Friday, January 27, 2012

Saath Saath!

Kabhi kabhi aap ko aesa nahi lagta hai ke - hum akele nahi hain! - Koi hai! - jo hamare saath saath rehta hai - Hum se bataiN kerta hai - hume samjhata hai - hume daantta bhi hai - hume sikhata bhi hai - hamare liye raaste banata hai - hamare liye waqiyaat ko bhi zahoor main laata hai....
......Ye sab kuch sirf dimag ka fatoor to nahi ho sakta......
......Ye saara gorkh dhandha sirf 'neuro-psychiatry' to nahi ho sakti....

Andheri raat hai, saaya to ho nahi sakta
ye kaun hai? jo mere sath sath chalta hai

3 comments:

Rida said...

Allah ki rehmat, or kya....!!

Mystic said...

Koi to hai jo nizame hasti chala raha hai

bsc said...

Kia yeh ishara "nafs" ki taraf nahin?
nafs ki teen halatain bataie gaie hain
Nfs-e -Ammarah (Bis-soo) S. Yusuf
Nafs-e-Lawwamah (S. Qiyama)
and Nafs-e- Mutmainnah (S. Fajr)