Saturday, January 21, 2006

Ramzan Bhai

Ramzan bhai dimagi taur pe thore kamzor the. Woh apni biwi aur do bachhon ke saath hamare mohalle main rehte the. Un ke bachhe hamare hi ghar tuition parha kerte the. Ramzan bhai mohalle main thela lagate the, jis pe kubhi pakore bechte, kubhi bachhon ke khilone aur kubhi kuch. Unhe ye itminan tha ke main apne biwi bachhon ka pet apni kamaii se bharta hun magar suna tha ke ghar ka baqi-maanda kharch un ki biwi ke bhai uthate the. Ramzan bhai ka ye jumla mohalle main mash'hoor tha ke, "mujhe to ghari ki zaroorat nahi magar aate jaate aurtain bachhain time pooch lain to kaam aati hai" - ye jumla unki shakhsiyat ko biyan kerne ke liye kafi tha.

Mohalle main safai suthraii ke liye nayi committee bani jis main mohalle ke nami girami badmaash log shamil hoke mautabir ho gaye, aur Ramzan bhai ko mohalle se apna thela uthane ka ultimatum de diya.

Aik khamosh dopher Ramzan Bhai ne pankhe se latak ke khudkushi ker li.

Main jub un ki mayyat main gaya to sufed kafan main noor bhara chehra dekh ke na to mere aansoo nikle na mujhe dur laga. Main saare jazbaat se aari tha

bar-gashta āsmān se goyā na tū na maiñ 

Yun Jo Takta Hai Aasman Ko Tu,
Koi Rehta Hai Aasman Mein Kya,

20 baras se ziyada ka arsa guzar gaya per ab bhi haat pe agar kabhi ghaRi baandhta hun to Ramzan bhai yaad aate hain.

No comments: