Monday, September 29, 2008

Generation Gap and Love

Log kehte hain ke ma baap(parents) aur bachhon(kids) ki aksar is liye nahi banti kiunke beech main zamane ki raftar se aik 'generation gap' aa jata hai. Main is baat ko nahi maanta!

Aap dekhain ge ke 'grand kids' aur 'grand parents' ki hamesah khub jamti hai aur bara piyar hota hai.

Agar zamane ki uftad mohabbat ko qatal ker sakti to aesa na hota. Aulad mohabbat dhundhti hai ,chahe rang-nasal-zaban-zamane ka kitna hi faraq kiun na ho aur buzurg jaante hain ke ke kese darguzar kerna aur sirf mohabbat ka jawab mohabbat se dena.

3 comments:

Anonymous said...

aap nay aik bohat different baat likhey hai.or main sochti hon kay shaid ulad ki maan baap say is liyay nahi banti.kyon maan baap zimadari uthatey hain.jabkay grandparents sirf pyar kernay kay liyay hain.shaid zimadari zyda mushkil kaam hai pyar say.is liyay difference aa jatay hain.

bsc said...

Mujhay "Beyond" say ittifaaq hay.
Jab aulad apnay paain peh kharri hojati hay to wohimuhabbat jo pehlay dabi hui thee nikal aati hay

Anonymous said...

I think, lot of trouble gets in when parents try to dictate kids. Sincerely, they are either trying to discipline them better or getting nervous with values of 'new age'. But Grand parents with life experience learn to get most trouble smooth out and that why I valued their "darguzar".

Saugoree uncle is right that despite up and downs, eventually kids love their parents...