Thursday, August 02, 2007

Islam ki Dushman!


Razia apa meri dur ki cousin hoti hain magar bachpun se apne bhaiyon ki tarah rakha hai. Un ke shoher ka naam sharafat hai, aur hum sharafat bhai bulate hain. Kamal ki cheez hain. Hur cheez ko dekhne ka unka apna andaz hai aur logon ko lajawab kerne ke champion hain. Razia apa 1978 se america main hain. Main ne apna pehla july 4 (america ka roze-azadi) Razia apa ke haan guzara. Miami Beach ke kinare fire works ke baad, sharafat bhai ne beer ke can kholna shuru kiye aur aik can meri taraf barha diya. Main ne kaha: "Sharafat bhai ! main sharab nahi peeta".

Unhon ne jawab diya: "Mian sharab Islam ki dushman hai, ise pee ke khatam ker do" !

6 comments:

Lazybones said...

Ahan, nice thought though. If only we could eat, drink and digest our enemies! But who will have a bigger appetite, us or our enemies? and how to treat the diarrhoea that will follow? Points to ponder...

Anonymous said...

haha the diarrhoea that follows :p...indeed points to ponder...waisay lazybones why is your blog for invited people only? I remember reading the slow start but achanak darvaza bund kar diya apne?

Anonymous said...

Aah.. kia yaad dilaya aap nai. Kia suhanai din thai. Sunehri dhoop aur saath naram barish, phir kali ghata ccha gai...
Wo kia keh gae hum;

Darwaza band hai kai dukaan barrha gae ham ghalib (Ghalib ki rooh sai mazarat kai saath)

Because there is no blog anymore.

Aur aap kuon anonymity ka cloak charrhaye baitthai hain?!

Arz kia hai;

Kia maza us kheal ka jab izhar hua pardai ki aut sai...(pata nahein kis ki rooh sai mazarat kai saath)

mystic-soul said...

So LB, you closed your blog or made it pvt. ?

I really liked yr comment... "But who will have a bigger appetite, us or our enemies? and how to treat the diarrhoea that will follow?....."

Very interesting 'khayal'

Anonymous said...

aap ke Sharafat bhai agar asli mein koi hain to un ko meri taraf se ek bahut impressed Salaam, doosra aap ki taraf kyonki aap ne yeh post kiya aur teesra Lazybones...
ek chhoti si kahaani aur itna saara satisfaction.
Mindblowing

mystic-soul said...

Sharaft Bhai bilkul mojud hain aur aaj bhi wese hi hain !!!