Jab hum 13/14 baras ke the to hamare mohalle main aik salman bhai rehte the. Shayer type aadmi the. Na unhun ne hamare saath kubhi cricket kheli, na patang uraii aur na kubhi raat gaye mohalle main beth ker mehfil jamaii. Sub ko maalum tha ke woh mohalle main hi Hira naam ki aik lurki pe marte hain. Bare chakkar kate, hum se khat bhijwaye, ashar likhe aur aashqi ka wasaf poori tarah se nibahte rahe. Magar Hira, jinhe hum Hira baji kehte the, ke dil pe koi asar na hota. Woh is saare qaziye se bezaar rehtin. Kai baar salman bhai se kehlwaiya ke un ke dil main salman bhai ke liye koi jagah nahi. Wahi huwa jo hota hai. Aik din Hira baji shadi ker ke london chali gain. Salman bhai rozgar ki talash main dubai chale gaye. Kafi arse wahan rahe. Shadi nahi ki. Pakistan main TV ke private channel khule to un ki bhi lottery nikal aai. Likhne ka fun kaam aaya. Suna hai, aik pvt. TV channel pe khub set hain. Peechle dino unki likhi aik TV serial dekhi. Aik aik dialogue se purani mohabbat jhalak rahi thi. Saaf nazar aata tha ke waqt aur gardishe-zaman ne unke dil pe lagi Hira baji ki tasveer pe koi gird nahi daali.
Mujhe nahi maalum tha ke Hira baji ab america main hoti hain. Peechle saal main houston aik shadi pe gaya to wahan Hira baji mil gain. Ab bhi khubsurat thin. Wahi qatil adain thin. Waqt aur umer ne unhe aur graceful bana diya tha. Jaan pechan ke baad bohut baatain hui. Hur kisi ka poochti rahi. Akhirkar main ne khud muskurate huwe kaha, 'apne aashiq salman bhai ka nahi poochain gi'. Bezaari se boli, 'kahan he woh?'. Jub main ne bataya ke abhi tuk shadi nahi ki to sir jhatak ke boli: "What a stupid man"!
Usi waqt peeche Javed akhtar ka likha ye gana chal raha tha...
Aag se thandak, barf se garmi maang ke hum pachtaaye *
Mujhe Salman bhai bahut yaad aaye. Ye aik tarfa ishq bhi bari zaalim cheez hai.
* You can view that song on youtube here
2 comments:
how can she be sangdil. I in a way agree with her that he may have been illogical in lifes way. Par shayad he believed that he could not show wafa to another and hence decided never to marry. Koi shair yaad nahi araha but there must be one to the meaning of such "you wish to see your reflection in my eyes but this heart shall never understand you nor want you as you wish"
What was this tv serial of salman bhais entitled?
Sangdil is liye ke kum as kum - what a stupid man - to na kahe !!. Zara bhi lihaz nahi ??
To protect his identity, I purposefully didn't write TV's serial name...
Post a Comment