Monday, April 22, 2013

Ma ki galat Nasihat!

"Ye sach he ke main ne 27 saal ki umar main 55 saal ke aadmi se shadi apni marzi se ki. Ye aik 'compromise' tha. Use jawan larki chahiye thi, mujeh rupe paisoN ki aasoodgi chahiye thi. 

Us ki pehli shadi se 3 jawan auladain thi aur usne pehle hi keh diya tha ab aur aulad nahi. Jub roz-marra ki zindagi aik ma'mul ban gai to mujeh baat kerne wale mard ki zaroorat mehsoos hui.  Aur phir wahi huwa jo hota hai. Hamari talaq to nahi hui magar hum aik 'parallel' zindagi guzar rahe hain. Ab use juwe, sharab aur shayeri ka shoq hai aur mere 'friends' hain, jin se main ghantoN phone/chat pe bataiN kerti hun. 

Main us ki 'trophy wife' hun aur woh mera 'sugar daddy'!

Magar is saare 'mess' ki zimadar meri Ma hai! jis ki galat nasihatoN ne mera dimag kharab ker diya!

Mera baap aik shareef aadmi tha. Aik aam si naukri ke siwa use paise kamane ka koi aur tareeqa maalum nahi tha. Achhi bhali sufed-poshi ki zindagi thi.... magar roz amma ghar main jhagra kerti thi.  Pehla jhagra amma ne mere saamne VCR khareedne pe kiya tha! Abba ne aakhir idhar udhar se udhaar ker ke VCR khareeda! Magar amma ki khawishoN ka koi aakhir nahi tha! ...Bil-akhir abba Dubai chale gaye.. Amma ko kabhi ye gam nahi khaya ke abba dur rehte hain - woh har mahine 'bank' main paisoN ka intazar kertiN. ...Bus mere dimag main ye baat daal di ke..shohar aesa dhundho jo khub paisa kamaye aur tumhe raanioN ki tarah rakhe!

Amma ka Dubai se pet nahi bhara to abba America aa gaye.....magar amma ki farmaishoN ki chakki band nahi hui..... House, gari, disney, las vegas - abba ne kiya kiya jatan nahi kiye magar amma ka rona band nahi huwa.

Aur phir main ne is burhe aadmi se shadi ker li......

Amma ye tum ne kiya kiya! ..Mian Biwi ke saath nibhane aur ghar banane wale rishte ko kesa karobar bana diya, jis main khud tumhari beti bazari ho gai!


2 comments:

shabeeh Sayyed said...

Alfaz ka zabardast intekah

Mystic said...

Thank you Shabeeh