Badar bhai hamare mohalle ke to na the magar har sham apni naukri khatam ker ke hamare mohalle ke paan wale se cigerette le ker wahim 2/3 ghante chup chaap khare rehte. Hum laRke cricket khelte, woh ziyada baat na kerte bus apni soch main magan cigerette phoonkte rehte.
Itne saalon main bus ye pata chala ke akele hain. Ma baap mar chuke hain. 2 bahenon ki shadian kerwane main unki umar 40 baras se zayeed ho gai hai. Ab akele hain. Shadi kerna chahte hain magar koi aesa rishtedaar nahi jo baat chalaye ya unke chaal-chalan ki gawahi de. Khud bhi khamosh tabah the.
Bus Badar bhai the, cigerette thi aur un ki khamoshi.
Phir hamarae mohalle ki aik laRki kisi laRke ke saath raat gaye bhaag gai. 2/3 mahine baad rote dhote wapas aa gai. Jese hamare Pakistani muashre main hota hai, mohalle main khub ruswaii hui. Larki ke abba ne masjid chor di aur bhaiyyon ne hamare saath cricket khelna chor di.
Aur phir aik din khabar aai badar bhai us larki se biyah kerne pe raazi ho gaye hain
Jab main ne Pakistan choRa to badar bhai aur unki biwi ne Ayeha mazil pe chota sa bachhon ka school khol liya the - unke 2 bete paida ho chuke the.
Aik din woh laRki kisi shadi main hamare mohalle aayi to main ne sirf ye suna ke badar bhai ne aik dafa bhi us larki ke maazi ka zikar nahi kiya. Umar main 20 salon ka farq tha magar dono mian biwi is 'marriage of convenience' ko khubsurti se nibah gaye.
Kuch saalon pehle Amma ne bataya - badar bhai aik raat chupke se neend main intiqaal ker gaye.
Is baar Pakistan gaya to badar bhai ki begum - farida baji aur unke aik bete se aik shadi pe mulaqat ho gai. Beta hu bahu badar bhai ka hamshakal tha. Main ne farida baji se kaha: 'Badar bhai yaad aa gaye'. Un ki aankhon main aansuon ki nami ter gayi. Shayed bohat saara maazi umand aaya. Unhone ne mujh se sirf itna kaha:
"tum jaante ho na, achhe log kabhi nahi marte"
Main ne haami bharte huwe apna sir jhuka diya -
yun mehsoos huwa, badar bhai wahin kahin aas paas cigerette ke dhuwain main khare muskura rahe hain.
2 comments:
After readubg this I felt you had a post like this before
May be som3 deja vu of mine but can you check?
Uncle: This is from my last trip to Pakistan... but I have written a few portraits (must be something close)
Post a Comment