Us shaks per be-qasoor naghaani aafat ka baar par gaya. Jab woh mujh se milne aaya to chaal main wahi waqar aur chehre pe wahi muskurahat thi magar ander chupi pareshani ka parto bhi tha. Usi pyar se gale bhi mila. Main ne kaha: "yaar fazool main tere saath galat ho gaya". To kisi ko ilzaam dene ki bajaye, us ne jawab diya: "Bus yaar ! mere apne gunhaon ki saza thi".
Duniya main ye bhi aik ajeeb log hote hain. Larai, jhagre ya ilzaamon ki maar dhaR kiye bagair aik sidhi si baat soch ker aur sara dukh apne ander simat ker, mushkilon se chup chap guzar jaate hain.
Duniya main ye bhi aik ajeeb log hote hain. Larai, jhagre ya ilzaamon ki maar dhaR kiye bagair aik sidhi si baat soch ker aur sara dukh apne ander simat ker, mushkilon se chup chap guzar jaate hain.
No comments:
Post a Comment