Sunday, June 11, 2006

Maazur

Aur us poori raat woh karwatain badalta raha jub use bataya gaya, us ke haan maazur (handicap) bachha paida huwa hai. Us bachhe ka khayal hai ke duniya main sub achhe hote hain, koi bura nahi hota. Zindagi sirf haseen hai aur khel khud aur khilonon ka naam hai. Jis cheez ki tamanna karo mil jaati hai. Sub dost hain. Insaanon ke beech koi deewar nahi hoti. Koi ajnabi nahi. Hur ghar sub ka ghar hai..... Peechle saal haloween pe jub logon ne bhoot aur churailon ka roop dhara to unhe dekh ke us pe mirgi ka dora par gaya ke ye mukhlooqain insaanon ke beech kese aa gain?

Kiya achha hota us ka haan bhi aik normal bachha paida hota, jo waqt ke saath zindagi ke daao pej sikh pata. Kamingi, zor zabardati, keena parwari aur matlabi hone ke gun paata.

Ab zindagi ki aakhri saans tak is bojh ko utha utha ke saath phiro.

No comments: