Friday, September 30, 2005

Bare Leader

Shayed ye 1948 ka, pakistan banne ke baad ka zamana tha aur eid ka din raha hoga. Karachi ke governor house ke bahir aik lambe tarange patle duble maheen shakhs se milne ke liye logon ki lambi qatar lagi thi. Maze ki baat hai, us shaks ke gird koi security nahi thi aur yun mehsoos hota tha jese us shaks ko is baat ki parwah bhi nahi. 

Sarak ke dusri taraf main aik dusre adeeb ke saath baag ke ik bench pe betha ye nazara dekh raha tha. Mera bhi dil kerta tha ke ja ke us shaks se haat milaun ke shayed ye shaks bohut arse zinda na rahe magar logon ki lambi qataar jo subh se ab dopher aane pe bhi khatam na hui thi, dekh ker ruk jata. Ab bhi koi 250 log rahe honge jo najaane kab se intizaar kiye honge. Achanak us shaks ne ander jaane ka faisla kiya aur khare logoN ki qataar ko chor ke apni lambi lambi taangoN se lambe lambe dig bharta ander chala gaya. Us chaal main koi jhijhak na thi, sirf bharpur aitamad, itminan aur waqar tha. 

Kuch ne kaha - Sahab ne zara khayal na kiya in logon ka magar main sochta raha shayed bare leader wahi bante hain jo faisla kerte hain aur kur guzarte hain. Faisle main lohe ka irada rakhte hain. Waqti tor pe kuch logon ke dil dukh jaane ki parwah kub kerte hain. 

Woh shaks Mohammad Ali Jinnah tha jise us ke log QuaideAzam bulate the.

(A tell from a person who witnessed creation of Pakistan)