Tuesday, September 30, 2008

A Tale of 2 Childhoods

Meri umer koi 5 baras ya usse bhi kum rahi hogi. Aik din Abbu apne dost se milne ja rahe the ke mujhe bhi saath le gaye. Abbu ke dost PIA main pilot the. Unki flight ka time ho raha tha. Ye woh zamana tha jub terminal se jahaz tuk walking tubes nahi hoti thin bulke chal ker ya bus main jahaz tuk jana parta tha aur phir 'stairs' se jahaz main charhna parhta tha. Hum abbu ke dost aur unke crew ke saath jahaz ki taraf walk kerne lage. Sufed wardi (white uniform), uspe lage badge, pilots wali neeli topi (blue hat), runway ke bare bare mazboot concrete - in sub ka mujh pe kuch aesa asar huwa ke main ne soch liya - bara ho ker pilot banun ga. Magar jub satween jamat (7th grade) main tha to kisi ne keh diya: "Tum pilot kese bun sakte ho, tum to chashme lagate ho". Woh khawish wahin dum tor gai magar andar sulagti chingari hamesah jalti rahi.

Jub America aane ke liye main pehli baar jahaz main bethne ke liye Karachi ke purane airport se bus main load huwa to aik dum se bachpun ka woh nazara saamne aa gaya. Uske baad main ne najaane sekron (hundreds) baar jahaz ka safar kiya hoga magar aaj bhi jub airport pe kisi pilot ya takeoff kerte huwe concrete ke mazboot runways pe nazar parti hai to andar chupi chingari phir bharak uthti hai.


Main ne kubhi iski koshish nahi ki (ya shayed gair-iradi tor per aesa huwa ho) magar mere bete ki umer koi 3 baras rahi hogi, tub se use jahazon ke models jama kerne, unki videos dekhne aur unki kitabain parhne ka junoon ki had tuk shoq hai. Woh urte jahaz ko dekh ker bata sakta hai ke aaya ye Cesna hai, Mcdonell Douglas hai ya Airbus. NASA ke shuttles ke takeoff ki commentaries use zubani yaad hai. Mere ghar main aap sofe pe bethain ge to neeche se jahaz baramad hoga. Ab uske sawalon ke jawab mere paas nahi hote.

Sochta hun - kiya dabi khuwasihat bhi genes se 'transmit' ho jaati hain?

Monday, September 29, 2008

Generation Gap and Love

Log kehte hain ke ma baap(parents) aur bachhon(kids) ki aksar is liye nahi banti kiunke beech main zamane ki raftar se aik 'generation gap' aa jata hai. Main is baat ko nahi maanta!

Aap dekhain ge ke 'grand kids' aur 'grand parents' ki hamesah khub jamti hai aur bara piyar hota hai.

Agar zamane ki uftad mohabbat ko qatal ker sakti to aesa na hota. Aulad mohabbat dhundhti hai ,chahe rang-nasal-zaban-zamane ka kitna hi faraq kiun na ho aur buzurg jaante hain ke ke kese darguzar kerna aur sirf mohabbat ka jawab mohabbat se dena.

Sunday, September 28, 2008

3 Nayab 'Women'

Duniya main 3 aurtain nayab hoti hain.

1. Aik woh jo jaanti hain 'makup' kahan rokna hai.

2. Dusri woh jo janti hain, jhagra kahan chor dena hai.

3. Teesri woh jo janti hain, mard ko kis had tak tarsana hai.



Friday, September 26, 2008

Woh Aik Sajdah

Khush-naseeb hote hain woh log, jo sajda ker sakte hain!

Badal ke bhes phir aatay hain har zamanay main,
agar-cheh peer hai aadam, jawan hain Laat o Manaat
Woh aik sajdah jissay tuu garaN samajhta hai,
hazaar sajdhoN se deta hai aadmi ko nijaat
(Iqbal)
They resurface with new face in each (time) period,
though (now) mature is Adam, (still) young are Laat o Manaat
That one prostration which you think is difficult
gives man freedom from thousands prostration
.
Related Post: Shabe Qadar

Thursday, September 25, 2008

Psychiatry, Religion and NDE

"As you ask me to pinpoint one thing which I found consistent and different in my practice of psychiatry, let me tell you first that being a psychiatrist and a Muslim together was very interesting for me, particularly after my training in Western institutions. One phenomenon which remained very attractive for me was talking to patients with 'near death experience' (NDE). All those patients consistently described their loved ones who were already dead to be on the other side waiting for them. I found it bizarre that none of many patients recalled seeing an alive person. I always wondered, is it all anoxic brain tissues that give consistent NDE physiology, or is this real metaphysical and spiritual thingy".


Related post: Code Blue

*

Wednesday, September 24, 2008

Parents, Divorce, Disease and Smoke !

"We never had a good marriage. When we realized that our marriage was not working, we had a two-year-old daughter. We decide to stay in the marriage for her sake. It took good 18 years when she went to college, and we took divorce with mutual consent. We taught now our daughter should be able to take it easy, but she absorbed this shock inside. And let me tell you, she is not an average kid. She is a brilliant kid with always the best in education and sports. She developed Ulcerative Colitis. Every time she comes home with an exacerbation of her disease and gets a Remicade shot, she becomes miserable. I advise her to start smoking this time; as you know, smoking helps in ulcerative colitis. If you think kids ever get big enough for their parents' divorce, you are dead wrong."

 (Related post: Samjhaute ki chadar / Jim )

*

Monday, September 22, 2008

Short film - "Story of a Sign"

I received this link in a fwded email. Allegedly, this film has won numerous awards around the globe along with the Best Short Film at Cannes Film Festival 2008.


Sunday, September 21, 2008

Sayed Ali aur Zubi


Zaroori Nahi hamare India/Pakistan ke 'conservative' culture main sab theek ho. Khud hamare 'conservatism' ki apni buraiaN hain.


Zubi sare mohalle main badnaam thi kiun ke uski umer koi 16 ya 18 baras hogi jub usne do char stage dramon main kaam kiya. Hamare mohalle ke aik lurke nauman ko acting ka shoq tha. Nauman ke saath main kubhi kubhi 'arts council' drame ki rehearsal dekhne chala jata tha, wahin meri Zubi se dosti hui. Main Zubi ko chai pilata aur lateefe sunata. Zubi khud bhi kamal ki hazar-jawab lurki thi. Agar use taalim ka mauqa milta to bohat aage jati bulke agar acting ki duniya main hi rehti to aaj uski tasveer bhi Karachi ke har billboard pe hoti.

Drame ki practice raat gaye khatam hoti aur jub Zubi ko koi lurka mohalle main raat gaye drop kerta to kai aankhain uth jaati. Zubi ke walid faut ho chuke the, amma motape(obesity) ki wajah se maazur thi aur aik chota bhai tha. Zubi ke paas is ke ilawa chara nahi tha. Zubi ki parsaai ke liye mujhe kisi qasam ki zaroorat nahi.
Ye sach hai ke stage pe kai 'obash' (pervert) log kaam kerte hain aur shareef gharane ki lurkian amuman wahan nahi bhatkti magar zubi ne shayed hi kisi ko had se bharne diya ho.

Kuch arse baad mohalle walon ki wajah se Zubi ne ye kaam chor diya aur tower pe aik firm main typist ki naukri ker li. Ye aik ajeeb ittafaq tha ke mera aik dost Syed Ali usi building main job kerta tha. Sayed Ali Zubi pe aashiq ho gaya. Woh Zubi se shadi kerna chahta tha magar jub 'inquiry' pe Sayed Ali ke ghar walon ko Zubi ke pehle stage dramon main kaam kerne ka ilm huwa to unhon ne Sayed Ali ko Shadi se rok diya. Baat khatam ho gai magar donon ke dil main mohabbat ki aag sulagti rahi.

Sayed Ali ghar ka kafeel tha. Jub Sayed Ali ke ghar walon ne lurke ki halat dekhi to bilakhir shadi ke liye haan ker di magar shart lagaii ke jub tuk Sayed Ali ki bahen biah nahi di jati, ye shadii nahi hogi. Sayed Ali ki bahen ki shadi to nahi hui magar woh aakhirkar Hepatitis A ki aik waba main faut ho gai (will write detail in other post). Magar ye Saniha koi 6 baras baad hua. Bilakhir unki shadi hui.

Ab ki baar main Pakistan gaya to socha dekhun dono kese hain. Main Sayed Ali ke ghar gaya to Zubi school van se apne bachhe ko utar rahi thi. Mujhe dekh ke bohat khush hui. Main ne poocha kitna bara ho gaya tumhara ye beta. Zubi ne jawab diya: "6 Baras ka ! Agar log kamine nahi hote to shayed ye aaj 12 baras ka hota". Zubi ne baat to mazaqan kahi magar andar chupa teer bata raha tha woh saari zindagi uske maathe pe lagaya gaya badnami ka daag nahi bhule gi !



Friday, September 12, 2008

Chacha Karim, Toofan aur Pareende

One of my friend works at UTMB, Galveston. I called him last night due to Hurricane Ike. Here is conversation:

"Did you evacuate?"

"Main ne wednesday morning ko hi evacuate ker liya tha"

"That was pretty early"

"Wednesday morning, main pareendon ke shor se bedaar huwa.... and saw them flying in flocks away. I knew, its gonna hit here. Hamare punjab main TV, Satellite nahi hote the. Magar gaun (village) main Chacha Karim hota tha. Woh pareendon ke shor se andaza laga leta the ke kitna shadeed toofan aaye ga. Pareendon ki perwaz dekh ke hawaon ka rukh bata deta tha. Main ne us subah weather channel ki bajaye Chacha Karim pe ziyada bharosa kiya aur nikal gaya. Allah jaane gaun main ab bhi Chacha Karim hota hai ya nahi..."

Wednesday, September 10, 2008

Guardian Angel

Kiya ye sach hoga ke hum sab ka aik "Guardian Angel" hota hai

Andheri raat hai, saaya to ho nahi sakta
Ye kaun hai jo mere saath saath rehta hai

Tuesday, September 09, 2008

aik khubsurat shair

palat ke har taraf se kyon nazR us shaks per thehri?
Wafa ke silsilo`N ki woh musalsal inteha' thehra'

(anyone knows poet?)

Monday, September 08, 2008

Dusra Sawal

Zindagi main aik aam aadmi aur aqalmand aadmi ka faraq ye hai ke aqalmand aadmi "dusra sawal" kerta hai. Ye sawal pehle sawal ya 'statement' ke baad aata hai !

- aur baat jitni asan lagti hai, utni hi mushkil hai.

"He is cruel to me"
but why he is cruel to me (you)?

"My parents are not happy with me"
but why my(your) parents are not happy with me(you)?

"My spouse doesn't trust me"
but why my(your) spouse doesn't trust me(you)?

"I can't get this done"
but why I (you) can't get this done?

Jo zindani main dusre sawal tuk jana sikh le, wahi samjhdar hai.

Sunday, September 07, 2008

Quote

Its really hard to wait for the right person in your life esp. when the wrong one is so cute.

(Send to me in an email, when I argued with one girl about her decision to marry a particular boy)

Saturday, September 06, 2008

Tip !

In the days when an ice cream sundae cost much less, a 10-year old boy entered a coffee shop and sat at a table. A waitress comes by and put a glass of water in front of him.

“How much is an ice cream sundae?” asked the boy.

“50 cents,” replied the waitress.

The little boy pulled his hand out of his pocket and studied a number of coins in it. “How much is plain ice cream?” he inquired.

Some people were now waiting for a table and the waitress was a bit impatient. “35 cents,” she said annoyingly.

The little boy again counted the coins. “I’ll have the plain ice cream,” he said.

The waitress brought the ice cream, put the bill on the table, and walked away. The boy finished the ice cream, paid the cashier, and departed.

When the waitress came back, she began wiping down the table and then swallowed hard at what she saw. There, placed neatly beside the empty dish, were 15 cents - her tip.


(What impressed me - I found this in one of the pure 'finance' blog)

Wednesday, September 03, 2008

Batwe

Allah Jannat naseeb kare hamari Dadi ko - kaha kerti thin: "Jis ghar main batwe(wallet) alag ho jaayain, us ghar ki chataiN (roofs) bhi saath nahi rehtiN."

Monday, September 01, 2008

Faith-Healing

Interesting post and discussion at Uncle Saugoree blog.

"Faith healing (regardless of the type of faith) is not uncommon and I am going to relate a story of a practitioner in Pakistan whom I know very well. A woman appeared in his office with acute breast abcess (very painful condition indeed) He told her, it will have to be incised. She got scared, went to a 'faith-healer' and came back on third day without fever or pain though abcess still there and said "Doctor saheb cheera lagaa dain ab." (Go ahead doc, give your incision now)."

"Is it all psychological? - what you think?" (My querry)

"Good question.

I think many of these "healings" (other than planned and fake in the TV programs of these Televangelists--that is what I think I infer from the man putting his hand on the forehead of the "patient" and the patient falling backward held by the assistants of the preacher) may be explained on psychological basis, but I am sure there are definite healings that do occur as "miracles" (and not just because they cannot be explained in scientific terms).

I clearly remember one experience, that I shall have to describe with some brevity. My chief (the late prof. C. D. Aring) belonged to the "older" group of neurologists when Neurology was more intimately connected with Psychiatry) During my residency I had one young woman admitted in our ward with MS (Multiple Sclerosis) with paraparesis with upgoing toes, along with other signs (Definite Dx. of MS) and had some deformity of feet. One morning I came and she was out of bed standing and wanted to dance around with me. I was told, a faith healer had visited.Her deformity of feet was gone, still had upgoing toes but was walking very much improved with very little stiffness of legs".

Read full post and comments
here