Friday, March 30, 2007

Daughters


"Khuda ne 'betion' ko kiun paida kiya ?"

"Ta'ke mard aurton ka aehtram aur izzat kerna sikhain aur ye ke apne aamal durust rakhain"

(magar kiya woh?)

Thursday, March 29, 2007

On "Honor Marriages"


Few days back, surror did a post on a strange custom from Kyrgyzstan , where a man can marry only a kidnapped girl against her wishes. How we are different ? We kill our girls either by ourselves or make her kidnap against her wishes by marrying her to someone she don't want. 

Tuesday, March 27, 2007

Aulad ka gum - 2

(Another story on same line as Aulad ka gum, earlier)

Jub hum aathwin (8th) main paunche to hamare school ke barabar bazar se zara pehle, aik dehli wale hazrat ne, bun-kabab, hulwa puri, aalu chole, gol-gappe aur masala-chaat ki dukan kholi. Bare aehtmam se woh dehlwi dhang ki topi pahen ke, subha fajar ke baad dukan ke aage - donga, tawa, matka aur karhaii laga ke karobar sajate. Amma hume jo chawani athanni deti thin hum woh jama kerte aur wahan se bun-kabab khate. Kabhi amma ko bohut piyar aata to ikhatte hi poora roopiya mil jaata aur hamari eid ho jaati.

Us dukan pe aksar aik mele kuchele sa shahab beth ke hum bachhon ko dekha kerte. Pagal se lagte the. Pehle to hum durte the magar phir jub pata laga ke be-zarar se hain aur barson se yahin peechware main rihaish hai to hamara dur jaata raha. Aik din na jaane un ke dil main kiya aayii ke woh khub batain kerne lage. Kehne lage:

"Tum sub sochte ho ke hum aap logon ko kiun dekha kerte hain. Asal main humara bhi aap log jesa aik beta tha. Khubsurat, zaheen, adab kerne wala. Hamari jaan tha. Isi sarak pe woh waqiah huwa. Accident main mar jaata to dil ko tasalli de lete ka allah mian ke paas hai. Rub jane is lamhe kahan hoga aur kis haal main hoga, ye khayal na jeene deta hai aur na marne deta hai. Us ki umer 6 baras ho gi. Ameer naam tha. Hum ameeru ameeru kehte the. Aik sham woh mohalle se aik gaali sikh ker aaya aur ghar main woh lafz zaban se nikala. Us ko bohut daanta aur ghar ke aik kamre main bhej diya. Humara dil kharab ho gaya. Hum yahin is jaghe, jub koi dukan nahi thi, aake khare ho gaye. Sham ho chali thi. Us sham bijli bhi gaib thi. Chen nahi aaya. Wapas makan pe gaye aur kaha: 'chalo ammeru, hamare saath masjeed tak chalo'. Bus kuch aese huwa ke hum samjhe woh hamare saath hai aur hum baqi logon ke saath sarak paar ker gaye. Woh peeche reh gaya. Jab nazar nahi aaya to hum mure, bus itna dekha ke aik gari ja rahi hai aur us se us ka latkta kurta nazar aaya. Barda-farosh mere bete ko utha le gaye (70 ki dihaai ke aik hisse main Karachi main bachhe uthane ka silsila aam tha). Main deewanawar bhaga, cheekha - Ameeru, Ameeru, Ameeru. Koi aur gari nahi ruki ke koi na samjha ke kia huwa. Wahan na taxi na rickshaw tha....bohut dhundha, police ko report ki, jo soch sakte ho kiya magar ameeru na mila....".....rote rote unki awaz rundh gai......"tub se bus yahan sarak kinare rehte hain ke shayed kabhi ameeru wapas aa jaaye."

Allah jaane kisi baap ke dil ka chen, kisi ma ki aankhon ki thandak - Ameeru is lamhe kahan hoga aur kis haal main hoga !

Sunday, March 25, 2007

A motherly love

Once upon a time, long long ago, in cowboys' land, a 'gori' was married to a Pakistani guy..... (interesting tale from 'sobia', a white american who keeps blog of interesting cultural clash while married to a Pakistani). - with permission from sobia.


Once, when we were dating, I found a card all about love and missing you and thinking of you to Ibrim signed from some Amy.

I was livid....who the hell was this Amy?

Obviously one of those morons who think their name looks cool spelled all weird.....

you know: Casey as KC or Jennifer as Jenniefur or Mandy as Mandii? Lisa as Liza?? Yeah that dumb Amy biatch spelled her name with an "I" too.

MORON! I thought. I'M GOING TO KICK IBRIM'S ASS, THEN I'M GOING TO GO FIND AMI AND DOT HER "EYE" FOR HER!

Yeah, I felt pretty dumb when Ibrim told me Ami was not Amy....but "uh-me"...as in MOM in Urdu.

Turns out the MORON was Sobeeyuh instead. *Sigh*

Saturday, March 24, 2007

Sam ne Pakistan kiun chora


He was a ‘telemetry tech’ in our hospital doing night shifts. His name was syed samiullah but was know to we desis as ‘sami’ or was called ‘sam’ by our non-desi colleagues.

Aik din main ne us se poocha: “tum ye raat ki job se taang nahi aajate? Tumhe din main neend aa jaati hai?”

“Sir! (woh mujhe hamesha sir kehta) –Meri wife din main job kerti hai. Mere do bacche hain. Agar hum dono din ki job karenge to bachhon ko school ke baad kaun dekhe ga…you know how expensive these extended cares are. Jub bachhe school main hote hain, main so leta hun”.

“Tum Karachi main kiya kerte the?”

“Sir police main meri DSP ki job lag gai thi”.

“Really ! to police ki itni maze ki naukri kiun chor di tum ne aur yun din raat mehnat kerne america aa gaye”

“Sir! aik to police ka kaam hi haram ka tha. Dusra aik aesa waaqiah huwa ke, mere rongte khare ho gaye”.

“Aik din off duty main apne ghar ke paas, NIPA chowrangi pe, woh jahan Shan hospital hai, aik paan ki dukan pe cigarette sulga raha tha ke police ki aik mobile side pe aake ruki. Us main se unhon ne do lurkon ko utara aur bola bhago. Aur phir peeche se fire ker ke dono ko wahin goli maar di, jise Karachi ki zaban main encounter kehte hain. Mujhe police join kiye sirf aik hafta huwa tha. Main ne kaha, ye saare kaam mujh se nahi ho sakte. Main ne police ki naukri chor di. Phir kuch arse apna karobar bhi kia to kabhi MQM ke larke rok ke paise le lete, kubhi maulvion ki hartal khatam nahi hoti, kabhi is ko ya usko rishwat do, kabhi ye, kabhi woh. Mere walid ki aik nasihat mujhe yaad thi ke; beta, kabhi haram na khana. Sir ! ya to main apna zameer mar deta ya khud mar jata. Kiya kerta, meri 2 betiyan hain. Bus sir ! isi liye, main ne Pakistan chor diya aur america aa gaya”.

Thursday, March 22, 2007

On Gadar


The Indian government has issued a one rupee stamp to commemorate the 150th anniversary of the Indian sub-continent's War of Independence, termed 'Gadar' (rebellion) by natives or Mutiny by the British. Also, many other things are happening in India to remember this historic event but only a little activity on Pakistani side. Being a Pakistani, I felt that we are so much consumed in power struggle that we have forgotten the values of society, democracy, history and pride. Remember, India made most celebrations on the "Ghalib" 100th anniversary though we claim Urdu as our national language.

Khawab to sub ne mil ker aik hi dekha tha
Jis ko poochain us ko mili ta'abir alag

(We all saw the same dream together but
if asked, each found a different meaning)


Written on the stamp are 2 shers of the last Mughal emperor Bahadur Shah Zafar.




Lagta nahiin hai jii mera ujray dayar mein
Kis kii banii hai aalam-e-na-payedar mein

Kah do in hasarataun se kahiin awr jaa basen
Itanii jagah kahan hai dil-i daaghdaar mein


My heart is not happy in this despoiled land
Who has ever felt fulfilled in this transient world

Tell these emotions to go dwell elsewhere
Where is there space for them in this besmirched (bloodied) heart

(Translation taken from wikipedia.org)

Wednesday, March 21, 2007

A few good men


Story taken with permission from (un)relaxeddad


"I remember when I was nine, a Chinese family moved in next door. It was thirty five years ago in a community that had no notion about other races beyond ignorance at best and fear and irrational hatred at worst. When the family went away for the weekend, someone painted ‘Chinks out’ on their backdoor. I remember my father with a bucket and cloths and detergent kneeling at that door scrubbing away every trace of the graffiti so that when the family returned, they wouldn’t see it."

Tuesday, March 20, 2007

Irony of woman

Life is like a woman. If she decides to be against you, no matter how good you are, she will remain bad to you. And if she decides to be good to you, she will remain good to you, no matter how bad you are. (As per Dr. MZ, a real gentleman, I know for almost 24 years)

Monday, March 19, 2007

A political solution

"If you have 5 potatoes to divide equally among 3 pigs.What would you do"?

"Mash them first. Distribute mash potato equally".

Sunday, March 18, 2007

Aulad ka gum

Main ne intermediate Karachi ke "National College" se kiya. Karachi ke khubsurat Shaheed-e-millat road pe ye Karachi ka sab se khubsurat college tha (? hai). Magar aik budsurti, Main road pe aate hi Karachi central jail ki woh unchi unchi peeli deewarain aur un pe police guard ki nazar aati bari bari chokian thiN. Hamara bus stop bikul Central jail ke main gate pe tha. Do baras tak har roz main ne pareshan khandon ko gate ke saamne qataraiN banate dekha. Us jail main allah hi janta hai kitne be-gunah band the. Aksar dopher ko ye huwa ke barabar ki seat pe aake koi pareshan baap, beta ya bhai beth gaya. Gum-sum aankhon main weerani cheekh cheekh ke us insaani dil pe guzarne wali dastan-e-gum suntai thi.

Aik roz mere barabar aik 'uncle' aake bethe. Mere haat main college ki kitabaiN thi. Yunhi batain kerne lage. Kehne lage" "Mera beta bhi is saal inter ker leta, agar jail main na hota".

"Woh jail main kiun hai", main ne poocha.

"Bus beta, kuch kharab dosti aur kuch hamare nizam ki kharabi samjho. Mera beta bohut hoshiyar student tha magar phir woh kamre main bund rehne laga. Fail hone laga. Badal sa gaya tha. Mujhe shak huwa. Main ne aik din us ke peeche kumre ki talashi li to 'heroin' baramad hui (Ye woh zamana tha tha jub pakistani qaum ko Afghanistan se kalashikov aur heroin ka tahufa mila). Mere bete ko heroin ke nashe ki aadat par gai thi. Main khud khufia police ka aadmi tha. Main ne kuredne ki bajaye mazeed maalumat ki to pata chala ke us ki school main heroine supply hoti hai aur ye kahin aur se nahi bulke school ke bahir khari police mobile se supply hoti hai. Main ne "ooper" baat ki. operation huwa aur chapa lagwa ke un police waalon ko us imarat se range haaton giraftar kerwaya jahan un ka adda tha. Main itna jazbati ho gaya tha ke request ker ke khud operation main shamil huwa. Un se muqabla huwa aur in haaton se un ki pistolaiN cheeni. Phir un police walon ko khub kari sazaiN bhi lagwai magar badle main unhon ne mere bete ko bhi heroin supply kerne ka ilzam laga ke jail lagwa di. Meri bhi naukri chali gai. Mere bete ko ziyada sakht to nahi magar 2 saal ki jail hui hai. Rote huwe woh jail chala gaya. Mere peechle taalluqat ki wajah se us ko ander koi taklif to nahi hai, magar jail to jail hoti hai"

Phir kafi der khirki se bahir dekhte rahe aur bole: "Ab bhi raaton ko meri aankh khul jaati hai, jese mera beta mere paas khara ho. Jese us ki ahat hui ho....Ye aulad ka gum bhi bara zaalim aur maar daalne wala hota hai" !!

Saturday, March 17, 2007

Hardest lesson to teach


(One day I asked a sage…)

“What was the hardest lesson for you to teach to your kids?”


“To teach them how to behave gracefully if they lose and to have humility if they win - and to teach them that success or defeat is not important but to strive honestly is”.

Thursday, March 15, 2007

Anwar Bengali

Ye 1971 ya 1972 ka zamana hoga jub kai khandan mashriqi Pakistan (mojuda Bangladesh) se hijrat ker ke magribi Pakistan aa rahe the. Aesa hi aik khandan hamare mohalle main bhi aa ker aabad huwa. Ye woh log the jinhon ne Pakistan ki jang luri, 2 baar Pakistan ki khatir hijrat ki aur ruswaii ka zaher piya. Magribi Pakistan main in ki koi khas aao bhagat nahi hui bulke khud 1947 ki pehli hijrat kerne walon ne inhe 'bihari' aur 'kulwa' kehna shuru ker diya.

Hamare mohalle main aane waale khandan main aik larka Anwar tha. Sidha saadha larka tha. Mohalle ke larke us ke tel laga ker baal banane ka, us ke kaale rang ka, us ke duble jism ka aur us ki urdu main bengali ki aamizish ka khub mazaq urate. Us ka naam Anwar Bengali rukh diya aur us pe awaz kaste - "aik thu, do thu - Bengali babu thonge main deem du" (one and two - mr. bengali give egg in bag) .

Mere hi aik dur ke cousin, safdar bhai, hamare mohalle main rehte the. Unho ne to anwar ka jeena maha'l ker diya. Use dhakka de dena, awazen khenchna, us ke ghar ki deewar pe 'bengali' aur 'bhagore' likh dena wagera unhon ne apna shewa bana liya tha. Kuch arse baad Anwar ke ghar wale hamara mohalla chor ke Orangi town chale gaye aur phir kahani ka pehla hissa khatam ho gaya .....

Waqt ka pahiyya ghum gaya. Main America aa gaya. Chalte waqt safdar bhai ki walida milne aayin thi, unhon ne safdar bhai ka number diya tha ke zarrorat pare to call ker lena. Woh Chicago main taxi chalate the. Main jab pehli baar Chicago ja raha tha to unhe phone kiya. Khud airport aaye. Main unse kai barson baad mila. Bare tapak se mile. Ye woh safdar bhai nahi the. Lag raha tha ke zindagi ki chakki ne unki saari mastian nikal di hain. Ghar le jaane se pehle devon le gaye, bole chalo tumhe bun-kabab khilata hun. Chicago ka devon bhi aik kamal ki jagah hai. Aese lagta hai apne hi des ka koi hissa hai. Salam dua ke baad wahi huwa. We start catching up the events of lost time. Phir aik dum se poocha: "Tumhe Anwar Bengali yaad hai"?

"Haan"

"Anwar Bengali na hota to aaj main america main itna set na hota. Mere Chicago main apne taxi ke 3 medallion hain. Jab main Pakistan se aaya to Chicago main aik dost ke ghar thera. Mere paas job nahi thi. Aik sardi ki raat us ne mujhe ghar se nikal diya. Main chicago ki 'brutal' sardi main fullerton train station pe be yaro-madadgar khara soch raha tha ke kahan jaun, kiya karun. Itne main Anwar bengali jo DePaul university main parhta tha aur sham main taxi chalata tha mujhe nazar aaya. Hum don ne aik hi nazar main aik dusre ko pehchan liya. Main ne uske saath jo sulook kiya tha us ka us ne shaiba tuk na aane diya. Meri majboori ka lihaz kerte huwe mujhe apne ghar le gaya. 2 mahine main free uske ghar raha. Us ne mujhe cab ki rah dikhai. Ab woh parh likh ker yahin Chicago downtown main koi white collar job ker raha hai. Magar us shaks ka aehsan kubhi nahi bhool sakta. Main ne kai baar peechli baaton ke liye muaafi maangna chahi magar us ne har baar baat kaat di - Par har baar mere zikar pe uski aankhon main jo dard ubharta tha woh main saaf dekh sakta tha. Insaan bewajah apni zillat kubhi nahi bhoolta ".

Phir safdar bhai kuch der khamosh rahe aur bole: "kabhi kabhi insaan ko dusra aadmi muaaf bhi ker de to woh khud apne aap ko muaaf nahi ker sakta. Hur waqt aik bojh sa mere seene pe rehta hai. 2 baar cook county hospital ke bahir cab khari ki aur khud ko heart attack ke liye check kerwaya. But they say your vessels are fine. Yaar dua kerna mere dil ko qarar aa jaye aur jawani ki kameengioN ka kahin koi madawa ho jaye...........Seene pe bara bojh hai yaar" !

Wednesday, March 14, 2007

Andekhi aankhaiN


Jub tum akele main kisi se jhoot bol rahe hote ho to kiya tumhe ilm hai ke kai andekhi aankhain tumhe dekh rahi hoti hain - aur ho sakta hai wahi andekhi nighain kisi din tumhare khilaf gawah ban jaayaiN.

Tuesday, March 13, 2007

One bizarre true story


Boy stays in home with dad's body for 2 days
March 14, 2007

OKLAHOMA CITY, Oklahoma (AP) -- A 6-year-old boy stayed in an apartment with the body of his father for two days after the man died on their sofa, obeying instructions to never leave without permission, firefighters said.


The boy, whose name was not released, didn't want to leave even after firefighters arrived, fearing punishment if he left, fire department Maj. Noble Lee said.

"He wasn't as distraught as one might think," Lee said. "I don't think he understands the gravity of the past few days. He wasn't as upset at the situation as he was about being outside the residence without permission."

His father, Kevin Dale Judd, 52, appears to have died of natural causes, authorities said. The body was found late Monday after neighbors and a maintenance man reported a foul odor, Lee said.

According to a police report, the boy told police his father had been feeling ill and laid down. The boy left the room to watch television, and when he returned his father was slumped over.


The boy did not know to call 911 in case of an emergency, said Department of Human Services spokesman George Earl Johnson Jr. He apparently had not eaten in two days but refused food and water offered by firefighters and paramedics, Lee said. Johnson said the boy will remain in DHS custody until relatives are found to care for him.

link: http://www.cnn.com/2007/US/03/14/father.dies.ap/index.html


Saturday, March 10, 2007

Sultan's mirror


Zindagi main jahan meri mulaqat kai achhe insaanon se hui un main aik Sultan aur usi ki biwi Margret the. Sultan yun to Pakistani tha magar... he was 'raised' in Paris. Sultan jitna kirdar, ikhlaq aur khayalat ka khubsurat tha, Margret us se bhi ziyada khubusurat aur bazla-sanj thi. Aik din main ne Sultan se poocha: "tum dono ki kamyab azwaji zindagi (married life) ka kiya raaz hai?" to Sultan ne jawab diya: "Is ka sara credit Margret ke sense of humour ko hai".

"Agar tum kubhi Paris gaye ho to shayed tumhe maalum ho ke wahan ki galian kafi tang hoti hain aur makanO ki back alleys us se bhi tang. Mere apartment ki back alley ke bilkul saamne agli gali ke aik cafe ka peechwara khulta tha. Margret us cafe main kaam kerti thi. Main Margret ki muskurahat pe us din se marta tha jis din se use dekha tha. Aik din main ne Margret se kaha: 'Main waqiee tum se shadi kerna chahta hun.' Us na kaha: 'Mujhe sochne do'.




Woh sunday ki aik khubsurat subh thi, main uth ke tayyar huwa aur baal banane apne mirror ke saamne khara huwa to us pe mujhe is jumle ka aks nazar aaya: "Tum aik aesi french larki se kiun shadi kerna chahte ho jis ke khandan main sharab, kaamchori, diabetes, stroke aur high cholesterol ki bimarian hain". Ye mirror pe aks tha. Main ne aks ka maakhiz dhunda to pata laga ke Margret ne ye jumla apne cafe ki peechli deewar pe kuch aese aik painter se ulta likhwaya tha ke, jab main subha uthun to us ka aks meri khirki se mere mirror pe seedha nazar aaye (magar alley se koi aam guzarta aadmi use sirf aik betuki graffiti samjh ke ignore ker de). Us ka ye sense of humor aur mere bare main itna kuch janna ke, main gurmion main raat ko khirki khol ke sota hun, baal living room ke mirror main banata hun aur uska khud apne dar ko is anokhe andaz se bayan kerna - mere dil ko ye sub kuch aese bhaya ke aaj tak meri Margret se koi larai nahi hui".

Aur phir us ne kaha: "Zindagi main tum dekhna woh aurat hamesha apne mard pe raaj kerti hai jis main sense of humor ho. Jo har baat pe muskurati ho. Kiunke mard aik aesi tapish hai jeese har waqt chaun chaiye. Aurat ki muskurahat uska secret comfort zone hai" !

Friday, March 09, 2007

A funny conversation - kids


"How you feel when you look at your kids?"

"I feel, a right decision arrived at for all the wrong reasons!"

Thursday, March 08, 2007

Why do I blog?

Aik raat khane ke baad bhai aur bhabhi ne ice cream khane ka plan banaya. Main aur abbu bhi sath chal pare. Hum Tariq road ke aik mashoor ice cream parlour pe paunche. Dukan do manzela thi. Ooper 'ba-parda khawateen' aur 'family' ke liye 'alag intizam' tha ! 

Ice cream shop paunche to main ne kaha: 'Mera ice cream khane ka mood nahi hai'. Abbu wese hi ice cream nahi khate the. Bhai-bhabhi ooper chale gaye. Kafi rush tha is liye main aur abbu bahir khare ho gaye. Kuch der baad main ne kaha: 'abbu main ne ab ice cream khani hai'. Abbu na kaha; 'to jao line main lago'. Main neeche ke floor pe hi line main khara ho gaya. Meri baari aayi. Main ne paise diye aur apni ice cream ka intizar kerne laga. Kafi rush tha. Main phir bahir abbu ke paas aa ker batain kerne laga aur bhool hi gaya ke ice cream leni bhi hai. Kuch der baad yaad aaya to 'pickup' counter pe pauncha. Meri ice cream aik aur shahab utha ke maze se kha rahe the. Main us shaks ko kuch na keh saka. Wapas abbu ke paas aa gaya. Wese to abbu bare sakht meezaj ke the magar bole: 'tumhari larai main nahi larun ga. Agar lar nahi sakte the to kum az kum apne gusse ka izhar to ker sakte the'. 

(Phir line main kiya lagta. ooper ki manzil gaya. Bhai-Bhabhi ke saath ja ker beth gaya). 

Us din se abbu ki baat yaad reh gai.

Jin baaton pe mera akhtiyar nahi, un pe blog likh ke izhar to ker sakta hun !

Wednesday, March 07, 2007

Aik prostitute se mulaqat


Us din subha se mera mood bohut kharab tha. Dopher ko main apne dost noor ke ghar chala gaya. Woh apni bahen tehseen ko, jo nai nai model bani thi, le ker apni motorcycle pe kisi 'commercial' ki shoot pe chorne ja raha tha. Noor khud bhi kisi band main guitarist tha. Kehne laga; 'ye bhi ajeeb shoq pala hai isne, tum betho main aata hun". Woh gaya to thori der main us ki maasi aa gai. Mujhe koft hone lagi. Main uske ghar se nikal ker sadar chala gaya. Yunhi dukanoN pe phirta raha. Phir yaad aaya ke aaj 'asia foundation' wale qareebi aik auditorium main koi social 'play' kerne waale hain. Main chalta chalta wahan pauncha. 'Play' main aik mashoor actress kaam kerne waali thi. Main ne sab se aage ka ticket liya aur hall main chala gaya.

'Play' kia tha social issues pe poora kitabcha (booklet) tha. Audio system bhi theek nahi tha. Main uth ker auditorium ki lobby main aa gaya. Wahan ikka dukka log the. Bathroom main gaya to, is qisam ke 'plays' main jo society ki upper class aati hai, un ke bachhon ne hangama machaya huwa tha. Jagah jagah ice cream gira rahe the. Ab ke hall main ghus ke peeche ki aik seat pe beth gaya.

Kuch der baad aik larki aai aur mujh se chipak ker beth gai. Main zara hath ke barabar ki seat pe huwa to, us pe cigarette peete aik shaks ne aahista se mujh se kaha: "Dhandhe waali hai". Main us ki baat sunke chaunka. Larki ki taraf dekha to woh beparwah 'play'dekh rahi thi.

Main ne himmat ker ke kaha 'bahir chalain'? Woh khari ho gai. Hum lobby main aa gaye.

Main ne kaha: 'kahan jaayain ge'?

Boli: 'Mere saath aao'?

Hum saath saath chalne lage. Main ne poocha: 'Tum kaun ho'?

Boli: 'Rakhel'.

Jawab main aesa zaher tha ke main ne aage poochna munasib na samjha. Hum auditorium ke peeche kachhe makanon ki aik gali main paunche. Woh mujhe aik darkhat ke peeche le gai. Darkhat kiya tha bus bari si aik jhari thi. Woh neeche bethi aur us ne meri zip khol di. Sham dhalne lagi thi magar gali main idhar udhar bachhe khel rahe the. Aik gari bhi us kachhi gali se guzar gai. Main ne zip band ki, use ooper kiya aur bola: "ye bohut unsafe jaga hai. Chalo wapas chalte hain". Hum auditorium ke parking lot main aa gaye. Use Shayed andaza ho gaya ke main kuch kerne ke mood main nahi hun aur sirf waqt guzar raha hun. Ab woh mere saath kafi comfortably aik gari se lug ke batain ker rahi thi. Mujh se phir na raha gaya. Main ne poocha:

"Tumhare waldain nahi hain?"

Boli: "Thandi baraf ho gaye hain"

Main us ki baat nahi samjha: "Matlab?"

"Mar chuke hain"

"Koi Bhai bhi nahi ?"

"Hai"

"Chota hai?"

"Nahi bara"

"To phir ye kaam ?"

"Mere ma baap mar chuke the. Main jawan hone lagi to ghar pe mohalle ke lurkon ke phone aane lage. Hamare muashre main hamesah larki hi karab hoti hai. Aik din kisi larke ka phone aaya. Bhai ne uthaya. Us ke baad mujhe itna mara ke main behosh ho gai. Gusse main ghar se bhag gai. Aakhir aik aadmi ki rakhel ban gai".


"Chalo yahan tak to baat samjh aati hai magar ye jism bechne ka kaam kiun?"

"Jab us shaks ke paas paise khatam ho jaate hain to mujh se dhandha kerwata hai"

Itne main aik van aai aur woh us main beth ke chali gai. Us ke jaane ke baad mujhe khayal aaya ke us ne mujh se paise to liye hi nahi. Main sochta raha ke hum hi in aurton ko pesha kerne waali bana dete hain aur phir unhe kai naam de ke zindagi bhar ruswa kerte hain.

Har tawaif, randi, ghasti, taxi, chalu ya call-girl ke peeche shayed kisi aik bhayanak mard ka chehra chupa hota hai!

Monday, March 05, 2007

Awaz

Tumhare saath kabhi aesa huwa hai ke tum ne kisi se sirf aik minute phone pe baat ki ho aur tumhe us pe aitebar aa gaya ho. Kiya insaan ki sachhai us ki awaz main jhalakne lagti hai?

Sunday, March 04, 2007

Aishwarya Rai ka bosa

'kesa hai kesa hai, baarish ka bosa hai'

'Abe kiun achhi khasi shayeri ki matti paleed ker raha hai, asal gana hai...
kosaa hai kosaa hai, baarish ka bosa hai'

"Are sahi ke galat - hai to Aishwarya Rai ka bosa" !!!

A muslim Joke (can't we all get along )


One day, a man was walking across a bridge and saw another man standing on the edge, about to jump off and commit suicide. He immediately ran over and said, “Stop! Don’t do it!”

“Why shouldn’t I?” the other said.
The man said, “Well, there’s so much to live for!”
“Like what?”
“Well … are you religious or atheist?”
“Religious.”
“Me too! Are you Muslim, Christian, or Jewish?”
“Muslim.”
“Me too!Sunni or Shiite?”
“Sunni.”
“Me too!Hanafi, Hanbali, Shafi or Maliki?”
“Hanafi.”
“Wow! Me too! Do you follow Sheikh Fulaan al Fullani or Sheikh Kaza Kazah?”
“Sheikh Fulaan al Fullani.”

To which the first man said, “What?!! Die, heretic scum!” and pushed him off.

From http://laughingmuslim.blogspot.com/ (thanks to Irving
for introducing this blog)

Holi

(In the background Amitabh singing......rang barse, bheege chunar wali rung barse)

"Ye Holi pe tum log rang kiun urate ho ?"

"Is ka matlab hai ke insaan alag alag rang hain, mil ker rahain to khubsurat lugte hain...Its a festival of happiness with message of life under full moon with arrival of spring...

HOLI HAI !!!"

Friday, March 02, 2007

Poora chand

Agar tum ne aaj raat poore chand ke gird roshni ka hala dekha hota to mujh se ye na poochte ke chand amar kiun hota hai?