Sunday, June 22, 2008

Judgemental (Salahuddin ki kahani)

Ab sochta hun to bohut ajeeb lagta hai ke meri Salahuddin se kese dosti ho gai ? Bus itna yaad hai pehli baar meri us se mulaqat aik dost ke hawale se kharadar (old karachi) main hui thi, jahan main mamu ke liye sharab khareedne gaya tha.

Salahuddin na kubhi school gaya aur na kubhi use parhna likhna aaya. Duniya bhar ke saare kaale kaam woh kerta tha. Kharadar ke makar pare se defence ki elite class ko sharab supply kerna, charas bechna, chori ki motorcycles khareedna bechna, jaali kaagzat banwana wagera wagera - ye uske dhandhe the. Mere paas medical college ka card tha aur curfew paas hota tha. Kai dafa hum curfew main sharab le ker police ki naka bandi se nikle. Ajeeb baat hai, tub mujhe koi dar nahi laga. Ab sochta bhi hun to hol aata hai. Faheem bhai ko pata laga to kehne lage, ab to tum hamare baap logon ke saath uthne bethne lage ho !

Main abhi karachi main hi tha ke pata laga salahuddin bankok chala gaya hai. Residency ke third year main, jub main Pakistan gaya to pata laga salahuddin Thailand ki kisi jail main band ho gaya hai. Mujeh koi hairat nahi hui bulke sab ne kaha - he destined himself for it.

2005 main Pakistan gaya to pata laga Salahuddin ab england main hota hai. Uska phone number mil gaya. Main ne aik roz use phone kiya. Kafi batain hui. Main ne us se Bankok ka qissa poocha. Salahuddin ki aik baat ka mujhe yaqeen hai ke usne kubhi jhoot nahi bola. Shayed use zaroorat hi nahi thi. Kiunke uska hum logon ki tarah koi 'gray zone' nahi tha. Koi jhuti aan baan ya munafiqat se bharpur sufed poshi nahi thi. Bankok ka qissa uski zabani suniya:

"Main Bankok isi niyyat se gaya tha ke saare kaale kaam chor ker ab mehnat ki rozi kamaun ga. Saare kaam peeche Karachi main chor diye. Wahan aik factory main naukri mil gai. Mere paas koi papers nahi the. Sara din factory main chup ker naukri kerta aur raat wahin so rehta. Umeed thi, kuch paise wagera jama ho jaayain aur sabeel ho jaaye to australia nikal jaunga. Magar Allah ko kuch aur hi manzoor tha. Aik roz factory ke bahir, aik burhe shaks ko aik gaari ne takkar mar di. Gari wala maar ker niklne laga magar main ne gari ka number note ker liya. Jub police aai to main ne police ko woh number diya. Wahan ki police ka haal hamari police se mukhtalif nahi. Ulta mujhe lene ke dene par gaye. Main illegal 'job' ker raha tha. Police ne ooper se 3/4 aur case thok diye. Mujhe lambi jail ho gai. Jub tuk Karachi main raha, koi achha kaam nahi kiya aur azad raha. Zindagi main aik achha kaam kiya aur jail chala gaya".

Phir usne mujh se poocha: "Is ka matlab samjhte ho?" Main ne kha: "Nahi"

Us ne kaha: "Is ka matlab hai, bahir azad phirne wala har koi naik nahi aur jail main band har koi gunhagar nahi. Insaan ka faisla kerne wali yahan ki adalat nahi, sirf Allah ki zaat hai".

Us din se main ne sirf CNN, Newsweek aur Geo ki news sun ker logon ke baare main judgemental hona chor diya hai.

6 comments:

sobia said...

u r tagged
http://sufferingbehaviours.blogspot.com/2008/06/so-m-tagged-by-ikram.html

Anonymous said...

very well said by your friend :)...aur log na-samaj hote hain...kehte hain ager ghalat houn to DEH tumhara khuda mujhe saza. MashaAllah glad your friend smartened up.

Read the link to the qissa you describe of your mamu...and that just gave me the shivers :S. Insaan keh liye subsay bara hurdle khudh par control ka hota hai. Jo log sochte keh zarorat nahi tou answer back to anyone...let that control loosen. Mager inshaAllah may HE guide your mamu as well..for nothing is impossible if HE wills it.

sobia said...

sahi kaha bilkul. logon k bare mein faisla kerne wale hum kaun hain. jubk hamein her insan ka koi aik pehlu maloom hai aur hum ussi ko dekh ker samajhte hein k bhai hum ne to iss ko ander bahir se jaan liya ahi

Anonymous said...

WIMW.... I will pass tag game...
(I tried to left comment on yr blog but somehow, it bouncing back as error, will try again)

Annonymous...Mamu se to allah hi samjhe, hamare bus ki to baat nahi...lol

bsc said...

Bahgair likha parrha aadmi laikin baat kitni sahee keh giya.
Yes, I am not judgemental now as often as before but that is from age-learned behavior. Faraz nay kaha hai
"her sadaf main guher nahin hota"
(may have different meaning)
and also
"dost hota nahin her haath milanay wala"
again meaning may be somewhat different.

Anonymous said...

wah kiya baat hai

her sadaf main guher nahin hota