(Posted as described by the person. Probably one of the most painful post I ever blogged)
Ye 1985 ke zamana hoga. Hum log Karachi ke ilaqe sadar main rehte the. Hamare paros main aik bohat hi kattar mazhabi family abad thi. Saum-o-Salat ke poore paband. Ghar main Ma beti, 2 bhai aur un ke waalid the. Ma aur beti poora burqa pehnti. Hamara ghar chor ke larki ko ziyada bahir nikalne ki ijazat na thi. Larki ke dono bhai Dubai main the. Walid ki bari lambi sufed darhi thi. Ye wahi waqt tha jub General Zia ka Islami nizam poore urooj pe tha. Larki ki umer koi 23-24 baras rahi hogi.
Aik din larki hamare ghar ghabraii hui aai aur us ne hamari amma se kaha ke woh unse koi zaroori baat kerna chahti hai. Usne hamari amma se kaha ke use is mahine mahwari (periods) nahi aayi. Hamari amma ne kaha: "aesa aksar ho jata hai. Ghabrane ki koi baat nahi". 3-4 haftoN baad larki ki amma hamare ghar aai. DonoN ammaiN kafi der apas main 'khusar phusar' karti rahiN. Kuch dinoN baad woh kumba wahaN se kahin aur chala gaya.
Aik din main ne amma ko abba se ye kehte sun liya: "Raat ke andhere main larki ka baap larki ke kamre main aaya jaaya kerta tha!" Amma ki ye baat jub das baras baad mujeh samajh aai to mere haatoN se chai ki piyali chatak gai!!
4 comments:
yes,it is very painful to read.i know a similar case in my family too.but there the father came close just once near the daughter but than after the protest of the daughter,he backed out.but of course,the daughter has never forgiven her father after that(and in my opinion never should)
So sad and disgusting....!
is this true
as far as I have been told.....
Post a Comment