Aik shaks kisi sufi ko dhundhte dhundhte unke ghar pauncha. Hazrat-e-sufi ki biwi bari karwi zaban ki aurat nikli. Un ne shaks ko bura bhala keh ker rawana kiya. Us shaks ne bahar logon se sufi ka pata poocha. Kisi ne bataya, sufi shahab lakrian (logs) kaatne jungle ki taraf gaye the - wahan dhundho. Jub woh shaks jungle ke qareeb pauncha to hazrat sufi aik sher (lion) pe sawar ho ker lakrian laade aa rahe the. Sher ne sufi ko jungle ke bahar utara aur phir wapas jungle main chala gaya.
Woh shaks bara 'impress' huwa. Us ne kaha: "Aap itne bare sufi hain ke jungle ke janwar aap ki ghulami kerte hain. Magar mujhe afsos hai ke aap ki biwi iitni karwi zaban ki aurat hai".
Buzurg sufi ne jawab diya: "Woh hai to ye sab hai" !!
Moral of the story: Dukh aur taklif insaan ko ruhani tor pe mazboot kerte hain.
2 comments:
kya kahani hai
mazaa aa gaya
aaj hi main apne papa aur dada jee ko khat likhoongi...
aur us mein ye kahaani likhoongi
I myself learned tremendously from this story in my life !!
Post a Comment