Wednesday, December 20, 2006

Zimbabwe

Woh baRa udas sir jhukaye, sir haaton main liye betha tha.

Main ne poocha: "kiya huwa". Us ne sir uthaya to aankhain num thin. Main ne kaha, "Khairiat?".

Us ne saamne computer pe ishara kiya Jahan CNN ki web site pe ye Khabar lagi thi:

Living off rats to survive in Zimbabwe

Main ne khamoshi se poori khabar parhi aur chup raha. Kuch der baad us ne kaha: "Yaar tum bare maulvi bante ho. Agar khuda ke darbar main sawal kerne ki , gila kerne ki aur ilzam dene ki ijazat nahi hai to ye te batate jao kiya hume rone ki bhi ijazat nahi hai"

Main kiya jawab deta. Faiz bohat yaad aaye

zehmate girya-o-buka be-sood
shikwae bakhte na-rasaa be-sood
ho chuka khatam rehmaton ka nazool
band hai muddaton se babe qabool

be-niyaze dua hai rabbe-kareem


(Useless endeavors of cries and tears
bemoaning unfufilled fortune for
Fall of (divine) blessing is over
For long closed is assent's door

God is not in need of prayer any more)



No comments: