Sunday, November 26, 2006

der ker deta hun

(posted as told)

Zindagi main kabhi kabhi aik dum se aese waaqiat ho jaate hain ke saari zindagi ke liye aik aehsaase jurm, bulke sahi lafz angrezi ka hai - guilt - chor jaate hain. Munir Niazi ki aik khubsurat nazam hai:

Hamesah der ker deta hun main

Ye un dinon ki baat hai jub hum karachi main raha kerte the. Haamre saale sahab naseerabad ke ilaqe main 'flaton' main rehte the. Aik din main un ke haaN giya to ghar ke bahir dekha ke aik khubsurat kurail jawan, sufed qameez main malboos, behosh para hai. Jub poora nazara saamne aaya to mere bhi hosh ur gaye. Us ki aik taang kati dur pari thi. Shayed us ka accident ho gaya tha. Dusre logon ki tarah main bhi use chor ker apne raaste chal diya. Ali (mera saala) to ghar per nahi tha magar baqi ghar walon se batain hone lagi. Khuch der baad khayal aaya ke jaake dekhun aakihr huwa kiya. Bahir ja ker dekha to meri hairat ki intiha na rahi ke ab tuk woh jawan or uski kati taang yunhi pari thi. Us ka rang safed ho raha tha. Main us ki taang chor pehle use zabardasti ghaeestta darwaaze tuk laya. Itne main Ali bhi aa chuka tha. Main ne kaha: 'ise bister pe daalo, main taang le ker aata hun'. Main kaali parti taang le ker wapas aaya to ali ne kaha: 'khun bohut beh gaya hai, ise to murda khane paunchana pare ga'.

Police ka dur ho ya kuch bhi magar ye kesi behisi thi ke koi bhi us ki madad ko na gaya. Us shaks ne marne se pehe agar aik baar bhi ye socha hoga ke kiya koi bhi nahi aaye ga madad kerne - to us aehase-jurm se saari zindagi hum kese bhag sakte hain !!

madad kerni ho us ki,
yaar ki dharas bandhana ho
.........................
kisi ko maut se pehle
kisi gum se bachana ho
Hamesah der ker deta hun main
hur kaam kerne main

No comments: