Sunday, December 31, 2006

Gardening

"Mali baba ! aap ne saari umer bagbaani kerte guzaar di. Bus phoolon se pyar kiya, pode lagaye, darkhat ugaye, phal sajaaye, kiyarian banai. Kesa lagta hai aap ko"

"Dekho baba! Hur insaan ke ander aik rab rehta hai. Us ke ander bhi cheezain thakleeq kerne ki -  zindagi dene ki - us ki parvareesh kerne ki - saaya dene ki - aik rag pharkti rehti hai. In saans lete podon ki bagbaani ker ke kuch der ke liye apne rab jesa banne ki koshish kerta hun...Tum ne shayed hi kisi bure shaks ko bagbaani kerte dekha hoga"


2 comments:

Anonymous said...

This post is mystical indeed. Love it from the cores.
'Shayad hi tmne kisi bury insan ko baghbani krte dekha hoga'..'In saans lete podon ki bagbaani ker ke kuch der ke liye apne rub jesa banne ki koshish kerta hun.'... I am never going to forget his wise words (Inshaa Allah)..

mystic-soul said...

I still remember them ever after many years!