Wednesday, November 15, 2006

Woh sham

Woh hamare ghar ke kisi kone main chup chap rehti thi. Mujhe iska ilm tha. Kisi bahut hi dukhi aurat ki ruh thi ya pata nahi shayed churail hi thi. Magar aaj tuk usne tang nahi kiya tha.

Us sham, meri biwi aur bachhe kahin chale gaye the. Main bhi ghar ki bijli gul ker ke bahir ja hi raha tha ke apne bete ke kumre ki kursi pe main ne use bethe dekha. Zero bulb ke lamp ki roshni main, Kale baal main rota chehra tha aur aansun ki lakir main aankhon ka kajal beh raha tha. Ghar ke kumron main us ka aana aik nai baat thi. Main us se kehna chahta tha ke ghar ke kumron main na aaye magar dar ke maare kuch kehne ki himmat na hui. Main ghar se jald as jald nikal jaana chahta tha. Magar junhi main bahir niklne laga aik aur moti kaali badsurat aurat ka parto nazar aaya jis ke chehre pe sirf shehtani muskurahat thi. Main aur dar gaya aur unko wahan chor ke ghar se neeche utar aaya.

Sham dhal rahi thi magar ab tak sarkari qumqume roshan nahi huwe the. Sarak pe andhera sa tha. Main ne mehsoos kiya ke mere chehre aur aankhon per kafi sujan ho gayi hai. Is qadar sujan ke nazar bhi dhundla gai hai. Pehle khayal aaya ke kisi PCO se police ko phone karun magar phir socha police meri baat nahi samjhe gi. Main aik qareebi dawaii ki dukan aur super store main ghus gaya. Wahan kuch auratain dukan waale se jhagra kerne main masroof thin. Insaano ki bhir dekh ker aur dukan ke ander roshni dekh ker mujhe kuch sahara huwa. Nazar bhi ab kuch behtar thi. Main cheez khareedne ke bahane store ke aur ander chala gaya. Magar ghar ki woh dukhiari ruh aur us ke kaandhe pe sawar woh nai moti churail peche se meri taraf dorti hui aain. Us ki muskurahat ab shehtani hasi main badal chuki thi. Main store ke aur ander bhaga magar dono ne mujhe daboch liya aur apne daant meri garden main gaar diye. Phir mujhe hosh nahi raha ke kiya huwa !!

Jub aankh khuli to garden pe ab tak daanton ka ehsaas qaaim tha!

No comments: