday, September 14, 2006

Wednesday, September 13, 2006

7 steps of spiritual event

Pehle ilm ata hai phir tajarba - phir ilm aata hai us tajarbe ki tausi (attestation) kerne - phir ishara aata hai aur phir imtihan! - kamyab huwe to bakshish!

Wednesday, September 06, 2006

Duality of man's nature

Hum sab ke andar Robert Louis Stevenson ka 'The Strange Case of Dr Jekyll and Mr Hyde' rehta hai.

Saturday, September 02, 2006

Mother

Insaan ho ya janwaar...Aulad ke chale jaane ka dukh 'maa' se barh ker kis ko ho sakta hai !!
Baqol Iftikhar naseem:

Taaq per juzdaan main lipti
duaaiN reh gaiN
Chal diye bete safar per,
ghar main maaiN reh gaiN


Wednesday, August 30, 2006

dukh

Agar koi mujh se pooche ke duniya ka sub se bara dukh kiya hai to main kahun ga - apni aulad ko bebasi se bimar aur dukhi dekhna !! Aaj us 'ma' ki muskurahat ke peeche jo dukh tha, kiya main us ki gharaii kubhi bhi mehsoos ker paunga (I pray, I don't have to go through that). Us bachhe main dard sehne ki jo bepanha quwaat hai, woh shayed us ki 'ma' ke aansuon main pinha hai !

Friday, August 25, 2006

2 kinds

There are two kinds of people in this world.


1. Regular or ordinary people like us who live life under logic. We apply logic in every decision in life ..like getting married, choosing a career to buy a car, etc.


2. Who you can call 'nuts' or, as in Hindi/Urdu, 'dhuni.' They just do things as they want to. Nature has tuned them to choose a specific path for no particular reason. Some of these people have been labeled failures, stupid, or pagal in their contemporary world. These people write the history of humankind and influence millions over centuries. These include scientists, musicians, artists, poets, singers, teachers, sportspeople, warriors etc.


Are you the core 'dhuni' or nature's regular unchosen masala?


*

Thursday, August 24, 2006

new generation

There is so much talent in this new generation. They just need someone to guide them or give a boost or a little help. I met three young roommates - a perfect match. One is a good voice, the other plays instruments, and the third is a good lyricist. Then I met this group of talented guys and a pretty young girl who wanted to do a film but looking for a financier or any well-known director. I hope a generation after me finds a way into their heart. I don't want them to walk on the heartless roads carved by others.

*

Wednesday, August 23, 2006

Mohammad Hussain uncle

Aur woh log bhi the, jinoh ne mujhe bachpun main baap jesi shafqat di. Jawani main mujhe na pehchan paaye aur jub main ne apna taaruf karaya to aaj aankhon main pyar ke saath saath fakhar bhi tha. Mohammad Hussain uncle waalid ke dost the. Apne darmiyane qad ke saath, aaj bhi wese hi neele shalwar kameez main malboos the. Waqt ne baalon main chandi bhar di thi magar muskurahat aaj bhi wese hi maasum thi.

Is duniya main kuch masoom log aate hain, pyar ki khusbu hulke hulke bikher ke chal dete hain magar unki kahani koi nahi likhta. Ye woh log hain jin ki maasumiat maut ke baad bhi wese hi qaim rehti hai..hamare dilon main, hamare khawabon main!

Tuesday, August 22, 2006

A fine balance



On my 6th birthday, my father gave me the "balance," which used to hang on my wall. After so many years now, I realized what that means. The art of living is to achieve "balance" in all aspects of life.


A Fine Balance, as said by Rohinton Mistry.

Monday, August 21, 2006

Alas!

Alas!! Human life goes through 3 phases.

"I will do this"
"I have time to do this"
"Why I didn't do this"

Sunday, August 20, 2006

Spiritual families

He was different. Tall with a Texan accent and hair with a pony !! He said to me: "All over, there are 40 kinds of people. You will be surprised to find two exact personalities, even look alike, born on two different continents. Like botanical and zoological families, we humans have our own spiritual families or classes" !!!

Wednesday, August 09, 2006

Decisions

Decisions in life are like fruits on the branches (events) of the tree (life). Once ripe! They will quietly fall into your heart!! (and at that moment, your heart will know what to do)!

Sunday, August 06, 2006

bachpun ke dost

Zindagi main aksar,
tanhaii main aakar
woh dost
hum se batain kerte hain,
jo zindagi ki bhul-bhulaion main
hum se kahin kho gaye hain

Friday, August 04, 2006

naik amal

Achhe kaam pe kharch kiye huwe paise, kahin na kahin insaan ki hifazat zaroor kerte hain !!

Thursday, August 03, 2006

swimming

Tum ne mullah nasiruddin ki woh hiqayat to suni hogi ke, aik shaks ne teraki (swimming) ke mozun per kai kitabain parhi magar jub terne gaya to doob gaya!!

Wednesday, August 02, 2006

vanvaas

Hur koi zindagi main aik 'van-vaas' kaatta hai. Main ne bhi kata hai, tum bhi kato ge. Meri dua hai, tumhara 'van-vaas' mukhtasar ho.

Tuesday, August 01, 2006

Qudrat ka mazaq

Ye bhi kismat ki aik azeem sitam-zarifi hai, jeese kehte hain - chirag tale andhera!! Ye koi pehli baar to nahi huwa. Hamesha qudrat aese mazaq kerti rehti hai ya shayed koi sabq dena chahti hai.

Us aurat ne teen bete jawan kiye. TeenoN ko doctor banaya aur teenoN 'anesthesiologists', jin ka kaam hi "protection of airway" hota hai. Magar un ki ma aaj sirf is liye qabr main leti hai ke jub paramedics ghar aaye to "they were unable to insert endo-tracheal tube" !!

Thursday, July 20, 2006

Black hole (aik nazam)

Black hole

Kiya jo waaqiya mujh pe nahi guzra
main us qisse ka bhi hissa hun
Kiya judaai ka jo lamha mujh pe nahi beeta
main us ghari ka bhi hissa hun


aik wqat mere ander rehta hai
zaman-o-makan se pare
jo saalim mukammal hai
maazi ki sadion se aTa aur
mustaqbil ki goonj se bhara
main kaainat ke us nuqte,
us 'black hole' ka saaniha hun


jo wehdat ki kasrat se pehlne wali
‘bang’ ka hissa hai
meri ruh
us dhamake ki tawani
se paida hui hai
aur apne ander us 'black hole' ki
baazghast liye huwe hai
sara dukh simte huwe hai


kabhi kabhi
main aansu-on se ter
apni neend se bedaar ho ker
un waaiqat ko dekhta hun


meri ruh - meri tawani
apne black hole ke us markaz ko
us aik nuqte ko,

apni wehdat ke waapsi ke us raste ko
dhundhne main sadion se sargardan hai

Aur main ruhon ke is rewar main
hur ruh ka hissa hun!

Tuesday, July 18, 2006

House and apartment

If you can afford, raise your kids in house - not in apartment. Psychologically, its more secure and provides self identity. Beside privacy, Jagah bari ho to dimag bhi khule rehte hain

Monday, July 17, 2006

na-khushi

Na-khush insaan Aadmi aakhirkaar apnon ko hi nuqsaan paunchata hai.

Wednesday, June 28, 2006

Why me?

Arthur Ashe, the legendary Wimbledon player was dying of AIDS which he got due to infected blood he received during a heart surgery in 1983. From world over, he received letters from his fans, one of which conveyed: "Why does GOD have to select you for such a bad disease"?

To this Arthur Ashe replied: The world over -- 5o million children start playing tennis, 1 million learn to play tennis, half million learn professional tennis, 50,000 come to the circuit, 5000 reach the grand slam, 50 reach Wimbledon, 4 to semi final, 2 to the finals, When I was holding a cup I never asked GOD "Why me?". And today in pain I should not be asking GOD "Why me?"

His another famous quote: "From what we get, we can make a living; what we give, however, makes a life."

Tuesday, June 27, 2006

Store room

Jub main aur meri biwi, Harrison Ford aur Michelle Pfeiffer ki film "what lies beneath" dekh ker theatre se bahir aaye to main ne apni biwi se kaha "Kiya bakwas hai!"

Us ke kuch dinoN baad ki baat hai...hamare makan main aik store room tha jo bawarchi khane ke bilkul peeche the. Bijli bachane ke chakkar main thekedar ne beech ki deewar main jaga bana ke bijli ka bulb yun laga diya tha ke aik hi bulb se bawarchi khana aur store room dono roshan rehte.

Main kisi kaam se store room main gaya to mujhe mehsoos huwa ke wahan koi hai. Pehle to main ne socha mera wahma ya dur hai magar jub cheezain khud b khud hilne lagi aur khud mujhe jhanjhore jaane laga to main ne us ger maraei makhluq se kaha ke agar mujh se baat kerna chahte ho ya meri madad chahte ho to batao magar woh yunhi mastian kerta raha. Main ne kaha, agar koi insaani ruh ho aur yahan phans gaye ho to batao shahyed main tumhare kaam aa sakun magar ab us ne zor se bijli ka heater shuru ker diya. Mujhe gussa aa gaya, main ne kaha: "Dekho ! tum jo koi bhi ho, hum insaanon ko tum per foqiat haasil hai. Sirf masti theek nahi. Agar yahan se nikalna nahi chahte ho to pare raho aur ye saari mastiaan band karo".

Meri baat sun ker sub kuch khamosh ho gaya aur ab store room main kuch nahi hota. Shahyed woh wahin rehta tha aur rehna chahta tha. Magar ab sochta hun ke us ne mere saath ye harkat kiun ki ?. Ye batane ke liye ke jo kuch us film main dikhaya gaya, sub bakwas nahi tha?. To kiya woh store room main rehne ke saath saath hamare saath ghuma phira bhi kerta tha?

Sunday, June 25, 2006

PROVERBS

PROVERBS - From the World Over


A good husband is healthy and absent.
Japanese Proverb


A hedge between keeps friendship green.
French Proverb


A hungry man is an angry man.
English Proverb


A man does not seek his luck, luck seeks its man.
Turkish Proverb


A new broom sweeps clean, but the old brush knows all the corners.
Irish Proverb


A penny saved is a penny gained.
Scottish Proverb


A rumor goes in one ear and out many mouths.
Chinese proverb


A silent mouth is melodious.
Irish Proverb


A son is a son till he gets him a wife,
But a daughter's a daughter the rest of your life.
Proverb of Unknown Origin


A thief believes everybody steals.
Proverb of Unknown Origin

Saturday, June 17, 2006

Qs

Life is not a school. Don't ask too many questions. 
It will be taken as a sign of weakness!

Monday, June 12, 2006

Mind and person

A Young student approached the famous French scientist and philosopher, Blaise Pascal, and declared, " If I had your brains, I would be a better person."

Pondering the depth of that statement, Pascal paused momentarily before replying, " Be a better person, and you will have my brains."

Sunday, June 11, 2006

Maazur

Aur us poori raat woh karwatain badalta raha jub use bataya gaya, us ke haan maazur (handicap) bachha paida huwa hai. Us bachhe ka khayal hai ke duniya main sub achhe hote hain, koi bura nahi hota. Zindagi sirf haseen hai aur khel khud aur khilonon ka naam hai. Jis cheez ki tamanna karo mil jaati hai. Sub dost hain. Insaanon ke beech koi deewar nahi hoti. Koi ajnabi nahi. Hur ghar sub ka ghar hai..... Peechle saal haloween pe jub logon ne bhoot aur churailon ka roop dhara to unhe dekh ke us pe mirgi ka dora par gaya ke ye mukhlooqain insaanon ke beech kese aa gain?

Kiya achha hota us ka haan bhi aik normal bachha paida hota, jo waqt ke saath zindagi ke daao pej sikh pata. Kamingi, zor zabardati, keena parwari aur matlabi hone ke gun paata.

Ab zindagi ki aakhri saans tak is bojh ko utha utha ke saath phiro.

Wednesday, June 07, 2006

dar

Aur jub us ne apni kamzor awaz main kaha: "you will come back, right?" to us ki awaz ke dar, khuf aur us main chupi sachhai ne mujhe dehla ker rukh diya. Main zindagi main kubhi itna nahi dara magar us bachhe ki kamzor awaz se. Shayed us ke dil ko maalum tha ke main use ibadatgah ki bench pe kubhi na wapas aane ke liye chor ker ja raha hun!!

(aik choti urdu kahani)

Tuesday, June 06, 2006

mindsets

There are no good angels or bad angels. 
They are just meant to "run affairs" by setting up human mindsets!

Wednesday, May 31, 2006

School building

Agar school ki imarat kushada ho to bachon ke zahen bhi khule rehte hain.

Tuesday, May 30, 2006

hawa

Jese hi hum ne HA ko qabar main utara aur us pe matti daalna shuru ki - qabarstan main zabardast hawa ki aik laher chali jese aandhi aai ho aur qabar ki matti mujh simat kai logon ki aankhon main ghus gai.

Sunday, May 28, 2006

Saturday, May 27, 2006

3 Qs



1. Everyone has to die. What mode of death you will prefer? 
- I prefer to die with sudden cardiac death.

2. Which city you will prefer to get buried? 
- I prefer Toronto, Canada

3. If given chance - would you like to watch your own funeral ceremony?
 - I say: YES

Friday, May 26, 2006

sirf dhuwan

Jub sare log AJ ko dafna ker chal diye to matti ke dher pe sirf agar batti ka dhuwan baaqi reh gaya.

Thursday, May 25, 2006

wuqat

Quran kehta hai: "Khuda kisi ko us ki wuqat se ziyada taklif nahi deta"

..shayed aesa hone se pehle use maut de deta hai!!

Wednesday, May 24, 2006

faisla

Jub insaan aapas main waisla nahi ker paate to aksar kharij manfi tawaniyaan qudrat ko faisla apne haaton main lene pe majboor ker deti hai 

- shayed isi liye is waqt mera dost HA, aik achha insaan, is waqt ICU main maut ki aakhri saansain gin raha hai.

Saturday, May 13, 2006

Wednesday, May 10, 2006

professional world

Professional world is brutal. Only your quality of work is your friend. People will use you as they need you. You need to fix your price. Life goes on. Individuals are just like a brick. Watch yourself !!

Sunday, May 07, 2006

deewane

Allah ne paglon, deewanon aur majnoon logon ko kiun paida kiya?

Taake koi to ho jo zaalim hukumraanon ke saamne ba-banake-dahl haq baat keh sake.

Sunday, April 30, 2006

illat

Buraiyon ko Allah ne is liye paida kiya hai taake taqwa ki sahet aur mustehkum ho!

Saturday, April 29, 2006

jhoot

Jo shaks dusron se jhoot bolta ho us ke liye apne aap se bhi sach bolna mushkil ho jata hai.

Friday, April 28, 2006

On "politics of slavery"

If I have no other choice but to take dictation for my survival, I will try to turn the table by choosing the dictation of 'what not to do' rather than having dictation of 'what to do' !!!

Thursday, April 27, 2006

Wednesday, April 26, 2006

Progressive maturity


In every crisis, the most important thing is to ask yourself a question. How mature have I acted this time in comparison to previously?

*

Sunday, April 23, 2006

On "Timing of Decision"

Agar faisla durust bhi ho magar bar-waqt na ho to be-maani ho jaata hai. 
Der se kiya huwa faisla galat faisle ke barabar hi therta hai.

Saturday, April 22, 2006

Boston

Jis ne saari zindagi sirf dukandaari ki ho us ke liye boston chand se bhi ziyada dur hai.

Friday, April 21, 2006

mashware

Banu Qudsia theek kehti hain: 'Hum logon ko mashwara de ker unka nuqsaan hi kerte hain". Hamari to apni aqalain choti hain aur aankhain deewaron se aage nahi dekh saktiN - hum kisi ka kiya bhala karain ge.

Thursday, April 20, 2006

Aik achha jhoot

Shaher main mazhabi fasadat phoot pare the. Woh apne biwi bachhon ko le ker nikal gaya aur apni dukan mere hawale ker gaya. Magrib ke waqt 2 lurke dukan main ghus aaye aur poochne lage: 'musalman ho?' Marta kiya na kerta, main ne bhi jhoot bol diya: ' Nahi hindu hun'. Mera kaala rang aur khad-o-khal dekh ker woh mazhabi janooni larke meri khatna check kiye bagair chale gaye. Aur main sochta raha. "Jis jhoot se kisi khaandan ki rozi aur meri jaan bache, woh jhoot sach se behtar hi hua".

Monday, April 17, 2006

10 famous quotes of Voltaire


Anything that is too stupid to be spoken is sung.

I disapprove of what you say, but will defend to the death your right to say it.

If there were no God, it would be necessary to invent him.

Men use thought only as authority for their injustice, and employ speech only to conceal their thoughts.

History is little else than a picture of human crimes and misfortunes.

There are truths which are not for all men, nor for all times.

Love truth, but pardon error.

Work banishes those three great evils, boredom, vice, and poverty.

It is forbidden to kill; therefore all murderers are punished unless they kill in large numbers and to the sound of trumpets.


The truths of religion are never so well understood as by those who have lost the power of resoning.