Saturday, June 07, 2008

Asghar Bhai ki Lambi Judai

Duniya ki bohut si kahanian hame aam si lagti hain magar uske ander chupa dukh kubhi kubhi sirf afsane ke kirdaron ko hi mehsoos hota hai. Aesi hi aik kahani Asghar bhai ki thi jin ke dukh ki gheraion ka kuch kuch andaza mujhe sirf aakhri din huwa !

America ke pehle 3/4 saal baqol Faiz, 'Is rah main jo sab pe guzarti hai woh guzri', ke masdaaq, roommates ke saath guzre. Un ibtadai saalon main meri mulaqat aik shaks se hui jinhe ham Asghar Bhai kehte the. Asghar bhai jese kirdar aap ko america ki roommates' community main bohut milain ge.

Asghar Bhai mujh se 8/10 baras bare honge. Biwi bachhe Pakistan main the. Ajeeb la-ubali aadmi the. Lag ke unse koi kaam nahi hota tha. Kubhi 'Cab' drive kerte to kubhi kisi gas station pe kaam kerte, kubhi insurance agent ban jaate aur kubhi grocery store kholne ki batain kerte. Magar unki halat wahi thi ke raat ko beer ke 6 packs pi ke newsline ki khabrain sunna, magar dimag kahin aur hota. Hum sab Pakistan phone kerne ke liye raat 11 bajne ya weekend ka intzar kerte (abhi calling cards itne aam nahi huwe the aur nights/weekend pe ATT ki calls sasti hoti thi). Main ne unhe kubhi Pakistan phone kerte nahi dekha. Unke paas Green card tha magar kubhi Pakistan jaane ki baat na kerte. Itna maloom tha ke Pakistan main rozana unki biwi aur amma ke jhagre ki wajah se unki biwi ne alehdgi le li thi (saas bahu jhagra) aur Asghar bhai is jhagre se ghabra ke america main mehsoor ho gaye the.

Aik din ittlah mili ke un ke biwi bachhe Canada aa rahe hain. Mera bhai ke paas canada aana jana tha. Bole: "yaar! main ne kubhi Green card pe travel nahi kiya. Border pe jaate dar lagta hai. Mere saath Niagra Falls chalo. Mera sala border ke us taraf se mujhe pick ker lega. Mujhe himmat rahe gi". Main farig tha, main ne kaha: "sure" !

Hum border cross ker ke jub Canadian side paunche to wahan unke biwi bachhe intzar ker rahe the. Asghar bhai 7 baras baad apne biwi bachhon se mile the. Wahin sarak pe woh apne bachhon se jub mile hain aur unke zabt ke bandhan jo tute hain - mera bhi dil dahal giya. Unki biwi ki aankhon main bhi aansu the. Lagta tha usne bhi qatil judai ka aik aik lamha gin ke guzara hai. Asghar bhai ko rota dekh ke kai rah chalte log ruk jaate magar unhe kisi ki parwah nahi thi. Unke aansun aur dukh ki gherion ke saamne Niagra Falls bhi maand par gaya. Woh kubhi bete ko piyar kerte aur kubhi beti ko. Unke rone ke beech ye 2 jumle mujhe samjh aaye: "There was a not a single moment when I was not with you guys" and "Why the hell, we went through this" !

Wahan se Asghar bhai aage chale gaye. Main bus le ke Montreal chala gaya. Us roz mujhe samjh aai ke kiun Asghar bhai jese kai logon se america main koi kaam lug ke nahi hota. Woh raat ko beer ke 6 packs kiun pite hain aur newsline ki khabrain sunte huwe unka dimag kahan hota hai. Us din ke baad mujhe Asghar bhai nahi mile. Kisi ne bataya Pakistan wapas chale gaye.

Kubhi kubhi ghar ke chote chote jhagre insaan ko aphaj ker ke rakh dete hain. Woh hamare saamne hote hain magar unke dil aur dimag kahin aur hote hain !

8 comments:

Anonymous said...

sigh..bohut acha likha aapna. I'm glad there was a happy ending to this one :) Mager soch aati..keh itna waqt..why soo much time gone. And the society from which we come...it is always the man who takes the first step...mager if his wife had not stepped towards him..maybe he would not have had the courage to ever do anything. Hmmm :) lesson learned!

mystic-soul said...

A lot of un-answered question...

In our society, sometime men, if not emotionally very strong, get emotionally blackmailed/abused both by mother/parents/family as well as wife.

na woh ma baap ko chor sakta hai na biwi bachhon ko

There is a reason, lot of time very weak men commit suicide or runaway and few continue to suffer with anguish/depression etc.

Anonymous said...

Being "Qawaam" implements onus of resonsibility to bring balance... story from one side of the fence depicted the frustration of a guy what abt the other half who went through a trauma as well... the point of reference which kept her in in-laws house needed to be more responsible, escape is not the solution but an easy option.

Anonymous said...

Its very true - there is always 2 sides of story and 2 sides of coin. Sometime its one person, sometime both immature andsometime it in-laws. This is a debate which is going for centuries in institute of marriage, esp in east.

This is just one side of story but indeed there is always a 'huge' gray zone.

Anonymous said...

This maybe off the topic but I just had to compliment on your writing style and your love for writing.

I believe putting reality into words is something not everyone can do. You are one of those people who can do this. After going through some of your post I just cant stop admiring the way you look at things in life [small or big]. The way you observe things and pour them into your blog. It is simply amazing. And I also deeply admire your love for your language and your religion. May Allah bless you. :) I shall remember to pray for you while im gone for umrah. :)

Anonymous said...

Thanks for the compliment.

Zindagi se bari kitab aur kiya hogi !

But please keep me in duas while on umrah..

Thnks again

Dipti said...

ufff....

Anonymous said...

its hard !!

Life sometime really sucks...