Jab jawani main insaan ka koi dost mar jaaye to insaan hil jaata hai
Aik din aik dost aik dam se accident main mer gaya - Chicago se Karachi main apne khandan ki umeedoN ka wahid chirag tha.
is baat ko 25 baras ho gaye.....
Aur phir hum sab use bhool gaye
Jab peechle saal Pakistan gaya to pata laga us ke walid bistere marg pe hain. Main Moosa colony main, machli market ke saath - dhundhte dhundhte unke makan main pauncha to aik naheef kamzoor insaani dhancha bister pe para tha...
ajeeb yaad-dasht thi - ya shayed aulad se juRi har cheez - insaan ke dimag se chipak jaati hai - foran pehchan gaye
Mujhe dekh ke un ki aankhon se 2 aansoo dhalak gaye. Main kuch der unka haat tham ke wapas nikal aaya
Jab main - sochon main gum - baRi saRak pe pauncha to mujhe aehsaas huwa
Agar Insaan mar jaaye - to peeche sirf do cheezain reh jaati hain
Aik qabar pe agar-batti ka dhuwaN (jo ab bhi meri nazron se nahi hatta)
aur dusre
ma baap ki ankhon main chupe aansoo
- aur phir aik din sab kuch hawa'on main tehleel ho jaata hai - jese kabhi koi kahani thi hi nahi
2 comments:
Russian literature se ziyada khatarnak tha yeh.
:(
Post a Comment