Wednesday, December 06, 2006

rishte

Us aurat ne zindagi main siwaye apni pehloti ki beti ke shayed hi kisi se mohabbat ki ho. Ma baap us ke bachpun hi main faut ho gaye the. Zamane ki sitam zarifion ne us ke ander aik ajeeb karwahat bhar di thi. Mekaa to koi tha nahi albatta shadi ke baad woh saare susral aur mohalle main apni karwi kasili zaban ki wajah se mashoor rahi. Jab woh khud faut hui to jahan us ke mian ne sukun ka saans liya wahan main ne bhi kaha: 'khas kum jahan pak'. Us ke peeche agar koi roya to bus usi ki woh aik beti.

Magar aik baat sab kehte hain ke jab bhi koi us ki beti ke khilaf kahin koi baat kerta hai to woh us raat us shaks ke khawab main aake apna chehra zaroor karati hai. 

Ye kese rishte hain jo mar ke bhi nahi marte.

No comments: