Wednesday, August 23, 2006

Mohammad Hussain uncle

Aur woh log bhi the, jinoh ne mujhe bachpun main baap jesi shafqat di. Jawani main mujhe na pehchan paaye aur jub main ne apna taaruf karaya to aaj aankhon main pyar ke saath saath fakhar bhi tha. Mohammad Hussain uncle waalid ke dost the. Apne darmiyane qad ke saath, aaj bhi wese hi neele shalwar kameez main malboos the. Waqt ne baalon main chandi bhar di thi magar muskurahat aaj bhi wese hi maasum thi.

Is duniya main kuch masoom log aate hain, pyar ki khusbu hulke hulke bikher ke chal dete hain magar unki kahani koi nahi likhta. Ye woh log hain jin ki maasumiat maut ke baad bhi wese hi qaim rehti hai..hamare dilon main, hamare khawabon main!

No comments: