Zindagi main jahan meri mulaqat kai achhe insaanon se hui un main aik Sultan aur usi ki biwi Margret the. Sultan yun to Pakistani tha magar... he was 'raised' in Paris. Sultan jitna kirdar, ikhlaq aur khayalat ka khubsurat tha, Margret us se bhi ziyada khubusurat aur bazla-sanj thi. Aik din main ne Sultan se poocha: "tum dono ki kamyab azwaji zindagi (married life) ka kiya raaz hai?" to Sultan ne jawab diya: "Is ka sara credit Margret ke sense of humour ko hai".
"Agar tum kubhi Paris gaye ho to shayed tumhe maalum ho ke wahan ki galian kafi tang hoti hain aur makanO ki back alleys us se bhi tang. Mere apartment ki back alley ke bilkul saamne agli gali ke aik cafe ka peechwara khulta tha. Margret us cafe main kaam kerti thi. Main Margret ki muskurahat pe us din se marta tha jis din se use dekha tha. Aik din main ne Margret se kaha: 'Main waqiee tum se shadi kerna chahta hun.' Us na kaha: 'Mujhe sochne do'.
Woh sunday ki aik khubsurat subh thi, main uth ke tayyar huwa aur baal banane apne mirror ke saamne khara huwa to us pe mujhe is jumle ka aks nazar aaya: "Tum aik aesi french larki se kiun shadi kerna chahte ho jis ke khandan main sharab, kaamchori, diabetes, stroke aur high cholesterol ki bimarian hain". Ye mirror pe aks tha. Main ne aks ka maakhiz dhunda to pata laga ke Margret ne ye jumla apne cafe ki peechli deewar pe kuch aese aik painter se ulta likhwaya tha ke, jab main subha uthun to us ka aks meri khirki se mere mirror pe seedha nazar aaye (magar alley se koi aam guzarta aadmi use sirf aik betuki graffiti samjh ke ignore ker de). Us ka ye sense of humor aur mere bare main itna kuch janna ke, main gurmion main raat ko khirki khol ke sota hun, baal living room ke mirror main banata hun aur uska khud apne dar ko is anokhe andaz se bayan kerna - mere dil ko ye sub kuch aese bhaya ke aaj tak meri Margret se koi larai nahi hui".
Aur phir us ne kaha: "Zindagi main tum dekhna woh aurat hamesha apne mard pe raaj kerti hai jis main sense of humor ho. Jo har baat pe muskurati ho. Kiunke mard aik aesi tapish hai jeese har waqt chaun chaiye. Aurat ki muskurahat uska secret comfort zone hai" !
No comments:
Post a Comment