Saturday, October 25, 2014

Kala Dhaga, Dadi Amma aur 'Middle Child Syndrome'

"Ye tum har waqt seedhe pair (right leg) pe kaala dhaga kiun bandh ke rakhti ho?"

"Main 'middle child' thi. Mujhe yun lagta sirf dadi mujh se piyar kerti hai. Sab se pehle bhai paida huwa. Beta tha aur pehla tha - saare ghar ka raj dulara tha. Mere foran baad choti paida ho gai. Ghar main sab ki aankhoN ka taara ban gai. Ghar ki princess ban gai...... Main kahin nahi thi. Yun lagta Abbu Ammi adhura piyar kerte hain....bas aik dadi thi jis ke paas main apna har dukh le ker paunch jaati...Dadi ke saath soti, Dadi ke saath khana khati..... 16 baras ki umar main pehla rishta aate hi abbu ne shadi ker di. Jis din meri flight thi, main Dadi ke gale lag ker bohat roii.....Dadi ne seedhe pair pe aik kala dhaga bandh diya.. ...

20 saal baad peechle saal Pakistan gaii to dadi ki umar 90 ke paas ho gaii ho gi. Kisi ko nahi pehchanti thi..main paas ja ker bethi to to mere pair ke kale dhage ko dekh ker, mujhe gale se laga liya..baar baar kehti jaati - 'meri bachii aai hai'.....Bus usi piyar kerne wali dadi ki nishani liye phirti hun."

No comments: