Saturday, May 29, 2010

Kupre

Daro us mard se jise kupre pahenne ka aur us aurat se jise kupre utarne ka shoq lug jaaye!

Sunday, May 23, 2010

MohabbatoN ka safar

"Jitni muhabbat ma baap aulad se kerte hain, utni mohabbat aulad kubhi bhi ma baap se nahi ker sakti. Aesa kiun hota hai?"

"Kiun ke qudrat ke kaarkhane main har cheez aage chalti hai. Afaq ki is kaar-gahe sheesha-gari main jahan chand, taare, suraj, sayyare sab aik hisab se hain wahin insaani rishtoN main jazbaat ki tapish ko bhi aik khas andaze se gondha gaya hai! Waaldain ka aehtraam aur burhape main unka khayal laazim hai magar mohabbat ki aag agar ulti chal parti to shayed is kaainaat main kun faya kun ki jo saadain aa rahi hain woh tham si jaatiN. Ooper wale ke har amal main koi hikmat pinha hai aur us ke kaam bare nirale hain".

Saturday, May 15, 2010

What a happy man!

Somebody posted this desi video on youtube. There is something magical about this video. This old man has a simple bicycle somewhere (or nowhere) in the fields of India or Pakistan. But he sounds so content without money singing this classic old Indian song.

Wednesday, May 12, 2010

Saima ke Sawal

Saima hum se poochti hai ke use kiya kerna chahiye? - koi batlaye ke ham batlaiN kiya?

Saima ke sawal mukhtasar zaroor hain magar mushkil hain. Saima jub America aai to sirf 5 baras ki thi. Yahin ke ma'hol main rach bas gai. Jub 17 baras ki thi to uski zindagi main aik chota sa waqiya huwa. Aik 'saturday night' night club ke baad woh aik Pakistani ke ghar ther gai aur ha'amila (pregnant) ho gai. 

- It was a one night stand which turned into a nightmare. 

Us ne 'abortion' kerwane se inkaar ker diya. Ghar walon ne us waqt ki choti si 'Pakistani community' main izzat bachane ke liye use LA se Florida bhej diya. Wahan aik hospital main aik khubsurat bachhi ko janam dene ke baad usne bachhi ko adoption main de diya. Jis OB/Gyn ne use treat kiya usi ne bachhi ko adopt ker liya. Bachhi ke behtar mustaqbil ki khatir us ne ye karwa ghunt pi liya - and she moved on with her life. Is baat ko 22 baras guzar gaye.

Now she has a prosperous life with a loving husband and 2 nice kids. She has a beautiful house in the suburb with Lexus RX 470 and Audi 6 in driveway.

Saima mujh se 2 sawal poochti hai. Pehle sawal ka jawab to mere paas hai magar dusre ka nahi. Pehla sawal ye hai ke kiya ab use apni beti se 'contact' kerna chahiye? Saima beti ke qahar se darti hai magar mera khayal hai ke use phir bhi apni bachhi se zaroor 'contact' kerna chahiye.

Dusre sawal ka jawab mere paas nahi hai. Woh ab bhi us shaks ko jaanti hai jis ke nutfe se uski beti ne janam liya. Kiya use us shaks ko batana chahiye ke uski koi aik beti bhi hai. Us shaks ki apni aik aasuda zindagi hai. Aesa kerne se 2 abad khandan barbad ho sakte haiN. Saima kehti hai mera shohar mujh se bohat mohabbat kerta hai magar ander se woh bhi tumhari tarah aik kamina Pakistani mard hai!

kisi ki aankh agar jo num nahi hai
ye na samjho ke usko gum nahi hai

Tuesday, May 11, 2010

Dollar vs Rupee

Jub main naya naya America aaya to NY main aik hyderabadi Indian family ke saath PG (Paying Guest) rehta tha. Bare nafees aur piyar kerne waale log the. Mujh main us zanmane main "Pakistaniat" kut kut ke bhari hui thi. Aap use "black Patriotism" keh sakte hain. Basheer Bhai Indra Gandhi ke fan the. Hamari khub bahes hoti magar un ke piyar main zara farq na aata. Hamare saath aik aur hyderabadi larka - Ashok rehta tha. Har raat sone se pehle apne bache kuche paise (change) khirki ke paas chor deta - jo ya to basheer bhai ki beti school jaate le jati ya phir dinoN wahin pare rehte. Main Pakistan se naya naya aaya tha - aur din main jub ghar pe koi nahi hota - un paisoN ko gin ker sochta - Pakistani rupoN main kitne banaiN ge? Aur hairat se sochta: "Itne paise aese kiun chor dena?"

Aik din main ne Ashok se kaha: "Tum agar ye paise jor ke rakho to India/Pakistan ke mahine ke koi 1000/2000 rupe ho jaayain".

Meri baat sun ke Ashok zor zor se hasne laga. Kehne laga: "Yaar paisoN se, aur woh bhi khulle paison se itna piyar nahi kerte. Tum barsoN is mulk main raho ge. Meri aadat daal lo, zindagi asan ho jaaye gi".

Main ne Poocha: "Kesi adat?"

Kehne laga: "Dollar ko dollar ki jagah rupe bolte raho. Kharch kerna asan ho jaaye ga. Aur Nuqsan se takleef bhi kum ho gi"

Yaqeen kijye - woh din aur aaj ka din - main ab bhi dollar ko rupe/paise keh ker bulata hun. Aur mere liye zindagi kafi sahel ho gai hai. Main ab 2.99 aur 3.99 ka ziyada hisab nahi kerta! Aur 499 ka iPad khareed ke ziyada takleef nahi hoti!

Saturday, May 01, 2010

3 AdalataiN

Is Duniya main 3 tarah ki adalatain hoti hain.

Aik to woh jahan court kacheriaN sajti hain. WakeeloN ki bahes hoti hai. Jhoote sachhe gawah pesh hote haiN. Kubhi begunah ko phansi bhi lag jaati hai. Jahan "sood-o-ziaN" ka karobar hota hai.

Dusri adalat woh hai jo kehte hain ooper wale ki hai. Mujh jese daheriye ke liye to pata nahi hoti bhi ya nahi - ya kubhi hogi bhi ke nahi. Aese faisloN ka koi kiya kare jub chirya chuk gai khet. Allah mian bhi naa....

Magar aik adalat aesi hai jo hum insaanoN ke beech hoti hai. Jahan darguzar ka qanoon chalta hai. Jahan jeetne ki khuwahish nahi hoti. Jahan kamine dil ka raj chalta hai. Jahan baqol faiz: "Jese bimar ko bewajah qarar aa jaye" ki mantiq chalti hai. Is adalat main nuqsan paane se ziyada kisi aur ko nuqsan na paunchaane ka andesah khayye jaata hai.....

Rub hi jaane - insaani rishtoN ki is khencha taani main kaun si adalat hum jese insaaon ke naqsh ki shokhiye tehreer hai!