Pakistani film star Kamal ko Pakistan ka Raj Kapoor kaha jaata hai, is liye ke un ki shakal aur andaaz Raj Kapoor se milta tha - magar Pakistan jese bad-naseeb mulk main ye baat bohat kum logoN ne 'appreciate' ki ke Kamal sahab ne Pakistan main 'art films' banane ke 'risky' tajarbe kiye.
Meri umar shayed 7 baras ho gi, jab unki banaii hui film 'Insaan aur Gadha' release hui. Main ghar pe shikayat na ker dun, is dar se cousins mujeh bhi Sunday ka matinee show dikhane le gaye. Us film ne mujh pe bohat gehra asar chora. (since that film - Film star Nisho remained my all time crush)
Film aik Gadhe (played by Rangeela) ke gird ghumti hai, jo logon ke zulm se taang aa ker khuda se dua kerta hai ke mujhe insaan bana de. Uski Dua qabool hoti hai. Woh insaan ban jaata hai. Magar insaan ban ker use jo tajarbaat hote hain, woh khuda se phir Dua kerta hai - "ya khuda mujeh phir gadha bana de!"
(Kehte hain, Bhutto sahab is film pe kaafi naraz huwe the - kiun ke aik scene main rangeela sahab bhutto ke andaaz main gadhoN ke jalse se khitab kerte hain)
Mujeh insaanoN ki is duniya main, kabhi kabhi woh film bohat yaad aati hai

2 comments:
Ajkal farq bus itna hay k Gadhay insaano say khitaab kartay hain ;)
Baqol Habib Jalib:
"das caroR ye gadhe,
jin ka naam hey awaam"
"In ki kheench le zuban
kia banaiN ge hukmaraN"
Post a Comment