Friday, September 21, 2018

Amar Piyaas

“Sir! Kiya aesa ho sakta hai ke khawab main insaan aesi zaban (language) bole aur samjhe – jo us ne zindagi main kabhi na suni ho?”

“Aesa parha to hai , magar kese hota hai – malum nahi? – Kiya huwa tumhare saath?”

“Sir! Thar ka sehra tha – aur kuch aesa tha jese – kisi ko ishq ki padash main sehra main akela choR diya gaya ho – aur woh  karabala ke 72 shaheedoN ke naam le le ker duhaii de raha ho – jese koi bhatkti ruh ho – kab se sehra main piyasi”

“Koi lafz yaad aata hai?”

“Nahi Sir! koi ajeeb hi zaban thi – jab aankh khuli to saare alwaz mehv ho gaye. Sir! Na Sindhi thi, na Saraiki thi! Aur na hi Thari  – koi bohat hi mukhtalif , koi muqami zaban thi”.

“Aur kiya kiya yaad hai?”


“Sir! Jab aankh khuli to gale main shadeed piyas se pha’ns chubh rahi thi – Piyas ka aesa shadeed aehsas tha – jese jaan nikal jaaye gi – aur kaanon main – udasi ki aik ajeeb been thi – jese dukh se kisi ki jaan nikal rahi ho. Sir! Bayan nahi ho sakta”

"The best explanation I can give you ----at the end of the day, we all are energy in the form of matter. Sometimes the energy of a given death is so immense that it continues to vibrate beyond time and space with a very high intensity  - and for reasons known or unknown - it coincides with someone's subconscious when it is not suppressed by conscious.  

~ Jese Somalia ke kisi chote se gaaun main bethe kisi shaks ka chota sa radio BBC ki wavelength pakaR le!"

No comments: