Tuesday, April 29, 2008

Mard aur Ghar

Ye aik talkh haqiqat hai magar sachhi baat hai ke: "Mard ka waqar us waqt tuk hai, jub tuk woh ghar se bahir hai" !

(Matlab mard jitna ghar se bahir reh ker roti ka kasab kerta hai, us ki utni hi izzat rehti hai. Ghar pe ziyada rehne se mard apna waqar kho deta hai).

Sunday, April 27, 2008

2 ZindagiaN

Hum sab aik sath do (2) zindagi guzarte hain.

Aik zindagi woh hai jo logon ko nazar aati hai, jis main hum school college jaate hain, shadian kerte hain, bachhe paida kerte hain, larte jhagrte hain, piyar kerte hain, dhoka dete hain aur dhoka khate hain, wagera wagera.

Magar aik aur zindagi hum apne andar guzarte hain jo chup chap dil main guzarti hai !

jese koi there paani ki jheel (still lake) apni khamoshi ki thandak se dilon ko serab kerti ho. Jese poore chand ki chandni ki thandak raat main chup chap damakti rehti hai.

Us andar ki zindagi ko 'enjoy' kerna hi asal zindagi hai. Ye dil ki woh gali hai jis pe dukh sukh ke mausam ka kam hi asar hota hai !

Kuch log shayed isi liye musibat main bhi khush nazar aate hain.

Thursday, April 24, 2008

Mauje Hadsa

Akbar Khan ka mohalle main Jah o Jalal tha !

Allah ne Akbar Khan ko bari khubsurti di thi. Lamba qad, gora rang, Kaale ghane baal aur kasrati badan ki wajah se woh mardana wajahat ka bharpur namoona tha. Is khubsurti ne use kafi magroor bana diya tha. Us ka aadha din "shah ji" ke akhare main warzish kerte guzarta aur baqi aadha mohalle main badmaashi kerte.

Us waqt meri umer koi 17 baras rahi ho gi aur main intermediate main tha. Aik din main college se ghar aa raha tha ke us ne, be-wajah, mere pet pe aik zordar mukka maar diya. Mukka itna zordar tha ke main 10 minute wahin betha dard se karhata raha. Ye sirf aik choti si misaal thi. Aese kai logon ki Akbar Khan ne khub bad-duwain jama ki.

Ab ki baar main Karachi gaya to Akram (his story here) ke sath mera jaana 'civil hospital' huwa. Aik 'ward' ke 'corridor' se guzarte huwe mujhe laga jese 'stretcher' pe parhe is shaks ko main jaanta hun. Gor se dekha to Akbar Khan tha. Intihai kamzor halat main tha. Rang pheeka parh chuka tha aur haddiyan nikli hui thi. Sir se baal gaib the. Jub main ne pehchan kerwai to us ne koi jawab nahi diya bus mera haat daba diya. Aankhon se do qatre aansu tapke. Akram ne 'ward' ke house officer se poocha kiya muamla hai to pata laga - 2 saal se Akbar Khan ko 'chondrosarcoma' ho gaya hai aur bimari ki wajah se aaye din hospital main daakhil rehta hai !

wey zar-war jawaN, jinhe kahiyye pahar the
jub aai mauje hadsaa, tinke se beh gaye

(Those who were jeweled with virility, like a mountain
sinked like a straw, once weaved in an accidental wave)

Tuesday, April 22, 2008

CLUB 99 ........

Some time ago, there lived a King.This king should have been contented with his life, given all the riches and luxuries he had. However, this was not the case! The King always found himself wondering why he just never seemed content with his life. Sure, he had the attention of everyone wherever he went, attended fancy dinners and parties, but somehow, he still felt something was lacking and he couldn't put his finger on it.

One day, the King had woken up earlier than usual to stroll around his palace. He entered his huge living room and came to a stop when he heard someone happily singing away... following this singing... he saw that one of the servants was singing and had a very contented look on his face. This fascinated the King and he summoned this man to his chambers.The man entered the King's chambers as ordered. The King asked why he was so happy?To this the man replied: "Your Majesty, I am nothing but a servant, but I make enough of a living to keep my wife and children happy. We don't need too much, a roof over our heads and warm food to fill our tummy. " ………………

Hearing this, the King dismissed the servant and summoned his Personal Assistant to his chambers.The King related his personal anguish about his feelings and then related the story of the servant to his Personal Assistant, hoping that somehow, he will be able to come up with some reasoning that here was a King who could have anything he wished for at a snap of his fingers and yet was not contented, whereas, his servant, having so little was extremely contented. The Personal Assistant listened attentively and came to a conclusion.

He said, "Your Majesty, I believe that the servant has not been made part of The 99 Club."

"The 99 Club? And what exactly is that?" the King inquired.

To which the Assistant replied, "Your Majesty, to truly know what The 99 Club is, you will have to do the following... place 99 Gold coins in a bag and leave it at this servant's doorstep, you will then understand what The 99 Club is." That very same evening, the King arranged for 99 Gold coins to be placed in a bag at the servant's doorstep. Although he was slightly hesitant and he thought he should have put 100 Gold coins into the bag, but since his assistant had advised him to put 99 that is what he did.

The servant was just stepping out of his house when he saw a bag at his doorstep. Wondering about its contents, he took it into his house and opened the bag. When he opened the bag, he let out a great big shout of joy...Gold Coins... so many of them. He could hardly believe it. He called his wife to show her the coins. He then took the bag to a table and emptied it out and began to count the coins. Doing so, he realized that there were 99 coins and he thought it was an odd number so he counted again, and again and again only to come to the same conclusion.. . 99 Gold Coins. He began to wonder, what could have happened to that last 1 coin? For no one would leave 99 coins. He began to search his entire house, looked around his backyard for hours, not wanting to lose out on that one coin. Finally, exhausted, he decided that he was going to have to work harder than ever to make up for that 1 Gold coin to make his entire collection an even 100 Gold Coins. He got up the next morning, in an extremely horrible mood, shouting at the children and his wife for his delay, not realizing that he had spent most of the night conjuring ways of working hard so that he had enough money to buy himself that gold coin. He went to work as usual - but not in his usual best mood, singing happily - as he grumpily did his daily errands.

Seeing the man's attitude change so drastically, the King was puzzled. He promptly summoned his assistant to his chambers. The King related his thoughts about the servant and once again, his assistant listened. The King could not believe that the servant who until yesterday had been singing away and was happy and content with his life had taken a sudden change of attitude, even though he should have been happier after receiving the gold coins. To this the assistant replied "Ah! But your Majesty, the servant has now officially joined The 99 Club." He explained: "The 99 Club is just a name given to those people who have everything but yet are never contented, therefore they are always working hard and striving for that extra 1 to round it out to 100!

Sunday, April 20, 2008

Human minds !


Duniya jissay kehetey heiN, jadoo ka khilona hey
mil jaye to matti hey, kho jaye to sona hey

Saturday, April 19, 2008

Roshni ka dhoka !

How humans sometime decieve themselves - us per Mullah Nasiruddin ki aik hikayat (ya latifah) hai !

"Somebody was looking for a key under a street lamp. When questioned he says that he lost it some distance away from the lamp, but keeps looking where there is enough light to see".

Insan aksar ye jaante huwe bhi ke cheez wahan nahi hai, roshni se dhoka kha jata hai !!

Friday, April 11, 2008

Psychological Dyslexia

Neurological dyslexia ka ilawa, aik cheez hoti hai psychological dyslexia!

Ye woh dimag hote hain ke
  • 'Habil'(Abel) ke qatal ka zikar ho to ye janna chahte hain ke 'Qabil'(Cain) ko itna gussa kiun aaya hoga?
  • Jub saari duniya 'Musa' ke peeche chalti hai to ye janna chahte hain ke 'Haroon' kis kefiyat se guzarta hai?
  • Jub saari duniya 'Essa' ko suli pe chahrte dekhti hai to unhe 'Maryam' ka dukh mehsoos hota hai
  • Jub har koi 'Hussain' ka matam kerta hai to woh malum kerna chahte hain ke 'Hasan' kiya sochta hai?
  • Woh 'Heer Ranjha' ko chor ker 'chacha kaido' ki psych se mesmerized hote hain
Ye woh log hote hain jo 'parallel' chalne wali do patrion main se, "dusri patri" pe nazar rakhte hain . Jo hotel ka 'Menu' peeche se dekhna shuru kerte hain !!


(I used above as examples and don't intend to offend anyone's religious sentiments)

Tuesday, April 08, 2008

Sang muqayyad O sag azad

See this video - how a simple couple get harassed on the street of Karachi. Per Faiz

Nisar main teri galion ke aey watan ke jahan
chali hai rasam ke koi na sir utha ke chale
Jo koi chahne wala tawaf ko nikle
nazar chura ke chale, jism-o-jaan bacha ke chale

Hai ahle-dil ke liye ab ye nazme bast-o-kushad
ke sang-o-khasht muqayyad hain aur sag azad *

* last line used by faiz is a famous hikayat from Sheikh Saadi regarding any lawless place:

"aik shaks safar kerte huwe aik aese shahr main pauncha jahan har taraf pagal kutte azad phir rahe the. Jub us shaks pe aik pagal kutte ne bhonkne ki koshish ki to us ne zameen se patthar uthana chaha magar patthar zameen main dhansa huwa tha. Us shaks ne kaha: 'Ajeeb shahr hai ke sang muqayyad o sag azad - mutlab patthar qaid main hain magar kutte azad hain"


Saturday, April 05, 2008

Friday, April 04, 2008

Jhannum (Living Hell)

Mohammad Ali sahab ko allah jannat naseeb kare ! Woh mere mareez the. Main ilaj to kiya kerta bus 'palliative treatment' hi thi. Unhe late stage 'carcinoma of the gallbladder' tha. Mohammad Ali sahab ko allah ne bari daulat di magar 'down to earth' aadmi the.

Aik roz main un ki ayadat ko gaya to ghar pe koi nahi tha. Us din mohammad Ali sahab ka dard-e-shikam qadre kum tha. Us din aakhri baar hum ne bohut saari batain ki. Main ne poocha: "Mohammad Ali sahab - is there anything I can do beside a doctor ?"

Unhon ne bari ajeeb darkhwast ki. Bole: "Tum america ja rahe ho (I was about to leave for USA). Agar ho sake to wahan meri beti ki talaq kerwa dena" !!

Mujhe bohut hairat hui ! Mere istafsar pe unhon ne bataya.

"Hur baap ki tarah main bhi chahta tha ke meri beti achhi jagah bihai jaaye. Jub meri beti Naseema ka rishta aaya to mujhe log bohut pasand aaye. Lurka bhi parha likha tha. America main settle tha. Main ne beti se pooche bagair haan ker di. Naseema farmanbardar bachhi thi. Kuch na boli magar mangni ke 2/3 hafte baad mujhe meri begum ne bataya ka Naseema khush nahi lagti. Main ne Naseema se poocha ke kiya baat hai. Naseema ke paas lurke ki napasandidgi ka koi khas uzar to nahi tha magar woh beshaq is shadi se khush nahi thi. Koi baat thi jo use tang ker rahi thi magar woh keh na paayi. Main riwayati baap bun gaya. Ye jaante huwe bhi ke beti ko lurka pasand nahi, hum ne daulat hasiat dekh ker shadi ker di. Is baat ko 9 baras ho gaye. Naseema jo gai to aik baar bhi wapas nahi hai magar logon se pata chalta hai ke uska shohar us pe aaye din haat uthata rehta hai. Uski zindagi jhannum bani hui hai. "walmart" main cashier ki subah se sham job kerti hai aur ghar pe 3 bachhon ka baar hai. Jo kamati hai, shohar ke cigarette, sharab aur juwe (gambling) ki nazar ho jata hai ! Naseema ko jis jhannum main hum ne jhonka hai uska madawa kese ho. Na hum se koi baat kerti hai, na koi gila na koi shikayat. Bus merne se pehle aik dafa beti se muafi mangna chahta hun aur chahta hun azad ho jaaye".

Mohammad Ali sahab faut ho gaye. Is baat ko bhi mazeed 15 baras ho gaye magar unka qarz mujh pe baqi hai. Mujhe to ye kehne ki himmat nahi hui ke dafa karain, azad ho jaayain. Naseema Baji ab bhi "walmart" main cashier hain. Ghar ki surate-haal ka to mujhe ilm nahi magar itna zaroor jaanta hun ke ab bhi unka shohar hur weekend Atlantic City main guzarta hai !

Wednesday, April 02, 2008

Men's comfort zone

'Sultan' (here, here) ka ye jumlah main ne 2/3 baar is blog pe likha ke: ""Zindagi main tum dekhna woh aurat hamesha apne mard pe raaj kerti hai jis main sense of humor ho. Jo hur baat pe muskurati ho. Kiunke mard aik aesi tapish hai jeese hur waqt chaun chaiye. Aurat ki muskurahat uska secret comfort zone hai".

Is se aage aik aur baat jo main ne dekhi ke: "agar mard ko ye comfort zone na mile to woh bawla ho jaata hai ! Aap ne kai chirchire, 'always irritated' aur 'unhappy' mard dekhe honge. Aadhe isi 'comfort zone' ke maare hote hain" !!