Thursday, April 12, 2012

Zabiha

"Aik to tumhare is Zabiah ke chakkar main, aadmi kisi restaurant main khana nahi kha sakta. Zabiah huwa na hua - are bapa janwar to halal hai na! Kiya faraq parta hai?"


"Allah ka naam parhe jaane se kuch to farq parta hoga! 
Apne se bari zaat main fana hone ke is falsafe main, kahiN to koi sadaqat hogi! 
Jis gosht pe khuda ka naam parha gaya ho, us se banne wali 'calories' main kuch to parsaii hogi?
Tum Janwar pe Allah ka naam parh ker, ye soch ker rizq ka niwala khao - ke - jese tum meri zaat ka hissa ban gaye - kash main bhi apne rab main baqa pa luN.....is soch se kahiN to koi tabdeeli aati hogi?"


"Pata nahi yaar..meri Physiology ki kitab main aesa kahin nahi likha....Why don't you order salad and let me have medium rare T-Bone Steak"

4 comments:

bsc said...

Very old subject and buhut ghisa pita hay, but you are right, when the Creator tells you something take it final.
The other side, if you want a T-bone steak, go ahead but do not say it does not matter. The Book of Physiology is NOT superior to to the Word of Creator, that is totally wrong.
Namaz na paRho magar yeh na kaho namaz na pRhnay say kia farq paRta hay. namz allah nay farz ki hay as farz ko baja lana ya na bajalana Allah ny tumhain free will di hay

Anonymous said...

thankyou bsc. very nicely put.mera bhi yeh khyal hai kay namazain, rozay kaza ho jatay hain, aur is tarah kay aur buhat say gunah ho jatay hain, lekin un ko rationalize kar nay kay baja'ey Allah tala say nam ba nam har gunah sooch kar maafi(astaghfar) zoroor mang lay ni cha hi ye. Quran main baar baar is kay liyey kaha gaya hai

Rida said...

Jahan Atta'at ki Baat aay wahan falsafay Nahi chaltay...bus suna or Amal Kia Jata hay... Mohabat ka b to yahi taqaza hay.

mystic-soul said...

Everyone - I agreed!

Religion is more of acceptance!