Sunday, May 18, 2025

Khuda ki lathi (aik aur baat)

 Do batain to sab batate hain ke:

Khuda ki lathi be awaz hai

aur

Khuda ka haan der hai, andher nahi

Magar ye batana aksar bhool jaate hain ke: Khuda ki lathi us jagah paRti (strike) hai, jahan sab se ziyada takleef ho - izzat, shuarat, taqat, maal, makan, aulad, fun (skill), ilm ya kuch aur - jis cheez per insaan ko naaz ho wahi cheez cheen li jaati hai

No comments: