Saturday, June 06, 2015

Jurmana

Zindagi main kuch loge thori dair ke liye milte hain - aur apni khubsurat yaadain "imprint" ker jaate hain.

Naeem sahab mere room-mate ke khalu the. Texas se milne aaye the. 
Bazla-sanj insaan the. Kamal ki 'wit' thi. ... 
Namaz, roza se saaf bach niklte magar shabe-baraat pe koi patakha na jaane dete !!!!! 

Aik din main ne khalu se kaha: "Yahan ki magaz nihari bohat mashoor hai. Aaj chal parte hain"

Kehne lage: "Zaroor chalte hain , magar ye batao, yahan koi 'local charity' ka daftar hai?" 
Main ne unhe hairat se dekha to kehne lage:

"BarsoN se meri adat hai ke din main koi aesa kaam ho jaaye, jis pe dil mutmaeen na ho - kisi ka dil dukh jaaye - kisi se ziyadti ho jaaye - koi 'unethical' amal ho jaaye ---- jese grocery store pe kisi ki line cut ker ke aage ho gaya - store ya company se galat credit le liya - kisi ka parking spot le liya ----- to khud pe hazbe-itminaan jurmana laga ke paise side pe rakh deta hun aur hafte ke hafte kisi charity ko donate ker deta hun. Is hafte 42 dollar jama huwe hain. ..."


Ye duniya ajeeb ajeeb hoshruba insanon se bhari hai !!!

3 comments:

bsc said...

I have taken a long time to write this but worth mentioning. One part of Aya number 114 of Sura Hud (11th Sura) says
" .......For those things that are good remove (wipe away, take away) those that are evil......."
So this "jurmana" concept is "Qur'anic" in origin (for a Muslim)

Anonymous said...

is this really a true story , ye kiya aus waqt ke baat hai jub aap US me post surgery studies kar rahe thee ?

mystic-soul said...

Yes Anony: This was a true event