Monday, April 30, 2018

E-Cigarette

Jis cigarette se dhunwaN bhi na nikle to us se kam as kam - nafsiyati taqaze to poore na huwe!

Wednesday, April 25, 2018

Aurat ka banna sanwarna

Ye mard ka waham aur sirf us ka ibhaam hi hai ke aurat uske liye banti sanwarti hai. 

Aurat ki zindagi main koi mard na bhi ho to banna sanwarna us ki sarshat main shamil hai.

Aurat sirf apne liye banti sanwarti hai, kiunke usey ye bohat achha lagta hai.

Tuesday, April 24, 2018

Mard, Aurat, Aankh aur Kaan

Hasina moin once wrote: "Insaan is kaainat ki sab se baRi kitab hai"

I learned more about life from people than books. Yesterday somebody said an interesting thing and I pondered on it for long hours, and think it is true:

"Mard aurat ko apni aankh se dekhta hai - jabke aurat mard ko apne kaan se dekhti hai".

Agree?

Monday, April 23, 2018

Reflection

Ma baap ki apas ki muhabbat bacchoN ke chehrey pe tamaniat se jhalakti hai

Thursday, April 19, 2018

enlightenment

"So what is the point?"

"Point is enlightenment -
cognitive enlightenment -
cognitive enlightenment with conviction -
cognitive enlightenment with conviction and happiness -
cognitive enlightenment with conviction, happiness and synchrony
cognitive enlightenment with conviction, happiness and synchrony that death is not the end!"



Tuesday, April 17, 2018

Aik Shyr - Jaun Elia


yeh to bas sir hi mangta hai
ishq per karbala ka saaya hai

~ (who else but Jaun Elia)

Saturday, April 07, 2018

Zindagi ki ginti main....

Aaj aik Urdu mehfil main jaane ka ittifaq huwa. Bus yunhi 'mediocre'  si mehfil thi magar kahin darmayan main kisi ne aik achhi kubsurat baat kahi:

"Zindagi ki ginti main - dukh ki jitni dastawezaat hain aur sukh ki jitni kahaniaN hain - unhe gor se paRho ge - to har panne ke haashiye pe apne hi naam ki mohar pao ge".

(In the calculation of life, if you will see closely - beneath all the documents of sorrow and all the stories of happiness - you will find the seal of your own name").

Matlab ye ke - Ye to khud insaan hai - jo apne sukh aur dukh ka mayar tajweez kerta hai!


Wednesday, April 04, 2018

On Man, Cheat and Love - 2

I forwarded our previous post/meme to one of my friend. His response is definitely argueable and controversial, but is worth sharing. I will put his text here:

"Mard ki anaa (ego) us ko rone nahi deti. Woh aesi aurat dhundhta rehta hai jis ke pehlu main woh saari duniya se chup ker ro le. Ye aik 'myth' hi hai ke bazare-husn mardoN ki tharak ki wajah se abad hain. Ye mard ke aansu hi hain (kabhi aashkaara kabhi posheeda) jin se bazare-husn ke gulshan ka karobar azal se chal raha hai".

Monday, April 02, 2018

On Man, Cheat and Love

In today's world, while our phone gets bombarded every second with tons of memes, very few seem worth sharing. I try my best to avoid putting them here unless they really hit my nerve. Following was so out of the box that I believe need to be shared.