Thursday, March 08, 2007

Why do I blog?

Aik raat khane ke baad bhai aur bhabhi ne ice cream khane ka plan banaya. Main aur abbu bhi sath chal pare. Hum Tariq road ke aik mashoor ice cream parlour pe paunche. Dukan do manzela thi. Ooper 'ba-parda khawateen' aur 'family' ke liye 'alag intizam' tha ! 

Ice cream shop paunche to main ne kaha: 'Mera ice cream khane ka mood nahi hai'. Abbu wese hi ice cream nahi khate the. Bhai-bhabhi ooper chale gaye. Kafi rush tha is liye main aur abbu bahir khare ho gaye. Kuch der baad main ne kaha: 'abbu main ne ab ice cream khani hai'. Abbu na kaha; 'to jao line main lago'. Main neeche ke floor pe hi line main khara ho gaya. Meri baari aayi. Main ne paise diye aur apni ice cream ka intizar kerne laga. Kafi rush tha. Main phir bahir abbu ke paas aa ker batain kerne laga aur bhool hi gaya ke ice cream leni bhi hai. Kuch der baad yaad aaya to 'pickup' counter pe pauncha. Meri ice cream aik aur shahab utha ke maze se kha rahe the. Main us shaks ko kuch na keh saka. Wapas abbu ke paas aa gaya. Wese to abbu bare sakht meezaj ke the magar bole: 'tumhari larai main nahi larun ga. Agar lar nahi sakte the to kum az kum apne gusse ka izhar to ker sakte the'. 

(Phir line main kiya lagta. ooper ki manzil gaya. Bhai-Bhabhi ke saath ja ker beth gaya). 

Us din se abbu ki baat yaad reh gai.

Jin baaton pe mera akhtiyar nahi, un pe blog likh ke izhar to ker sakta hun !

6 comments:

S A J Shirazi said...

Dear mystic-soul: Thanks for stopping by my blog.

You have great blog. This is unique; Huge contents in Roman Urdu.

BTW, where do I see my link on your excellent blog.

mystic-soul said...

I kept my blogroll pvt. but surely you are now in !. I loved your last post of 4 driving forces on/for humans.

Suroor said...

I love your dad! I think he's raised you well, mashallah

Anonymous said...

For sons, dads are always important and carry deep unseen marks on them for life. I think he thought me a lot of basics of life sometime with spoken and sometime with unspoken words.

Dipti said...

liked the reasons for which you are writing the blog .... your blog has such a comforting feeling to it dear bother... enjoy reading it

Anonymous said...

I am glad you are enjoying it...

Last time I checked you haven't posted for a while...