Friday, December 08, 2006

Laila Baji

Laila Baji!!  Woh saare mohalle ki laila baji thi. 

Bachon ko tuition aur quran parhati thin. Umer ab to koi pentalees (45) ke aas paas ho gai hogi magar aaj se 15 - 20 baras pehle laila baji bohat khubsurat huwa kartin thin. Mohalle ke larke un pe khub mara kerte the. Laila baji ka aik nikhattu sa bhai tha, bara kaamchor. Bohat arsa huwa ghar se bhag gaya. Walid kamzor se aadmi the aur un ki aik choti si lagi bandhi naukri thi magar ghar ka guzara mushkil hota tha. Aadha kharch laila baji mohalle ke bachhon ko tution aur quran parha ker poora kertiN. Laila baji ke aik se barh ker aik rishte aate magar unki amma har rishte se inkaar ker detin. Log kehte hain amma ko aesa rishta chahiye tha jahan biah' ker bhi laila baji ghar ke karch main madad de sakain aur isi intizar main laila baji ki umer nikal gai. Laila Baji ke saath ki saari sahelian aik se barh ker aik jagah biah' di gain.

Ab ki baar jab main Pakistan gaya to mohalle main bohat kuch badal gaya tha. Mohalle ke pehle makan ke aangan main bethne wali 'khush khuda begum' bhi faut ho gain thi jo har kisi ke aane jaane ke auqat ka hisab rakhti thin. Magar laila baji wahi thin bus ab umer dhalne ke aasar the. Ab bhi bachhon ko tuition aur quran parhatin thin. Un ke walid ab faut ho chuke the, ab amma reh gain thin. Usi muskurahat aur pyar se milin. Har kisi ka fardan fardan haal poochti rahin magar aankhon ke peeche chupe aanson mujh se na chup sake.

Sochta hun laila baji ke dil ki kahani kaun likhe ga. Jub wapas aate PIA ke jahaz main betha to khirki pe baarish ke hulke hulke qatre chamak rahe the. Aesa laga Laila baji ke aansu hain jo tohfatan unhon ne apni sahelion ke liye mere saath bhijwa diye hain!

No comments: