Tuesday, June 03, 2014

Con Artist

(Heard this story while at reading and book discussion of Dr. Mubarak Ali's Taareekh, Thug aur Daacu)

Main to 35 baras aik 'Con Artist' ki biwi rahi - magar khuda na kare kisi ghar main koi 'Con Artist' paida ho.  

Kuch log paida hi 'Con Artist' (Dhoke baaz / thag) hote hain. Ye unki sar-sasht main peenha (embedded in Genes) hota hai. Ye waqt aane pe ma-baap, bhai-bahen ya khud apne biwi bachhon ko bhi dhoka dene se nahi chugte. Inka pata tab chalta hai, jab ye aap ki zindai ka hissa bante hain. Ye jhoot bole bagair, logon ko 'cheat' kiye bagar zinda hi nahi reh sakte. Aik nafsiyati marz hai jo aas paas kai logon ko barbad ker deta hai.

Mere shohar ke paas kai 'shankhti card' aur darjano 'passport' the. Us ne Pakistan, Dubai, aur Europe main kai logoN ko chuna lagaya. Mere Ma-baap ke paas kafi daulat thi. Usne mere ghar waloN se jhoot bol ker mujh se shadi ki. Mere baap ki daulat hatyane ke baad us ne  'investment company' banayi - aur aik ke baad aik, kai logoN ko lootta gaya. Kabhi Dubai main construction ki jaali company banaii. Kabhi apne hi business main aag lagwa ker 'insurance' ko loota. Kabhi 'credit card' ko fraud kiya. Pakistan main aik hi makan 4/5 logon ko bech ker farar ho gaya... Khud apne bhai behno ko loot liya. 2 dafa pakra bhi gaya magar wahan se heart attack ka bahana ker ke hospital gaya aur doctor ka roop dhar ke farar ho gaya.

Woh saari zindagi bhagta raha. Mujeh aur hamare do bachhon se barson  dur raha.  Saalon guzar jaate, koi khabar na aati aur phir dheroN paise le ker namudar hota aur wese hi saari daulat le ker gaib ho jaata. ....Aakhri baar jaate mere saare zewar bulke bachhoN ke paise bhi le gaya. Ajeeb baat ye hai ke use na to bare makan main rehne ka shoq tha, na gaari ka, na kapron ka. Har cheez ko thori der 'enjoy' kerta aur phir chor deta.

Akhir kaar aik accident main maara gaya. Us ki mayyat pe na to koi roya na hi koi been hui. 

Main ne Karachi University se nafsiyaat main 'Masters' kiya tha. Main ne 'pathological liars' ke bare main to parha tha, magar 'pathological con artists' ke baare main nahi. 

Allah jane un ki is 'Mental Thrill' ke peeche kis nafsiyati mehroomi ka haat hota hai.

No comments: