"Doctoron ne jawab de diya tha magar ammaa ki saans ab tuk chal rahi thi. Log keh rahe the ke meri ma ki jaan kisi cheez main atki hui hai, is liye maut nahi aati. Sare shaher main dengue virus pehla huwa tha - bachhon ko hospital ke ander jaane ki ijazat nahi thi. Main ne security guard ki bari minnatain ki ke aik dafa meri ma apne pote ko dekh le to ise sukoon aa jaye aur us ki roh nikal jaaye. Security guard meri baat to na mana magar nursing supervisor ko mujh ko yun girgirate dekh ker taras aa gaya aur mere bete ko ander jane ki ijazat mil gai. ICU main ammaa leti thin. Merne se pehle kisi cheez ka intizar ker rahi thin. Main ne kaha: "Dekh ma! kaun aaya hai". Us ne mere bete, apne pote ko dekha - aik muskurahat un ke chehre per aai aur unhon ne mere bete ka naam le ker aankhe band ker lin. Shaam ko magreeb ki azan hui aur amma is jahane-faani se kuch ker gain.
Meri Ma ki maut ke baad mere bete ko shadeed bukhar ho gaya - 105 degree. Pehle to main dur gai ke kahin hospital se Dengue virus hi na lug aya ho magar allah ka shukar hai aesi koi baat nahi thi. Ab woh apni nani ke kamre se bahir hi nahi niklta bulke nani ke khali bister se hi nahi utarta. Uthte bethte hur cheez main bus nani nani !!"
Us ne rote huwe mujhe apni ye kahani sunaii aur poochne lagi ab kiya karun?
Main ne Kaha: "Bachhe ko to allah sabar de hi dega magar tumhari apni ma ki ab behtreen khidmat yahi hogi ke is bachhe ki jitni achhi parvarish ker sakti ho us ki koshish karo. Ma baap ki khidmat unki maut ke baad hamare apne bachhon ki khidmat se hoti hai"
No comments:
Post a Comment