Bohat dinoN se aik uljhan thi - jo andar hi andar khaye ja rahi thi.
Sare-aiina hi pase-aaina ka aks tha
Andhera bhi wahiN tha, roshni bhi wahiN thi
Hidayat bhi wahiN thi, jahan gumrahi thi
Aur woh aik 'Allah-wali' tawaiif ka roop dhare hui thi.....
Aik asan sa jumle andar hi andar ghut raha tha: "Huzur! marne wale bhi aap ho, bachane wale bhi aap ho - aakhir ye kiya majra hai"
Aur phir - aik dost ne Hazrat Shah Niyaz (here) ki ye nazam bheji to aankhoN se aansu chalak pare! Allah jaane ye nazam ka saher tha ya Abida Perveen ki awaz ka Jadoo". Full poem is below.
Yaar ko hamne ja ba ja dekha,
Kahin zaahir kahin chhupa dekha.
Nukta-e-imaan se waaqif ho,
Chehra-e-yaar ja ba ja dekha.
Kahin mumkin hua kahin waajib,
Kahin faani kahin baqa dekha.
Deed apne ki thi use khwahish,
Aap ko har tarah bana dekha.
Dekhta aap hai sune hai aap,
Na koi uska ma siwa dekha.
Soorat-e-gul mein khilkhila ke hansa,
Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha.
Shama ho kar ke aur parwana,
Aap ko aap mein jala dekha.
Kar ke daawa kahin anal haq ka,
Bar sare daar wo khincha dekha.
Tha woh bartar shuma-o-ma se 'Niyaz',
Phir wohi ab shuma-o-ma dekha.
Kahin begaanavash nazar aaya,
Kahin surat se aashna dekha.
Kahin hai badshah-e-takht nashin,
Kahin kaasa liye gada dekha.
Kahin aabid banaa kahin zahid, Kahin rindon ka peshwa dekha.
Kahin woh dar libaas-e-mashooqaan,
Bar sare naaz aur ada dekha,
Kahin aashiq 'Niyaz' ki soorat,
Seena biryaan-o-dil jala dekha.