Thursday, April 24, 2008

Mauje Hadsa

Akbar Khan ka mohalle main Jah o Jalal tha !

Allah ne Akbar Khan ko bari khubsurti di thi. Lamba qad, gora rang, Kaale ghane baal aur kasrati badan ki wajah se woh mardana wajahat ka bharpur namoona tha. Is khubsurti ne use kafi magroor bana diya tha. Us ka aadha din "shah ji" ke akhare main warzish kerte guzarta aur baqi aadha mohalle main badmaashi kerte.

Us waqt meri umer koi 17 baras rahi ho gi aur main intermediate main tha. Aik din main college se ghar aa raha tha ke us ne, be-wajah, mere pet pe aik zordar mukka maar diya. Mukka itna zordar tha ke main 10 minute wahin betha dard se karhata raha. Ye sirf aik choti si misaal thi. Aese kai logon ki Akbar Khan ne khub bad-duwain jama ki.

Ab ki baar main Karachi gaya to Akram (his story here) ke sath mera jaana 'civil hospital' huwa. Aik 'ward' ke 'corridor' se guzarte huwe mujhe laga jese 'stretcher' pe parhe is shaks ko main jaanta hun. Gor se dekha to Akbar Khan tha. Intihai kamzor halat main tha. Rang pheeka parh chuka tha aur haddiyan nikli hui thi. Sir se baal gaib the. Jub main ne pehchan kerwai to us ne koi jawab nahi diya bus mera haat daba diya. Aankhon se do qatre aansu tapke. Akram ne 'ward' ke house officer se poocha kiya muamla hai to pata laga - 2 saal se Akbar Khan ko 'chondrosarcoma' ho gaya hai aur bimari ki wajah se aaye din hospital main daakhil rehta hai !

wey zar-war jawaN, jinhe kahiyye pahar the
jub aai mauje hadsaa, tinke se beh gaye

(Those who were jeweled with virility, like a mountain
sinked like a straw, once weaved in an accidental wave)

No comments: