Thursday, November 10, 2005

woh kaun thi

Us gaaun main sare-shaam se hi aik ajib sa aehsaas rehta tha. Bijli bhi aksar gaaib rehti thi. Youn lugta tha jese us gaun main baarish bhi kuch ziyada hi hoti thi. 'Cul de sac' pe band andheri gulabi rang ki chaar manzila imarat ke baare main log kehte the 'aaseb zada' hai magar poora gaaun aur us ke makeen hi aaseb zada lagte the. Main ne aur meri biwi ne aik lukRe se bane makan main ghar liya tha jis ke aage ke farsh ke takhte ukhRe huwe the.

Paros ke makan main rehne waali behnon main se aik larki hamare haan aati jaati thi. Saanwli aur moti si thi aur plastic ke frame wali ainak lagati thi. Aik din woh mere lihaf main zabardasti meri taango ke beech ghush aai...meri biwi ghar main thi. main ne use zabardasti nikala magar phir bhi meri biwi ki nazar par gai. Ajib larki thi, us ne meri biwi ke saamne mere hont chum liye. Meri biwi ke tan badan main aag lag gai. Hum gaaun main naye the. Main ne jhagra munaasib na samjhte huwe use samjhane ki kaushih ki: 'Dekho ye meri biwi hai aur mujhe chumne ka huq sirf ise hai' magar woh dhamki de ker chali gai: "main use kahun gi tumhe dekh le'.


Hum ne woh gaaun chor diya aur shaher aa gaye. Aik subah bister pe yun mehsoos huwa jese kisi ne mere kaan main siti bajaai aur koi jese mere sir pe sawar ho gaya. Jese mere dimag ko bijli ke jhatke lag rahe hon ya mirgi ka daura ho. Mera saans bikul ruk gaya. Main ne mehsoos kiya "woh" wahin hai. Meri biwi ki aankh khul gai aur mujhe aik jhalak yun mehsoos hui jese woh chali gai. Meri biwi na kaha: "woh yanhi thi. woh yanhi thi" !!

Mera saans bahaal hone main kuch waqt laga...Woh kaun thi - lumbe baalon wali patli dubli sufed libas main nikhre rang aur gol mun wali !!

2 comments:

dopamine said...

is this true sir? (Better than all the horror movies I have watched)

mystic-soul said...

During my J1 Waiver