Friday, June 27, 2008

Wa tuizzu man tasah......

Moin Akhtar Pakistan ka aik aesa unique comedian hai, jis ka koi muqabla nahi ker sakta. No one even come close to his versatility. For me, atleast in Indian subcontinent, he is 'the best'. I can watch him for hours and hours. I think, he is in show business for almost 40 years but...Moin Akhtar ki shayed hi koi aesi performance hogi jisko dekh ker kisi ne ye kaha ho ke - he performed below expectation.

Kuch dinon pehle, Moin Akhtar ka TV per aik interview suna. Us interview main, us ki aik baat sun ker mujhe bara taajub huwa. Us ne kaha ke: "itne barson baad bhi, aaj bhi kisi show se pehle uske haat paun aese hi thande par jaate hain, jese pehla show ho. Aur woh kone main jake dua maangta hai ke ya Allah ! izzat rakhna".

Jub tuk insaan apni izzat aur zillat ke liye Allah se darta rahe, Allah use izzat aur kamyabi deta hai. Jis din kisi ke dil main ye khayal aaya ke, mujhe apna kaam sub se achha aata hai and I am master of my work - bus wahin se uska zawal shuru ho jata hai !!

Think everyday in your career as your first day and be humble !


"Say O Allah. Lord of Power, Thou givest power to whom Thou pleasest, and Thou strippest off power from whom Thou pleasest: Thou enduest with honour whom Thou pleasest, and Thou bringest low whom Thou pleasest: In Thy hand is all good. Verily, over all things Thou hast power" (3:26)

Sunday, June 22, 2008

Judgemental (Salahuddin ki kahani)

Ab sochta hun to bohut ajeeb lagta hai ke meri Salahuddin se kese dosti ho gai ? Bus itna yaad hai pehli baar meri us se mulaqat aik dost ke hawale se kharadar (old karachi) main hui thi, jahan main mamu ke liye sharab khareedne gaya tha.

Salahuddin na kubhi school gaya aur na kubhi use parhna likhna aaya. Duniya bhar ke saare kaale kaam woh kerta tha. Kharadar ke makar pare se defence ki elite class ko sharab supply kerna, charas bechna, chori ki motorcycles khareedna bechna, jaali kaagzat banwana wagera wagera - ye uske dhandhe the. Mere paas medical college ka card tha aur curfew paas hota tha. Kai dafa hum curfew main sharab le ker police ki naka bandi se nikle. Ajeeb baat hai, tub mujhe koi dar nahi laga. Ab sochta bhi hun to hol aata hai. Faheem bhai ko pata laga to kehne lage, ab to tum hamare baap logon ke saath uthne bethne lage ho !

Main abhi karachi main hi tha ke pata laga salahuddin bankok chala gaya hai. Residency ke third year main, jub main Pakistan gaya to pata laga salahuddin Thailand ki kisi jail main band ho gaya hai. Mujeh koi hairat nahi hui bulke sab ne kaha - he destined himself for it.

2005 main Pakistan gaya to pata laga Salahuddin ab england main hota hai. Uska phone number mil gaya. Main ne aik roz use phone kiya. Kafi batain hui. Main ne us se Bankok ka qissa poocha. Salahuddin ki aik baat ka mujhe yaqeen hai ke usne kubhi jhoot nahi bola. Shayed use zaroorat hi nahi thi. Kiunke uska hum logon ki tarah koi 'gray zone' nahi tha. Koi jhuti aan baan ya munafiqat se bharpur sufed poshi nahi thi. Bankok ka qissa uski zabani suniya:

"Main Bankok isi niyyat se gaya tha ke saare kaale kaam chor ker ab mehnat ki rozi kamaun ga. Saare kaam peeche Karachi main chor diye. Wahan aik factory main naukri mil gai. Mere paas koi papers nahi the. Sara din factory main chup ker naukri kerta aur raat wahin so rehta. Umeed thi, kuch paise wagera jama ho jaayain aur sabeel ho jaaye to australia nikal jaunga. Magar Allah ko kuch aur hi manzoor tha. Aik roz factory ke bahir, aik burhe shaks ko aik gaari ne takkar mar di. Gari wala maar ker niklne laga magar main ne gari ka number note ker liya. Jub police aai to main ne police ko woh number diya. Wahan ki police ka haal hamari police se mukhtalif nahi. Ulta mujhe lene ke dene par gaye. Main illegal 'job' ker raha tha. Police ne ooper se 3/4 aur case thok diye. Mujhe lambi jail ho gai. Jub tuk Karachi main raha, koi achha kaam nahi kiya aur azad raha. Zindagi main aik achha kaam kiya aur jail chala gaya".

Phir usne mujh se poocha: "Is ka matlab samjhte ho?" Main ne kha: "Nahi"

Us ne kaha: "Is ka matlab hai, bahir azad phirne wala har koi naik nahi aur jail main band har koi gunhagar nahi. Insaan ka faisla kerne wali yahan ki adalat nahi, sirf Allah ki zaat hai".

Us din se main ne sirf CNN, Newsweek aur Geo ki news sun ker logon ke baare main judgemental hona chor diya hai.

Monday, June 16, 2008

Decencies

(cross post from one of my most fav. blogger karrvakarela )

Dear Person Who Took My Clothes Out of the Dryer,

I just wanted to thank you for folding them. I had put them in two days ago and gone to work, completely forgetting that they needed to be removed. Imagine my joy, then, after returning forty-eight hours later to rescue what should have been an insensible mess and finding them all placed in a neat pile, the socks matched and tucked into each other, on top of the dryer. We don't know each other - the laundry room, churning and rumbling in detergent frenzy, is hardly a place to discover new friends - but yours was a wonderful gesture and it made my day. Thank you very much.

Sincerely,
kk


A side note: KK call his i-pod, Bhai-pod !!

Saturday, June 14, 2008

Women and gifts !!

Aurat tohfon (gifts) se khush hoti hai !

Punjabi ki aik lok kahani (folk stoy) hai

"A husband went off to a war and came back after 12 years. With all his saved money he bought a Khoti (She Donkey) so it helps her wife in work. So, the wife asks, after twelve years of absence what have you brought for me and the husband says, a khoti (she donkey). The wife says that I was able to bear the sorrow of 12 years but I can't take sorrow of this poor gift. If that is all you have brought for me after all this time, then perhaps we cannot live together".

Baari barseen khattan gaya tai khat kai kyanda kee
Khat kai lyandi khotee, meree teree naheen wasneeN!



Friday, June 13, 2008

Malakoot (dominion)

(Cross post from JAG's blog)

فَسُبۡحَـٰنَ ٱلَّذِى بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَىۡءٍ۬ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Therefore glory be to Him in Whose hand is the dominion over all things! Unto Him ye will be brought back. (Qur'an 36:83)

My little brother Ali's heart was attacked by a raging virus. We all thought it was a flu but it turned out to be a case of fulminant myocarditis, which inflamed his heart muscle so severely that it put him into cardiac arrest less than 72 hours after the onset of his relatively mild symptoms. Less than 4 days after that, his heart was pumping with such diminished capacity that he began going into organ failure, and was immediately scheduled for emergency surgery to install biventricular assist devices (BiVAD's) to pump his blood for him. Out for two days, he awoke slowly from anesthesia and is now facing the possibility of a heart transplant
............................................

Read full post here


Wednesday, June 11, 2008

Spouse cheated?

'History' ki kitabon main jo qisse bayan kiye jaate hain unka maqsad sirf kahani nahi hota bulke sabaq sikhna maqsood hota hai.

Agar aap ne Hazrat Yousuf (Prophet Joseph) ki zindagi ke halat parhe hon to aap jaante honge ke Allah ne unko bari khubsurti di thi.

"Yusuf was a handsome and an attractive, charming and irresistible young man. He was held in high esteem even in the house of his master. As the time passed the lady of the house fell in love with him..... One day in the absence of her husband she approached him. Yusuf refrained from doing evil but she chased him. She grabbed hard at the back of his shirt and it was torn apart. Just at that time the master appeared on the scene. He saw what was going on, He flew into a rage. The master's wife was embarrassed beyond all limits. She cried out and levelled false accusations against Yusuf. Yusuf clarified his position with the moral support of one of the maid-servants who bore witness by saying: Look at the shirt. If it is torn at the back, the Yusuf will be quite innocent. He should not be blamed. In case it is rent from the front the accused will be one of the liars. The master became convinced of the innocence of Yusuf. He appealed to him to keep the matter in secret. Moreover he admonished his wife to beg pardon of Yusuf".

Is kahani se main ne 7 sabaq sikhe

1. If God has made you physically attractive, it does not mean you have license to seduce other gender but you should remain humble like yousuf was.

2. Its not only man but woman can also sexually charge man.

3. All crying women can't be right !

4. If you hear charges levelled from your loved one against someone - you shouldn't believe it instantly, just because he or she is your 'manzoor-e-nazar'.

5. If you know the truth, speak out - it may save someone's dignity and even life (like other maid-servant did).

6. If you find out that your spouse has cheated you under flash of lust, its more graceful to keep it secret.


7. If you end-up putting "tauhmat" on someone under rage, it does not hurt to apologize.

Saturday, June 07, 2008

Asghar Bhai ki Lambi Judai

Duniya ki bohut si kahanian hame aam si lagti hain magar uske ander chupa dukh kubhi kubhi sirf afsane ke kirdaron ko hi mehsoos hota hai. Aesi hi aik kahani Asghar bhai ki thi jin ke dukh ki gheraion ka kuch kuch andaza mujhe sirf aakhri din huwa !

America ke pehle 3/4 saal baqol Faiz, 'Is rah main jo sab pe guzarti hai woh guzri', ke masdaaq, roommates ke saath guzre. Un ibtadai saalon main meri mulaqat aik shaks se hui jinhe ham Asghar Bhai kehte the. Asghar bhai jese kirdar aap ko america ki roommates' community main bohut milain ge.

Asghar Bhai mujh se 8/10 baras bare honge. Biwi bachhe Pakistan main the. Ajeeb la-ubali aadmi the. Lag ke unse koi kaam nahi hota tha. Kubhi 'Cab' drive kerte to kubhi kisi gas station pe kaam kerte, kubhi insurance agent ban jaate aur kubhi grocery store kholne ki batain kerte. Magar unki halat wahi thi ke raat ko beer ke 6 packs pi ke newsline ki khabrain sunna, magar dimag kahin aur hota. Hum sab Pakistan phone kerne ke liye raat 11 bajne ya weekend ka intzar kerte (abhi calling cards itne aam nahi huwe the aur nights/weekend pe ATT ki calls sasti hoti thi). Main ne unhe kubhi Pakistan phone kerte nahi dekha. Unke paas Green card tha magar kubhi Pakistan jaane ki baat na kerte. Itna maloom tha ke Pakistan main rozana unki biwi aur amma ke jhagre ki wajah se unki biwi ne alehdgi le li thi (saas bahu jhagra) aur Asghar bhai is jhagre se ghabra ke america main mehsoor ho gaye the.

Aik din ittlah mili ke un ke biwi bachhe Canada aa rahe hain. Mera bhai ke paas canada aana jana tha. Bole: "yaar! main ne kubhi Green card pe travel nahi kiya. Border pe jaate dar lagta hai. Mere saath Niagra Falls chalo. Mera sala border ke us taraf se mujhe pick ker lega. Mujhe himmat rahe gi". Main farig tha, main ne kaha: "sure" !

Hum border cross ker ke jub Canadian side paunche to wahan unke biwi bachhe intzar ker rahe the. Asghar bhai 7 baras baad apne biwi bachhon se mile the. Wahin sarak pe woh apne bachhon se jub mile hain aur unke zabt ke bandhan jo tute hain - mera bhi dil dahal giya. Unki biwi ki aankhon main bhi aansu the. Lagta tha usne bhi qatil judai ka aik aik lamha gin ke guzara hai. Asghar bhai ko rota dekh ke kai rah chalte log ruk jaate magar unhe kisi ki parwah nahi thi. Unke aansun aur dukh ki gherion ke saamne Niagra Falls bhi maand par gaya. Woh kubhi bete ko piyar kerte aur kubhi beti ko. Unke rone ke beech ye 2 jumle mujhe samjh aaye: "There was a not a single moment when I was not with you guys" and "Why the hell, we went through this" !

Wahan se Asghar bhai aage chale gaye. Main bus le ke Montreal chala gaya. Us roz mujhe samjh aai ke kiun Asghar bhai jese kai logon se america main koi kaam lug ke nahi hota. Woh raat ko beer ke 6 packs kiun pite hain aur newsline ki khabrain sunte huwe unka dimag kahan hota hai. Us din ke baad mujhe Asghar bhai nahi mile. Kisi ne bataya Pakistan wapas chale gaye.

Kubhi kubhi ghar ke chote chote jhagre insaan ko aphaj ker ke rakh dete hain. Woh hamare saamne hote hain magar unke dil aur dimag kahin aur hote hain !

Thursday, June 05, 2008

Monday, June 02, 2008

A nurse by choice

"I am a nurse by choice.

At that time I was a nurse student but I was unsure about pursuing this career. There was one patient on our floor who was terminally ill and was dying of liver failure due to previous alcohol and drug abuse. Every nurse was trying to avoid him saying......."Oh ! he is such a whiner. He is such a complainer. He deserves this etc etc". As no one was eager to take him, I was given that patient. For me, he was a patient like any other patient. What he did in his life was secondary to me. I listened to him and tried to make him comfortable. I took care of him for 3 days. He died on 4th day. 2 days later, his wife came to our floor, looking for me. She told me that my husband spend last 3 days of his life with peace and dignity. He was happy. He asked me to gift you his favourite coffee mug.

I still have that coffee mug sitting in front of my desk. That day I realized, as a nurse, I do make difference in peoples' life as well as death. So I am a nurse by choice".

Sunday, June 01, 2008

..ke aate jaate !!

Ahmad Faraz ka aik kamal ka sher.
Jaate jaate ke saath, aate jaate ko jis khubsurti se istima'al kiya hai - uska jawab nahi !!




Silsiley tor giya woh sabhi jaate jaate
werna itne to marasim the ke aate jaate