Saturday, October 30, 2021

Roz ka aik imtihan

 Meri umar koi 16-17 baras hogi. FSc ka imtihan de ker farig tha. Aik din Amma ne kaha jao nana ke baal ketwa ke le aao....

Jese hi hum bazar ke nukkaR pe paunche, aik shaks apne bete ke saath khara khubsurat bansuri (flute) baja raha tha, bete ke haat main aik takhti thi jis pe likha tha: "Humare hunr ke mutabiq kaam nahi mil raha: bansuri suniye aur kuch madad kijye".

Nana ne jeb se 5 rupe nikale aur bete ke haat main thama diye - Us zamane main 5 rupe bohat hote the - aur ye wahi 5/10 rupe the jis se nana ne baal katwane the.

Main ne nana se kaha: "Ye kiya kiya nana ji!'

Nana bole: "Imtihan tha. Shukar karo kaam theek ho gaya"

Main bola: " Nana imtihan kesa?"

Nana ne jawab diya: "Insaan ki zindagi main roz aik imtihaan likha hai. Koi aesa kaam jo tumhari zimmewari na ho, magar jis se kisi aur insaan ka faida ho, woh kaam saamne aa ke khaRa ho jaaye. Wohi insaan ka imtihaan hai. Aaj ke imtihan se bach nikle."

Is baat ko 30-35 baras guzar gaye - magar aaj bhi roz imtihaan main fail ho jaata hun.

2 comments:

bsc said...

کیا ہم سب کا یہی حال نہیں ہے

mystic-soul said...

I think so.....