Sunday, March 18, 2007

Aulad ka gum

Main ne intermediate Karachi ke "National College" se kiya. Karachi ke khubsurat Shaheed-e-millat road pe ye Karachi ka sab se khubsurat college tha (? hai). Magar aik budsurti, Main road pe aate hi Karachi central jail ki woh unchi unchi peeli deewarain aur un pe police guard ki nazar aati bari bari chokian thiN. Hamara bus stop bikul Central jail ke main gate pe tha. Do baras tak har roz main ne pareshan khandon ko gate ke saamne qataraiN banate dekha. Us jail main allah hi janta hai kitne be-gunah band the. Aksar dopher ko ye huwa ke barabar ki seat pe aake koi pareshan baap, beta ya bhai beth gaya. Gum-sum aankhon main weerani cheekh cheekh ke us insaani dil pe guzarne wali dastan-e-gum suntai thi.

Aik roz mere barabar aik 'uncle' aake bethe. Mere haat main college ki kitabaiN thi. Yunhi batain kerne lage. Kehne lage" "Mera beta bhi is saal inter ker leta, agar jail main na hota".

"Woh jail main kiun hai", main ne poocha.

"Bus beta, kuch kharab dosti aur kuch hamare nizam ki kharabi samjho. Mera beta bohut hoshiyar student tha magar phir woh kamre main bund rehne laga. Fail hone laga. Badal sa gaya tha. Mujhe shak huwa. Main ne aik din us ke peeche kumre ki talashi li to 'heroin' baramad hui (Ye woh zamana tha tha jub pakistani qaum ko Afghanistan se kalashikov aur heroin ka tahufa mila). Mere bete ko heroin ke nashe ki aadat par gai thi. Main khud khufia police ka aadmi tha. Main ne kuredne ki bajaye mazeed maalumat ki to pata chala ke us ki school main heroine supply hoti hai aur ye kahin aur se nahi bulke school ke bahir khari police mobile se supply hoti hai. Main ne "ooper" baat ki. operation huwa aur chapa lagwa ke un police waalon ko us imarat se range haaton giraftar kerwaya jahan un ka adda tha. Main itna jazbati ho gaya tha ke request ker ke khud operation main shamil huwa. Un se muqabla huwa aur in haaton se un ki pistolaiN cheeni. Phir un police walon ko khub kari sazaiN bhi lagwai magar badle main unhon ne mere bete ko bhi heroin supply kerne ka ilzam laga ke jail lagwa di. Meri bhi naukri chali gai. Mere bete ko ziyada sakht to nahi magar 2 saal ki jail hui hai. Rote huwe woh jail chala gaya. Mere peechle taalluqat ki wajah se us ko ander koi taklif to nahi hai, magar jail to jail hoti hai"

Phir kafi der khirki se bahir dekhte rahe aur bole: "Ab bhi raaton ko meri aankh khul jaati hai, jese mera beta mere paas khara ho. Jese us ki ahat hui ho....Ye aulad ka gum bhi bara zaalim aur maar daalne wala hota hai" !!

2 comments:

bsc said...

mairay liyay ansoo roknay mushkil thay. Waqiee dard bhari dastan hai. Yad aarah hai kih baron say sunakartay thay Allah kisi ko burhapay main aulad ka dukh na day. Drugs nain kitnay he khandano ko tabah kiya hai mainay saree umar dekha hay yahan amreeka aur England main bhi Kaiee dard bharee dastanain hain maray zehan main. Drugs main sharaab bhi shaamil hai
Allah os uncle ko khushion ka moqa day aur oska ghum halka karay

mystic-soul said...

aameen !!

And allah protect all of us from those evils.